Neck Pain Treatment In Urdu Gardan Ka Dard Ka ilaj Hindi Neck Pain Home Remedies

  Lal Gulab      

Gardan Ke Dard Ka ilaj In Urdu Neck Pain Home Remedies

Neck Pain Treatment In Urdu: Gardan main dard ki kafiyat ka ehsas bohat aam hai aur ye gardan ki banawat main kisi tabdeeli ya androni bemari ki waja se hosakta hai. Ye dard mamoli thakawat se ya hadsati tor par itna shaded hojata hai ke mareez ka gardan ghomana bhi doshwar hojata hai. Gardan ka dard kandhon se hota hua hath main ajai to ungliyon san pan ya soiyan chobnai ka ehsas hojai to foran samaj laina chahye ke gardan ke maihron ke darmiyan nasho par dabao ahchuka hai. Ye kaifiyat ek ya dono bazon main ek waqt mehsoos ki jasakti hai. In alamat ki sorat main neuro surgon se fori tor par tibi maina karana zaruri hojata hai take bar waqt tashkhish karke is marz ka sahi ilaj kia jasake. Mamoli pathon ka dard hadiyon aur aasab ki bemariyan bhi jin main hadi ki T.B aur cancer bhi shamil hain is dard ka sabab ban sakti hain. Gardan ka dard zayada tar mareezon main mamoli bemariyon ki waja se bhi hota hai jo sada aur mamoli ilaj se thaik hojata hai aur sirf chand mareez aise hote hain jin ke liye operation ya dosre tarika ilaj ki zarorat par sakti hai.

Neck Pain Reason

Gardan main dard ki shaded kaifiyat ki waja janna behad zarori hai jis main makhsoos jaga dard hona is ki shidat dorania aur ek jaga se dard ka idhar se udhar muntakil hona shamil hai. Mazi main accidant se gardan ya iske karibi hise ka mutasir hojana eham nukta e fikar hota hai age jakar is se hone wala dard aam zinadgi ko mutasir karna shuru kardaita hai. Gardan ko kisi janib morne se sakon mil jana ya dard barh jana, androni banawat main kisi gair motawaka tabdeeli ki nishan daihi karta hai. Neurosurgon tafseel se marez ke nervous system ka maina karta hai jis se degar wajo ke sath sath androni zakham ki sakhti ki jaga ki bhi nishan dahi hojati hai. 

Gardan ke dard ki asal waja janne ke liye kuch tibi test zarori hote hain ta ke neuro surgen sahi tashkhish ke mutabik dawaon ke ilawa cervical pain ke mutalik degar mashware bhi de sake in main gardan ke xray naso aur pathon ke amraz ka test hadiyon ki sakht o androni tabdeeliyon ka test Bone scan, naso par dabao ka test aur MRI shamil hain. In test ke zariye aap ke malij ko tashkhish aur is ke ilaj main madad milti hai. Gardan ke dard ki sab se bari waja poor posture yani gardan ko dorust position main na rakhna jis se gardan ke maihron main kharabi paida hojati hai isko cervical spondylosis kahte hain maslan agar aap gehri nend bohat tairhe hokar, ulte hokar, gardan ek taraf se neche ya uper rakh kar sojain to dosre din gardan main dard hone lagta hai. Office main kam karne wale log din bhar agar apni gardan ko kham daikar baithain to ye pathe tanao main ajate hain aur in main dard rahne lagta hai iska behtaren ilaj ye hai ke aap apni gardan ko bilkul sahi rakhain is main kisi kism ka jhokao nahin hona chahye.
Trauma ya chot lagne ki sorat main amoman mareez ki gardan main dard ka ehsas rahta hai lekin baaz aukat chonke ye chot barae rast gardan par nahin lagti is liye mareez ise yad nahin rakhta albata hadse ke bare main ise yad rahta hai. 

Traffic hadsat ki sorat main aksar gardan main shaded jhatke ki waja se chot ajati hai jis se naso aur pathon ko nuksan puhnchne ke ilawa baaz aukat maihron ki hadiyan apni jaga chor daiti hain ya in main tot phot hojati hai lekin jab mareez apne malij ke paas ate hain to gardan ka ye dard bazon se hota hua ungliyon tak puhnch chuka hota hai aur in main san sanahat ya chontiyan raingti mehsoos hoti hain. Jism ke tamam joron ko mutasir karne wali bemari Rheumat oid Arthritis gardan ke pehle maihre ko zayada mutasir karti hai umar ke sath sath maihron ke kinare bhi khurdare hojate hain. 40 sal ki umar ke bad hadiyon main madniyat aur nimkiyat ki kami hone lagti hai jis main eham taren calcium hai. Hadi ka goda aur satah kamzor hojane se inki satah main chiknai ka ansar kam hone lagta hai yani in hadiyon ke darmiyan pane wala chikna mada kam hone lagta hai aur is sorat main aitraf ke pathe sokhne aur kamzor hone lagte hain aur baaz aukat marez kisi cheez ko pakarne se bhi kasir rahta hai yani taqt aur girft kam hone lagti hai aur hath ki kuch ungliyan sun hojati hain subha sawere amoman jab marez jagta hai to ise hath sun ya shal mehsoos hote hain aur wo inhai khob hilane lagta hai. Gardan ke ye bemari aur dard puri gardan se hathon tak puhnchta hai aur baaz aukat ye falij ka sabab ban jata hai.

Gardan Dard Ka ilaj

Ilaj ki noiyat ka inhasar gardan ka dard paida karne wali waja par hota hai. Ilaj main sakon se aram karna, garam ya thandi chezon se saikai tracktion aur physiotherapy main ultrasonic, massage aur gardan ke pathon ki mashkeen, gardan main kalar lagana, local injection aur dard khatam karne ki cream pathon ke jakrao khenchao ainthan aur dard khatam karne ki dawain aur operation shamil hain.

Ahtiyat Aur Warzish - Neck Exercise

Lambe arse tak ek hi position main gardan ko jhuka kar kam na karain balke thori thori dair ke bad position tabdeel karte rahain ta ke gardan ko aram mil sake. Sakht aur unchay foam ka takiya har giz istamal na karain balke narm aur takriban 3inch mota takiya istamal karain Aisi kursi ka intekhab karain jis ki pashat aap ki gardan ke barabar hota ke aap kuch wakfe ke liye gardan ko is par take kar aram kar sakain.

Likhne aur parhne ke liye unchi table ka intakhab karain ta ke aap ki gardan sedhi rahe aur aap asani se kam karsakain. Zayada dair tak computer ke samne na baithain hamesha apni gardan ke masawi satah par rakhain rozana chaihil qadmi zaror rakhain.

Gardan Ki Warzish

Gardan ko neche sene ki janib jhukain phir gardan ko wapis uper ki taraf uthain jitna aap asani se uper utha sakte hain iske bad apni pehli position par ajain amal ko das das martaba dohrain. Gardan ko sedha rakhte hue pehle dain janib morain iske bad apni asali halat main ate hue bain janib gardan ko morain aur phir wapis normal position par ajain ye amal bhi din main das das bar dohrain. Gardan ko sedha rakhte hue dain janib jhokain aur phir wapis gardan ko sedha karte hue bain janib jhokain aur dobara normal position par ajain ye amal din main das das bar dohrain. Gardan ko sedha rakh kar ahista ahista Clock aur Anti clock ghomain kam az kam das das bar ye amal karain.
logoblog

Thanks for reading Neck Pain Treatment In Urdu Gardan Ka Dard Ka ilaj Hindi Neck Pain Home Remedies

No comments:

Post a Comment