Michael Jackson Biography In Urdu: Is ne takriban 51 baras duniya main guzare lekin shohrat o maqbuliyat, ruswai o naik nami aur kamyabiyon ki aisi hairat angaiz dastane peche chor gaya jinhain zamana na jane kab tak dohrata rahe ga 29 augest 1958 ko paida hone aur 25 june 2009 ko pur israr halat main intakal karjane wale is ajeb o garib fankar ki zindagi ka har din ek anokhi kahani hai. Ji han ham michael jackson ki bat kar rahe hain jinhon ne 1964 main apne 4 bhaiyon ke sath mil kar gana shuru kia. Ye group "jackson five" kahlata tha mickal jackson ke bachpan ka dor mehnat o mushakat ki ek dilag daz dastan hai kisi bhi khush gawar subha ya sard sham main in ke ham umar bache parks main mukhtalif khailon main mashgol hote, Michael Jackson alat mosiki uthae gano ki mashk, recording ya phir kisi show main hisa laine ke liye ja rahe hote to khailte kodte bachon ko daikh kar hasrat se inki ankhon main ansoo ajate magar mickal jackson ko apne in ansoo ka sila khub mila. Wo shohrat o makboliyat ki jin bulandiyon par puhnche, bohat se gane wale to inka khuwab bhi nahin daikh sakte. Mickal jackson ke audios aur videos ne dunya bhar main firokht ke jo record kaim kiye, inhain abi tak koi nahin tor saka. Geniues book of world record main inka name ek se zayada unwanat ke tehat darj hai jin main Most Successful Entertainer of All Time ka unwan bhi shamil hai. Inhon ne dance ke munfarid andaz, moon walk aur brake dance ki bunyad rakhi.
Mickal jackson ne 13 girami awards ke ilawa infiradi gano par "Number one singer" ke 17 awards hasil kiye. Duniya bhar main in ke 800 million se zaid record firokht hochuke hain jo bajae khud ek record hai aur abhi mukhtalif shaklon main in ke albums ki firokht ka silsila jari hai. Inke albums aur live performance ke zariye 1979 se 1983 ke darmiyan 67 million dollars, 1984 se 1988 ke darmiyan 340 million dollars, 1989 se 1993 ke darmiyan 204 million dollars, 1994 se 1998 ke darmiyan 268 million dollars, 1999 se 2003 ke darmiyan 107 million aur 2004 se 2008 ke darmiyan 93 million dollars ki amdani hui. Jabke inki mot ke bad se ab tak inke albums ki firokht aur inke difai idaron se 700 million se zayada amdani hochuki hai.
Glokar, nagma nigar, record producer, dancer, couriographer, actor aur bussiness man hone ke ilawa woh aik samaji karkun aur falah kar bhi tha. Inho ne apne kaim karda falahi idare Heal The World Foundation aur degar 39 idaron ko apni zindagi main 250 million dollars apne zati sarmae se atiye ke tor par diye aur is se bhi zayada falahi programs ke zariye jama karke di. Inhain sab se zayada falahi idaron ko atiyat daine wale pop star hone ka aizaz bhi hasil hai. Iske ilawa niji zindagi main wo ek intehai milansar insan the apne madahon se itni achi tarah paish ate the ke wo inke garwida hojate the.
80 ke bad se inki zat mukhtalif tanazat, afwahon aur scandle ki zad main rahi. Kabhi inki nak ki badalti hui sakht aur bar bar rangat tabdeeli khabron ka mozu rahi, kabhi in par bachon se badsaloki ka ilzam laga jo sabit nahin hosaka. Duniya e mosiki ke is matnaza shahzade ne 94 main anjhani alvis parisle ki beti liza marry parisle se aur 96 main debi ronami ek nurse se shadi ki is se mickal ke do bache hue. Ek larka jiska name inhon ne prince rakh (jo nojawani main mickal ki bhi arfiyat thi). Dosri larki jis ka name paris rakha gaya. Michael Jackson ke teesre bache ka name mickal jackson 2 hai is ki arfiyat blanket hai 2002 main paida hone wale is bache ki maa na maloom aur waldiyat mashkook karar di jati hai. Taham us ka kehna tha ke bacha inhi ka hai, albata maa ki kokh "mastar" li gai thi. Michael Jackson ki death ke bad in ke bachpan ke dost mark lestar ne khayal zahir kardia ke shahyad paris iski beti ho, kyoun keh iski shakal mark ki apni beti se milti hai. Is ne apne dawe ke mutabik tohfe ya atiye ke tor par apna tolidi jarsoma dia tha. 2003 se 2005 ke doran mickal manshiyat ka istamal zayada karne lage the aur inka wazan taizi se ghatne laga tha.
Wo ek arab shaikh ke mehman ke tor par kuch arsa behrain main bhi rahe. Is doran inke Musalman hone ki afwain bhi urai gain 2006 main ki mali mushkilat ki khabrain samne ane lagi. Isi doran wo america lot ae aur kirae ki haweli main rahne lage kyun ke inka apna taweel o ariz makan Neverland karzon nad handgi ke ilzam aur kanoni karwai ki waja se band tha. 25 june 2009 ko 12 baj kar 22 minute par laas angilas main fire deparmant ke hangami number par inki tabyat ki kharabi ki italah mosool hui. 3 minute main ambulance inke ghar puhnch gai. Tibi amle ke bayan ke mutabik wo is waqt sans nahin le rahe the 2 baj kar 56 minute par docters ne in ki mout ka bazabta ailan kardia. Youn popular music ke badshah dastan hayat khatam hogai lekin inki mout ke bare main kayas arainyon, wirasat ki khencha tani aur mout ke hawale se mukhtalif afrad par ilzamat ka silsila abi tak jari hai. Mickal ki zindagi ko zayada taweel nahin kaha jasakta lekin inki dastan hayat khasi taweel hai.
Agar is ki tafsilat aur nashib o faraz par nazar dali jae to is main ibrat ka saman bhi nazar ata hai. Aisa lagta hai jaise mickal jackson ek bhatakti hui rooh ka name tha jo shahyad kisi na maloom khushi ki talash main sar girdan rahi jo ise nahin mil saki. Manshiyat ka sahara aam tor par wohi log laite hain jo apni zindagi se na mutmain aur na asoda hote hain. Bazahir mickal jackson ki zindagi main kisi cheez ki kami nazar nahin ati, dolat, shohrat aur na jane kia kuch inke pas tha. Is ke bawajood umar bhar inka tarz amal raha, is se kuch youn lagta hai ke wo apni zindagi se mutmain nahin the. Inki mout duniya bhar ke liye katai gair motaka thi. Kabhi iski waja manshiyat ka over dose batai gai aur kabhi ye shoba samne aya ke inhain qatal kia gaya tha.
Inke zati malij docter konard mare bhi khase arse tak inki pur israr mout ke silsile main zair taftish rahe aur inhain nadanstegi main mickal ke katal ke ilzam ke tehat saza hui. Behar hal is main shak nahin ke jab se inhon ne shohrat hasil karna shuru ki tab se lekar dam akhir tak, kam az kam zahiri tor par inhon ne ek shandar zindagi guzari. Bohat se sarbarhan mamlikat inse milne ke khuwahismand rahte the. Hollywood ki bohat si bari bari aur nami grami shakhsiyat se inki gehri dosti thi. Aliza baith tailor to in ki mout par phut phut kar roin. Aliza baith tailor ki ek shadi bhi us ke taweel o arez aur shandar farm house top makan Neverland main hui. Ye bat bhi kabil zikar hai ke mickal jackson ke inteqal ke bad inke albums ki firokht main taizi se izafa hogaya. Inke intekal ko 6 baras guzar chuke hain lekin inka tazkara aj bhi inke madahon ko udas kardaita hai. Duniya bhar main abhi tak inke gane aur dance ke style ki nakal ki jati hai.
No comments:
Post a Comment