Mera Pasandida Mashghala Urdu Essay Hobby My Favourite Hobby Hindi Essay
My Hobby Essay In Urdu: Insan kaam ki yaksaniat se ghabrata hai aur usay uktahat mehsoofhone lagti hai aur woh thak jata hai is thakan aur uktahat ka wahid ilaj yehi hai keh insan fursat ke lamhon ko kisi na kisi dilchasp mashghala ya kaam mein sarf kare din bhar kaam ke baad barigh waqt mein hum jo bhi kaam karte hain us ko hum mashghala ya hobby kehte hain.Qalmi Dosti
Khana dar masturat yafta larke larkiyon ke liye aur dasr o tadrees se mutaliq khawateen o hazraat ke liye aik dilchasp mashghala qalmi dosti hai ye nihayat hi dilchasp mashghala hai. Jis ke zariye fazal waqt mein mulk ke andar aur beron mulk logon se dosti ki jati hai taleem yafta log is tarah dunya ki mukhtalif qaumon mein dostana rawabat barhane mein madad kar sakte hain aur isi tarah qaumi balkeh bain al aqwami rawabal istwar karne ki khidmat de sakte hain. Magar mojooda door mein jabkeh khat o kitabat ke liye dak'khanay ke akhrajat bohat zayada ho sakte hain ye aik mehnga mashghala ho gaya hai. Maslan america ko aik lifafa 21 rupee mein aur mashriq wusta ke liye 15 rupee mein bheja jata hai.Photography
Ye mashghala bhi aik mehnga mashghala hai. Photography ki filmain aur us ki dhulai ke akhrajat bhi aaj kal asman se batain kar rahe hain is liye shoqia photography karna mehnga soda hai. Albata agar photograph munasib qeemat par risalon aur akhbarat ko farokht kiye ja sakain tou is hobby se faida uthaya ja sakta hai. Is ke ilawa agar digital camera koi apne paas rakhta hai tou woh taqreeban muft mein is hobby ko barha sakta hai. Qudrati manazar aur aham waqiat ki waqti tasaveer ki achi qeemat hasil ho sakti hai lekin aisi tasaweer ki farokht ghair yaqeeni hoti hai.Painting Aur Drawing
Ye mashghala na sirf mehnga hai balkeh is se koi munafa ki tawaqa rakhna fazool hai magar is shoq ko agar paisha bana liya jaye aur sakht mehnat ki jaye tou ache artist ban jane ke mawaqa muyasir ho jate hain bohat se bare artist pehle is fun ko mashghala ki tarah apnatay hain aur phir is ko paisha ke tor par ikhtyar kar laite hain.Baghbani - Gardening
Ye aik intihai faida mand mashghala hai agar phoolon ke podon aur phalon ki kashtkari ko mashghala banaya jaye tou is se zati amdani mein kafi izafa ho jata hai. Taza taza tarkariyan aur phal khane ke liye mil jatay hain. Dost ahbab aur rishta daron mein tazah tarkariyan aur phal taqseem kar sakte hain. Baghbani karte waqt halki phulki warzish ho jati hai aur bagheecha lagane se taza hawa aur oxygen ki khas paidawar se insani sehat par khush gawar asrat partay hain. Tibi nuqta nazar se bhi ye mashghala burhay pension yafta yahan tak keh bimar logon ke liye bhi mufeed hai.Yehi wajah hai keh mein kehta hon keh baghbani mera pasandida mashghala hai (my favourite hobby). Main ne apne ghar ke sehan mein mewon ke aur aam, lemon aur kinon aur jaman ke darakht lagaye hain aur kayariyan bana kar har qisam ki mausmi tarkari ki kasht shuru kar di hai jis se mujhe khatar khawa amdani ho rahi hai is ke ilawa gulan ke podon se mujhe apne gulab ke phool hasil ho rahe hain keh un ko baich kar bhi pehli fursat mein baghbani ke mashghala ko jari rakhta hon. Magar talib ilm bhaiyon ke liye mashwara hai keh woh pehle taleem par tawajah dain phir baghbani ka shoq farmayain.
No comments:
Post a Comment