Papaya Information In Urdu Papita History Papaya In Hindi

  Lal Gulab      

Papaya Information In Urdu Papita Ki Tarikh Kya Hai

Papaya History: Morkheen ka kehna hai keh spain se taluq rakhne wale tourists ne 16th century mein panama aur mexico mein papitay ka poda daryaft kiya aur phir rafta rafta dunya bhar mein papita ki kasht hone lagi.

Papite ko persian mein papita jabkeh anglish mein papaya kehte hain. Tarikh ke shuru se hi garam countries ke log is se waqfiyat rakhtay thay. Is baat ke shawahid miltay hain keh tarikh insani ke ibtidai dor mein hi khawateen apni jild chaiyon aur dagh dhabon se mehfooz rakhne ke liye papitay ka istemal karti thein. Papita ki paidawar ke liye zarkhez zameen ke ilawa garam martoob aab o hawa zaroori hai, isi liye Pakistan mein sub se zayada ye phal subah sindh mein paida hota hai.

Papita ka darakht ki hiyat bhi bohat anookhi hai 10 se 12 feet unchay papitay ke darakht par shakhain nahin hotien balkeh is ki choti par chatiri jesi shakal bani hoi hoti hai jis par lagne wale phal aam se lay kar kharbuzay jitnay bare ho sakte hain. Papaya fruit amooman 28 se 100 cm lamba hota hai kacha papita oper se sabz jabkeh andar se safaid hota hai. Mukamal tor par pak jane  par is ki beroni rangat ke sath goda bhi zard rang ka ho jata hai. Phal ke andar chotay chotay darjanon kalay rang ke papita seeds hote hain. Aam aur is ke ghazai ajza gehri mumaslat rakhte hain is mein aabi aur roghni ajza ke ilawa madni namak, vitamin a aur c bhi paye jate hain.

Aam ke har 100 gram mein 28 jabkeh papitay ki itni hi maqdar 22 calories jitni taqat mojod hoti hai. Saal bhar dastyab hone wala ye phal zayada tar mausam e garma mein khaya jata hai. Aam tor par paka hua ye phal aur kacha batoor sabzi istemal hota hai. Papitay ka taluq phalon ke aisay group se hai jin mein Antioxidants ki bhar pur maqdar payi jati hai, is group mein woh tamam phal shamil hain jin ki rangat peeli aur naranji mayel hoti hai. Papitay mein antioxidents ke ilawa carotenoids aur bioflavonoids ki kaseer maqdar bhi mojood hoti hai.
logoblog

Thanks for reading Papaya Information In Urdu Papita History Papaya In Hindi

No comments:

Post a Comment