Kalam Mein Talwar Se Zyada Taqat Hai Urdu Essay Talwar Aur Kalam Speech Qalam

  Lal Gulab      

Kalam Mein Talwar Se Zyada Taqat Hai Urdu Essay Talwar Aur Kalam Speech Urdu

Qalam Aur Talwar: Qadeem zamanay mein jub insani muashron aur tehzeebon ke qayam ki shuruwat ka waqt tha usi waqt insan bhi janwaron ki tarah rujhanat rakhta tha. Qadeem zamane main insanon ki zarooryat mehdood thein lekin zaroorat ke teht us ne bohat sari cheezon ka ilm hasil kiya. Us waqt ka muashi sarmaya sabz kheet aur maweeshi hua karte thay aur insan unhain apni daulat tasawar karta tha. Us waqt insan mein itni salahiyat nahin thi keh woh khat jesi surat haal par qabu pa sakay is liye aam tor par abadiyan daryaon ke qareeb qaim hua karti thien. Qadeem door ke chotay chotay muashron mein abad insan bhi jhagralu fitrat rakhta tha is liye woh apni taqat ka muzahira karne ke liye tayar rehta tha is maqsad ke liye us ne lohe ke hathyar bana liye thay. Aur janwaron mein ghoron aur hathiyon ko jangi sawariyon ke tor par istemal kiya jata tha. Is tarah tehzeebon mein baqaida jangon ki surat mein tasadam hota tha aur talwar ke zariye jangain lari jati thien jin ka maqsad apne alaqon ki wust aur zarkheez zameenon aur maweeshiyon par qabza karna hota tha. Un jangon mein hazaron ki tadad mein log mare jate thay. Dunya mein ye surat haal satarwein sadi (17th century) eeswein tak qaim rahi jis se talvar aur degar hathyaron ke zariye taqat ka muzahira kiya jata raha.

Tarikh ke mutalia se pata chalta hai keh insan ko apni taqat ka muzahira karne ka shoq ibtida se hai ye muzahira infradi tor par bhi kiya ja sakta hai jis mein body building, karatay, gymnastics aur kheelon ka muqabla shamil hain. Is ke ilawa muzahira har ijtimai tor par riasati taqat ko zahir karne ke liye bhi kiya jata hai jis mein riasatein apni fauji taqat ka istemal karti hain aur kamzor riasaton par apna tasalat qaim kar leti hain. Tehzibon ke barmiyan tasadam jo pehle talwaron aur hathyaron ke istemal se kiya jata tha ab is ka tareeqa badal gaya hai ab kalam ki taqat ki jagah par istemal kiya ja raha hai.

Kalam aur talwar mein degar ladai mein istemal kiye jane wale hathyaron ke muqable mein kahin zayada taqat hai kyoun keh mojooda dor mein nasal insani ki aik bari tadad likhna parhna seekh chuki hai. Is liye dunya ki tamam riasaton mein hukumaton ka qayam aur is ka tamam tar kaam tehreeri tor par kiya jata hai. Tehreeri shakal mein mojod saboot adalaton ke faisalon mein numayan kardar ada karta hai is liye dunya mein tehzeebon ke darmiyan hathyaron ki jang tou khatam ho chuki hai lekin ab qalam ki jang jari hai. Kyoun keh kalam ki jang ko jeetne ke liye zayada ilm hasil karna zaroori hota hai is liye dunya ki tehzeebon mein ilm ke husool ka rujhan barhta ja raha hai. Aur zayada ilm hasil karne par dunya ke mukhtalif muashron mein afrad ke shaoor mein bhi izafa ho raha hai ab muhazab afrad apna nukta nazar waziha karne ke liye tehreeron ka sahara letay hain. Ye rehreerain jo log parnte hain un par in tehreeron ka barah-e-rast asrat muratab hote hain aur log un tehreeron ki badoolat khas tehreekon ki taraf raghab ho jatay hain. Is tarah jadeed dor mein logon mein ittehad paida karne un mein jazba qaumiat paida karne aur unhain siasi tor par mutehrik hone ke liye qalam talwar aur hathyaron se zayada mosar wasila hai.
logoblog

Thanks for reading Kalam Mein Talwar Se Zyada Taqat Hai Urdu Essay Talwar Aur Kalam Speech Qalam

No comments:

Post a Comment