Khushki Ka ilaj Urdu Dandruff Treatment Khushki Khatam Karne Ka Tarika Khushki Ka Khatma Hindi

  Lal Gulab      

Balon Ki Khushki Ka ilaj Urdu Tips Dandruff Treatment In Hindi

Khushi Khatam Karne Ka Tarika: Hum mein se beshtar khawaten sar mein khushki ki shikayat karti dikhai deti hein. Sar ki khushki ek aisa arza hai ke jis se hum sab ko kabhi na kabhi wabasta zarur parta hai. Kuch khawaten ke sar m khushki (Dandruff) kabhi kabhi namudar hoti hai. Jab ke zayada tar ke saron mein ye mustakil dera dal deti hai. Lekin kuch tadberen aisi hein jin par amal kar aap is bin bulae mehman se jan chura sakti hein! Sar ki khushki darasal sar ki khal se jharne wale murda khaliyat par mushtamil hoti hai. You to in murda khaliyat ka jharna ek normal bat hai lekin jab in ki tadad mein izafa hojae to kai masail paida hote hein. Khushki ke paida hone ki bohat si wajuhat hein jin mein sar fehrist sar ki khal par fungus
Ki afzaish hai. Bohat se beruni awamil jaise ke aludgi, dhool mitti, pasene ke sath mil kar sar ki jild par gandagi ka bais bante hein aur yahen se dandruff ki afzaish hoti hai. Taham research se ye zahir hua hai ke agar ap ke sar ki jild bohat zayada khushk hai tab bhi aap ke sar mein khushki paida hosakti hai. Iske ilawa stress aur hormones ki tabdeeliyan bhi khushki ki afzaish mein hisa dar banti hein. Balke kabhi kabhi to normal sehat mand jild par bhi khushki namudar hojati hai. Aiye khushki ki bunyadi wajuhat ka mukhtasir jaiza lete hein.

Sar Ki Chiknai Ya Sebum:
Sar ki khushki ya dandruff ki bunyadi waja sar ki jild par paida hone wali qudarti chiknai ya wo tail hai jise sebum kaha jata hai. Is ke gadud sar ki jild ke ain neche waqiah hote hein. Gandagi aur gair mayari shampoo ke istamal se sebum ki paidawar mein izafa hojata hai aur agar balon ko jald hi dho kar sebum se pak na kia jae to ye sar ki murda khal aur dhol mitti wagera se mil kar khushki paida karne ka sabab banta hai. Iska ilaj kisi bhi ache aur mayari anti dandruff shampoo se kia jasakta hai.

Fungus: Fungus darasal ek kisam ki phuphondi hai jo sar ki normal jild par bhi pai jati hai aur aam tor par kisi nuksan ka bais nahi banti. Lekin sar ki jild se paida hone wala izafi tail fungas ke liye bohat achi khorak sabit hota hai aur you sar ki jild par fungas ki afzaish shuru hojati hai. Phir ye fungas ap ke sar ki jild se jharne wale murda khaliyat mein izafe ka bais banti hai aur sar ki murda khal se jhare wale chilke pareshani ka sabab bante hein. Is se na sirf aap ke sar mein kharish shuru hojati hai balke aksar aisa hota hai ke aap ban sanwar kar acha sa libas pehan kar kisi takreb mein jati hein lekin wahan puhnchne par aap ki koi saheli aap ke banao sengar ki taref karne ke bajae aap ke shano par pari hui khushki ke zarat ki taraf ishara karke kehti hai... "uff itni khushki!" aur aap na haq sharmindigi mein ghir jati hein.

Bimari Ke Asrat: Sar ki jild par paida hone wale infection jaise ke sorise, sar ki khal se jharne wale murda khaliyat ki tadad mein izafe ka bais bante hein aur youn sar se mutwatar khushki ke chilke jharte rehte hein. Axemia ki waja se bhi   khushki aur sar ki kharish mein izafa hojata hai.

Khushki Sikri Ka ilaj:
Mutwazan ghiza khain: jis tarah ap apni amumi sehat ki khatir mutwazan ghiza istamal karti hein, isi tarah sar ki khushki se nijat ke liye bhi aap ki mutawazan diet madadgar sabit hoti hai. Iske ilawa Zing, omega 3 fatty, acids, vitamin B aur E ko apni khorak mein shamil rakhain. Zayada se zayada pani piyain. Cheeni aur yeast khane ki jin ashia mein shamil ho, in se ijtanab karain. Research btati hai ke fungas ke nateje mein paida hone wali dandruff, methe aur yeast wali khamiri ghizaon ki badolat zayada phalti phulti hein. Lehaza aap mandarja bala tajawez par amal karaingi to jald se jald khushki se nijat pane mein kamyab hosakengi.

Styling Products Ka ilaj: Baaz hair spray, mooz aur Gel sar ki jild par khushki ka sabab bante hain. So, ap jab bhi kisi new styling product ka istamal shuru kardain to is bat ka khayal rakhain ke is ka istamal shuru karte hi sar ki khushki mein izafa to nahin horaha? Taham jis spray aur gel mein Tea Tree oil shamil hota hai inhein istamal karne se khushki ki shikayat paida nahin hoti.

Anti Dandruff Shampoo:
Koi acha aur mayari anti dandruff shampoo khushki se nijat hasil karne ke liye khasan mosar sabit hota hai. Lekin aap apne docter ke mashware se kisi shampoo ka intakhab karain to zayada behtar hai. Shampoo karte waqt achi tarah sar ka massage karain take sar ki jild ke sath aap ke bal bhi saaf hojain. Iske bad khob sare pani se sar ki jild se chipka sebum utar jaega aur dusri martaba ye puri tarah aap ke sar se saaf hojaiga.
logoblog

Thanks for reading Khushki Ka ilaj Urdu Dandruff Treatment Khushki Khatam Karne Ka Tarika Khushki Ka Khatma Hindi

No comments:

Post a Comment