Mazar-e-Quaid Essay In Urdu Mazar e Quaid e Azam Tomb Essay

  Lal Gulab      

Mazar-e-Quaid Essay In Urdu

15 January 1971 ko Quaid ke mazar ki tameer paya takmeel ko pohanch gayi. Is moqa par sadar mumlikat general Muhammad Yahya Khan ne quaid ki hamsheera mohtarma sheereen bai ke hamrai quaid ke mazar par hazri di jahan un ka istaqbal principle staff officer aur quaid memorial board ke chaorman leftenent general sgm peerzada ne kiya. Is moqa par sadar ne mazar ka tafseeli muaina kiya aur quaid aur un ke rufqa ke mazarat par fatiha khawani ki.

Mazar-e-Quaid ka sang-e-bunyad 31 july 1960 ko us waqt ke sadar ki rakha tha is ki tameer bari sust rawi ke sath barhti rahi taham is mein us waqt tezi ayi jub Muhammad Yahya Khan ne April 1969 mein is ka muaina kiya.

Is mazar par teenon musala afwaj ke dastay bari bari pehra dete hain mazar ki tameer ki takmeel ke pehle din 15 january  1971 ko Pakistan behria ke daston ne pehra diya tha.

Quaid-e-Azam ka mazaar karachi ke khubsurat tareen muqamat mein se aik hai isay bachon baron ki maqbool tareen emarat bhi kaha ja sakta hai rozana hazaron seyah (tourists) isay dekhne aur fatiha khawani karne atay hain. Ye mazar 9 foot ki unchai par M.A Jinnah sarak par hai.

Mazar ka naqsha bambai ke mahir tameerat Yahya Merchant ne banana naqshay (map) ki hatmi manzoori 1959 mein mohtarma Fatima Jinnah ne di pehli baar maqbare ki tasweer dak ticket par september ke maheenay mein shaya hoi. Mazar ke pehlu mein 5 aham shakhsiyat bhi madfoon hain jin mein qauid ki hamshera Fatima Jinnah bhi hain. Mazar ke itraf mein khubsurat baghat hain jo bagh-e-quaid-e-azam ke naam se mansoob hain. Un baghat ki tameer se mazaar ki khubsurati aur dilkashi mein izafa hua.
logoblog

Thanks for reading Mazar-e-Quaid Essay In Urdu Mazar e Quaid e Azam Tomb Essay

No comments:

Post a Comment