Khwaja Moinuddin Chishti Urdu History Moinuddin Chishti Hindi Information

  Lal Gulab      
Khwaja Moinuddin Chishti Urdu History: Sultan al-hind Hazrat Khwaja Syed Muhammad Moinuddin Chisti Ajmiri janobi asia main tasoof ke silsile chishtia ke hindustan main bani hain aur hazrat khuwaja kutubuddin bakhtiar kaki, hazrat baba farid uddin ganj shakar aur hazrat khuwaja nizam uddin aulia jise azeem o shan pairan tarikat ke murshid hain. Garibon ki banda parwari karne ke ewaz awam ne apko garib nawaz ka lakab dia jo aj bhi zaban zad aam hai.

Wiladat - Born

Aap 14 rajab 536 hijri bamutabik 1141 eswi baroz pir 14 rajab 530 mutabik 1135 ko janobi iran ke ilake saistan ap iran main khirasan ke nazdik sanjar nami gaon ke ek dolat mand gharane main paida hue. Bachpan ka name hassan tha. Ap nasli aitabar se najib utarfain sahi nisb syed the ap ka shajar o alia bara waston se ameer ul momineen hazrat Ali karam Allah wajha se ja milta tha. Ap ke walid grami khuwaja gayasuddin hussain bohat dolat mand tajir aur ba asar the. Khuwaja ayas sahab sarwat hone ke sath sath ek abid o zahid shakhs bhi the. Dolat ki firawaani ke bawajood hazrat moinuddin chishti bachpan se hi bohat kanat pasand the. Aur walda muhtarma ka isam grami bibi mahnoor hai.

Nasb
Shajar o nisb khuwaja moinuddin chishti garib nawaz walda ki taraf chand waston se hazrat imam Hassan tak puhnchta hai walid ki taraf se nisb is tarah hai khuwaja moin ul haq waldain bin syed gayasuddin bin syed kamal uddin bin syed ahmed hussain bin syed tahir bin syed abdul aziz bin syed ibrahim bin syed muhammad bin imam hassan asgar bin imam Ali naki bin imam muhammad taki bin imam Ali musa raza bin imam musa kazim ibin imam jaffar sadiq ibin imam muhammad bakir bin imam Ali zain ul abideen bin imam Hussain bin hazrat Ali khuwaja syed moinuddin hassan ibin khuwaja syed gayasuddin hassan ibin syed ahmed hassan bin syed tahir hassan ibin syed abdul aziz ibin syed ibrahim ibin syed imam musa kazim ibin syed imam jaffar sadiq ibin alsyed imam Muhammad Bakir ibin syed imam Zain ul abideen bin syed imam hussain ibin imam Ali.
Tarikh Ke Ayene Mein
Walid hazrat imam hussain aur walda imam hassan ki aulad main se hain isi tarah ap hassani o hussaini syed hain. Umar mubarak 15 sal thi jab apke walid ka wisal hua, walid ka mazar shahir bagdad main hai.
Peer o murshid ka name hazrat khuwaja Usman haroni hai, inka mazar maka mazma main hai.
Ap peer o murshid ke sath roza rasool par gae aur Kabatullah ki ziyarat ki.
Hindustan ki tashrif awri ke moke par muriden o mutakaden ki tadad 40 thi.
Jab ap tashrif lae is waq ajmir main parthiwi raj chohan ki hakumat thi.
Ap ne do shadiyan ki ek biwi ka naam Asmat Allah hai jabke dusri biwi ka naam umat Allah hai.
Ap ke 3 farzand aur ek beti thi. Hazrat khuwaja fakhar uddin jin ka mazar ajmeer se sath kilo dor daroar main hai.
Hazrat khuwaja abu syed chishti jinka mazar ahata gah shahi ghat par hai. Khuwaja ahsam uddin ayam jawani main hi mardan gaib main shamil hogae the.
Ap ki sahibzadi ka naam bibi hafiz jamal hai.

Bachpan

Jab apki umar 15 sal thi walid ka saya sar se uth gaya aise lamhat main apki walda majda hazrat bibi noor ne bari istakamat ka sabot dia aur bare hosle ke sath bete ko samjhaya farzand zindagi ke safar main har musafir ko tanhai ki aziyaton se guzarna parta hai agar tum abi se apni taklifon ka matam karne baith gae to zindagi ke dushwar guzar raste kaise tai karoge. Tumhare walid ka ek hi khuwab tha ke inka beta ilam o fazal main kamal hasil kare. Chunacha tumhain apni tamam salahiyatain taleem ke hasool ke liye hi sarf kardni chahye. Madar grami ki tasliyon se hazrat khuwaja moin uddin chishti ki tabyat sambhal gai aur ap zayada shoq se ilam hasil karne lage. Magar sakon o rahat ki ye muhlat bhi zayada taweel na thi mushkil se ek sal hi guzra hoga ke apki walda hazrat bibi noor bhi khaliq haqeqi se ja mili. Ab hazrat moin uddin chishti is duniya main akele rah gae. Walda grami ki wafat par ek bag aur ek ata pesne wali chaki ap ko warse main mili. Waldain ki judai ke bad bagbani ka paisha ap ne ikhtiyar kia.

Taleemi silsila munkata hogaya. Aap ko is ka bara afsoos tha lekin ye ek aisi fitri majboori thi ke jiska bazahir koi ilaj na tha. Ek din hazrat moin uddin chishti apne bag main darakhton ko pani de rahe the ke idhar se mashoor buzurg hazrat ibrahim kandozi ka guzar hua. Apne buzurg ko daikha to dorte hue pas gae aur hazrat ibrahim kandozi ke hath ko bosa dia. Hazrat ibrahim ek nojawan ke is josh akidat se bohat mutasir hue inho ne shafkat se ap ke sar par hath phaira aur chand duaia kalmat kah kar age jane lage to apne hazrat ibrahim kandozi ka daman tham lia. Hazrat ibrahim ne muhabbat bhare lahje main pucha ae nojawan! "ap kya chahte hain?" hazrat khuwaja moin uddin chishti ne garz ki ke ap chand lamhe aur mere bag main kayam farmae. Kon janta hai ke ye sadat mjhe dubara naseb hogi ke nahin. Apka lahja is kadar akidat mandana tha ke hazrat ibrahim se inkar na hosaka aur ap bag main baith gae. Phir chand lamhon bad angoron se bhare hue do tabak moinuddin chishti ne hazrat ibrahim ke samne rakh diye aur khud dast basta khare hogae. Hazrat ibrahim kandozi ne apne pairhan main hath dal kar jaib se roti ka ek khushk tukra nikal kar Hazrat Khwaja Moinuddin ki taraf barhaya aur farmaya wo teri mehman nawazi thi ye fakir ki dawat hai. Is tukre ka halak se neche utarna hi tha ke hazrat moinuddin chishti ki duniya badal gai. Apko youn mehsoos hone laga jaise kainat ki har shae fazool hai.
logoblog

Thanks for reading Khwaja Moinuddin Chishti Urdu History Moinuddin Chishti Hindi Information

No comments:

Post a Comment