Rasoli Ka ilaj In Urdu Parotid Gland Treatment In Hindi Rasoli Disease in Urdu

  Lal Gulab      

Parotid Gland Treatment In Urdu Rasoli Ka ilaj

Cancer mein badal jane wali aik khatarnak marz ki tashkhish kaise ho sakti hai? ilaj kia hosakta hai? Insani jism main chehre ke dono aitaraf kan ke age aur pechai makhroti shakal ke do gadod hote hain jinhain tib ki zaban main "Parotid gland" kaihte hain.  Allah Talah ne insani jism main laab zehan paida karne ke liye jitne gadod banai hain in main sab se bara aur eham hai. aam halat main ye gadod ke baironi satah par nazar nahin ate aur jab ham koi bhi ghiza khate hain to is ki rato batain ek khas nali ke zariye mun ke andar kharij hoti hain jo ghiza ko chabane, nigalte aur bilkasoos nishasta dar ghizaon ke hazam karne main madad daiti hain.

Sakht: 

Ye ghadood makhroti shakal ka hota hai aur kan ke age jabre ke uper wakiya hota hai. is ke do hise hote hain jin ke darmiyan khoon ki naliyan aur barek asab (Nerves) hote hain. jin main ek eham (Fascial Nerve) hai jis ki soozish se amoman lookwe ki bemari hojati hai .aur is gadod ke operation main isi (Nerve) ki tamam shakhon ko bachana zaroori hota hai.

Parotid Gland Ki Bimari

Is ghadod ki galti ya rasoli ka tafseeli zikar karne se pehle iski aam bemariyon ke bare main karain karam ko mukhtasir aghai daina zaroori samjhta hon:

1: Kan Pairay (Mumps)

Ye bemari ek virus ki waja se hoti hai jis main dono aitraf ke gadod main yake bad degar warm aur shadeed soozish hoti hai.. is main mareez ko taiz bukhar , dard aur khane pene main taklif mehsoos hoti hai. ye bemari bachon main aksar hoti hai lekin baron main bhi hosakti hai . iska ilaj dawaon se mumkin hai aur mareez do 3 hafte m amoman thek hojata hai. iske tadarak ke liye hifazati teeke ya vaccine (MMR) bhi dastyab hai jo bachon ko 9 month ki umar main lagwai jasakte hain.

2. Pathri Se Rukawat

Baaz aukat is gadod ki ratobat le jane wali nali main pathri banne se rukawat hojati hain jis se is main shaded soozish aur warm hoti jai aur mareez ko khana khate waqt shaded taklif mehsoos hoti hai. mareez ke mun ke andar se maina karne se ek aur xray kara kar tashkhish ki jati hai. is ka ilaj asan hai ek chote se operation se nali se pathri nikal di jati h aur chand dawaon ke sath mareez isi din hospital se farig hojata hai.

3. Ghadood K Ghalti

darj bala bemariyon ke ilawa jis eham bemari ke bare main karain ko agha karna zaroori hai wo is gland ki rasoli hai waise to ye gatli kisi umer main bhi hosakti hai lekin aam tor par jawano aur darmiyani umer ke logon main daikhi jati hai. is gatli ki khas bat ye hai ke shuru main ye choti hoti hai aur ahista ahista barhti hai lekin is main dard aur soozish nahin hoti hai is liye mareez is ko kan paire samjh kar iska ilaaj nahin karwate balke kafi arse tak dam karwate rahte hain ya aam docters se ilaj karwate hain jis se ye gatli kam to nahin hoti balke iski sakht main tabdeeliyon ki waja se ye khatarnak jaron wali rasoli ya cancer ki shakal ikhtiyar karlaiti hai jiska ilaj lamba mushkil aur paicheda hota hai. bain ul akwami tibi taihkik ke mutabik 80-85 fesad main yahi galti hoti hai.

Jaron Wali Cancer Ki Rasoli

15 se 20 fesad mareezon ki rasoli daikhi gai hai jaisa ke uper zikar kia gaya hai. agar aam galti ya rasoli ka barwaqt aur mayari ilaj na karaya jai to iski shanakht main aisi tabdeeliyan shuru hojati hain jo cancer ki rasoli ka bais banti hain. dosri surat main cancer ki rasoli ibtadai tor par hi is gadod main paida hojati hai jis se mareez ko shuru hi main dard shuru hojata hai aur is ke chehre ke asab jaldi pakre jate hain jis se mareez ka mun taira ya lokwa hojata hai is bemaru ke jaldi phailne ke khadshat hote hain. ye cancer gardan ki galtiyon ke ilawa is gadod ke malhka azaa , jabre ki hadi aur dimag tak phail sakta hai is liye barwaqt tashkhish aur mayari ilaj zarori hai.

Rasoli Ka ilaj Aur Tashkhees

is rasoli ki tashkhish aur ilaj ka ek bain ul akwami nayari tarika hamare han bhi maroj hai hamare pas jab mareez ilaj ke liye shoba bairuni mareezan main ate hain to marez ki galti ka tibi maina karne ke bad chand test karwae jate hain jin main ek eham test barek soi (FNAC) se galti main mojood khaliyon ki noiyat maloom karte hain jis se hamain pata chalta hai ke ye aam galti hai ya cancer wali rasoli ye test hamari pathalogy labortary main mojood hai aur jaldi hojata hai. agar ye aam galti ya sada rasoli hai to marez ko bemari aur ilaj ke bare main main mukamal aghai di jati hai aur iski tehriri ijazat laine ke bad operation kia jata hai ye ek eham aur technical operation hai aur sirf mahir aur tajarba kar surgen se karwana chahye. is operation se gadod ka motasir hisa mah rasoli ke nikal dia jata hai aur 24 hours bad mareez hospital se farig hojata hai. agar mareez ki rasoli cancer wali hoto uper zikar kiye gai teston ke ilawa shoba radiology se mareez ke sar aur gardan ka CT scan tajweez kia jata hai ta ke rasoli ki phailao aur cancer se degar azaa ke motasir hone ke bare main bhi pata chalsya jasake. agar mareez ke chehre ke asab abhi tak thek hain aur cancer zayada phaila nahin to iska ilaj bhi operation se kia jata hai Lekin is main pori gadod nikali jati hai aur gardan ke is taraf ke hise se rasoli bhi nikali jati hai. is operation main ek khas tarike se asab ko bachaya jasakta hai bad main in mareezon ka ilaj bazariya showain shoba radiotherapy se karaya jata hai aur inka khas waqt wakfe wakfe se maina kia jata hai take bemari ke thek hone ka pata chal sake ise mareez jinki rasoli zayada phail chuki h to iska ilaj operation we mumkin nahi hota hai balke arzi aur  alamati ilaj showaon se hi hosakta hai aur mukamal sehatyabi namumkin hai.

Pakistan ke mutadad hospitals main in mareezon ki tashkhish aur free ilaj ki mukamal saholiyat dastiyab hain aur is gadod ki galti ya rasoli me mareezon ka ilaj bain al akwami mayar ke tehat kia jata hai aur Alhamdulillah aksiriyat ko mukamal sehat yabi hoti hai. agar kisi ko ye bemari haq hai to is ka jald az jald ilaj mustanid aur tajarba kar docter se karwain balke dosre logon ko bhi is ke bare main mukamal aghai dain ta k rasoli main cancer banne se pehle hi iska munasib operation hojai aur Jo logon me zehan main aam haqeqat nahin balke ye ek mosar tarika ilaj hai aur mazeed paichedgiyon se bachata hai.
logoblog

Thanks for reading Rasoli Ka ilaj In Urdu Parotid Gland Treatment In Hindi Rasoli Disease in Urdu

No comments:

Post a Comment