Pista Benefits In Urdu Pista Ke Faide Pistachio Benefits In Hindi Pista Tree

  Lal Gulab      

Pista Ke Faide In Urdu Pistachio Benefits In Urdu

Pista Tree In Urdu: Piste ke darakhton ki jaron men agar pani khara rahe to is se inhen sakhat nuqsan puhnchta hai. Lehaza in ke liye aisi zamen sazgar hoti hai jis men pani khara na rahe balke age behjae. Darakht ki onchai amoman dus meter hoti hai. Is ke pate nokele aur paron ki si shakal ke hote hen jin ki lambai char se ath inch tak hoti hai. Phal pakne ke liye tawel mausam garma darkar hota hai. Pakne se pehle is ke chilke ka rang sabz hota hai aur ju ju ye pakta jata hai iski rangat tabdel hokar zardi mail surukh hoti hai aur bila akhir ye halki badami rangat ikhtiar karleta hai. Piste ke darakht har dusre sal takreban 50 kilo mewa paida karte hen. Darakhton par april ke mahene mein phool tayar hojate hen aur phir september ke akhir se lekar octber ke wist tak inka phal tayar hojate hen.

Mukamal tor se pakne ke bad piste ka sakhat khol khulta hai aur is men sabzgiri jankhne lagti hai. Iran wale is qudarti amal ko farsi zaban men "khanda" ka name dete hen yani "hasta hua pista.....!" jaisa ke pehle bayan kia gaya, irani piston ki nasal "karma" ki ye khasiyat hai ke in men se 75 fesad piste qudrati tor par khul jate hen jab ke baki manda piston ko machines ke zariye khola jata hai. Piston ko torne ke liye takatwar machines ke zariye darakhton ko hilaya jata hai.ye machines tano ko giraft men lekar chand second tak inhen hilati hen aur phir girne wale mewe ko kapra charhe frames men jama karlia jata hai. Ye frame darakht ke irdgird lagae jate hen aur inka rukh tircha rakha jata hai, jaha se piste lurhakte hue kinoear belt par chale jate hen. Ye belt inhain lakri ke dabon men puhncha deti hai. Phir ye dabe truck par load kar ke processing plant puhncha diye jate hen. Jaha season ke doran 24 ghante kam chalta rehta hai. Processing plant men taza tor kar lae jane wale piston ko andar andar saf karke khushk karna lazmi hota hai. Is kam ke doran khas tor se khayal rakha jata hai ke chilkon par kisi kism ke nishan ya khirashen na banne paen kyun ke is se ye bad numa nazar ane lagte hen aur inki quality par asar parta hai. Iske bad dusre marhale men inhen mazed khushk kia jata hai ta ke in men nami na rehne pae. Tab ja kar ye is kabil hote hen ke inhen mehfoz karke mukhtalif jagahon par rawana kia jasake.

Pista Benefits In Urdu Fawaid

Pennsylvania university mein ki jane wali research ke nateje men maloom hua ke piste khane se hamare jism men kharab cholestrol, jaise LDL kaha jata hai, ki mikdar kum hoti hai aur ache cholestrol HDL Men izafa hota hai. Rozana ek se do ounes piste khane se khoon men plasma ki mikdar barhti hai aur iske sath sath anti oxidant level men bhi izafa hota hai. Waziya rahe ke anti oxidant hamari jild ki khubsurti barhane men madadgar sabit hote hen. Ilawa azen piste protein, vitamin, madiniyat aur fibre hasil karne ka eham zariya hen jo hamari sehat o tandrusti ke liye eham ajza tasawur kiye jate hen.
logoblog

Thanks for reading Pista Benefits In Urdu Pista Ke Faide Pistachio Benefits In Hindi Pista Tree

No comments:

Post a Comment