Kaghan Valley Travel Guide In Urdu Kaghan Ki Sair Beautiful Place Tourism

  Lal Gulab      

Kaghan Valley Travel Guide In Urdu

Wadi Kaghan Ka Safar Aur Kahani: Aaj kal pakistan ke maidani ilaqon main chalchilati garmiyon ka zor hai darul khilafa islamabad main bhi darja hararat 40-45 centigrade tak puhnch jata hai, aise mein Murree ke sath Naran aur Kaghan ko kon bhool sakta hai, yahi wajah hai ke tapti garmi se bhagne ke liye hum ne hazara ki haseen wadi kaghan ka rukh kia, kaghan jane ke liye jab ham bala kot puhnche to bohat si purani yadain taza hoien. Ye shehar 8 octber 2005 ke zalzale main buri tarah tabah hua tha hazaron log lukma ajal hue anan fanan ek hansta khailta shehar main bos hogaya. Allah Ta'ala apne kamon ke israr o ramoz se waqif hai. Ab ye azsar no ek hasta basta abad shehar hai, bad main jheel saif ul mulook jate hue hamari jeep ke driver ne bataya ke wo bala kot ka rehaishi hai iska ek beta school mansehdam hone ki waja se shaheed hua dusra bach gaya tha. Ise kafi shikayat thain ke hakumat ne in se kiye hue wade abhi tak pure nahin kiye. Bakol iske agar mushraf hota to hamare sath insaf hota. Bala kot main syed ahmed shahed bralvi aur ismail shahed ki qabarain hain inhon ne sikhon ke khilaf jihad main hisa lia tha aur bala kot main shahadat pai. Bala kot main daryae kinahr zor o shor se beh raha hai ye darya wadi kaghan ki shai rag kehlata hai ye jheel lo losar ke mukam par gileshar se nikalta hai aur puri wadi ko sairab karta hua muzafara bad ke kareeb darya e jehlum main zaam hojata hai.
Kaghan Valley Kahan Hai: Ye haseen janat nazeer wadi kaghan suba khyber pakhtunkhwa ke hazara division main wakiya hai. Ye ilaka qudarti husun o khoobsurti se mala mal hai bala kot ke bad khushk hawaon aur sar sarate hue pairon ne hamara istakbal kia. Air conditon band karke gari ke seshe khol diye, raste ke ek janib darya e kinhar zor o shor se sanglakh chathano se takrate hue baih raha hai. Is dariya ko ek zamane main lakri ke bhari tano ki bar birdari ke liye bhi istamal kia jata tha. Bala kot ke bad hamara safar jeep par tha yahan ke makami bashinde gojar kehlate hain ye bashinde khana badosh hote hain aur mausam ke lehaz se mukhtalif ilakon main harkat karte hain octber ke bad se naran ke ilake main amuman baraf bari shuru hojati hai isi waja se hamain raste bhar inke kafle milte rahe, ye apne mal asbab, mal mawaishi, bar birdari ke janwar samait paharon ke neche utarte hain. Maidani ilakon main khaime gar kar apna thikana banate hain hamare bachpan main hamare ilakon main ye log bari tadad main ajate, hamain in se daraya jata tha ke apne ghair dar firakon main chupa kar le jainge. 

Ek makhsos kisam ki badbu hamain inki amad se matlah karti. Khawateen ziyada gharon main jakar faal nikalten ya bakool inke qeemti pathar, salajeet aur choti moti ashiya firokht kartain. Mard ziyada tar khaiti bari main logon ki madad karte bad main jab main ne duniya ke khana badoshon ke bare main jana to hairat angaiz tor par in sab main ek mamasilat nazar ai. Maidano main sardiyon ke ikhtatam ke sath inka paharon main wapsi ka safar shuru hota hai. Paich dar paich pahari raston par charhte hue husun o khoobsurti ke sath khoof bhi ham ahang hota hai. Ab ye raste kadre kushada hochuke hain kahen kahen par chatanain larhakne se aur pahar kate jane se tameerati kam jari tha is se fiza kafi gird alood thi. Shogirah ke satah samandar se bulandi 7800 fit hai hamara kayam muhkama janglat ki aram gah ya rest house main tha. Iske sath ek wasih o arez khubsurat lawn hai aur samne baraf posh chotiyon ka haseen nazara, shumal ki janib baraf posh choti ka name mosi ka masla hai.

Sardi mehsoos hui to ek sweater aur shawl le lia ird gird degar kafi khubsurat aur awla pai ke hotel dikhai diye, superose hotel main jakar coffee pi ittefaq se ek aziz iske malkan main se hain. Ghore wale apne mazin ghoron par sawariyan kara rahe hain jeeps ek aur balai hise siri pai ki janib jane ke liye tayar then. Is qadar dil fareebi aur afiyat par Allah ka behad shukar ada kia ke aman o aman ki surat e hal is khite main abi tak behtaren hai. Log khush mizaj, mehman nawaz aur mazhabi hain, yahan ki aam zaban hindko hai jo punjabi se milti julti hai. Akhrot ke darakht yahan kafi tadad main nazar ae in main abi hare akhrot the jo galban garmi khatam hone ke sath tayar hojate hain. Ja baja shehaid ke chaton ke dabe the. Shehid ki makhi ki afzaish aur iska hasool yahan ki ek bari sanat aur zariya maash hai. Bazaron main makami sanat kari ki kashmiri shawls, akhrot ki lakri ki ashiya aur degar kafi masnoat barae firokht then. Saif ul malook jheel yahan ke ek behad haseen jheel, baraf posh paharon ke darmiyan ek zamardain piyale ki tarah hai. Ye jheel qudarti husn o jamal ka shahkar hai iske mutalik ek mashoor romani dastan shahzada saif ul malook aur koh kaaf ki pariyon ki shahzadi badar jamal ke mutalik hai kahin kahin badiah jamal istamal hua hai. Ye ek lambi kahani hai mukhtasir ye ke is jheel main pariyan nahati then aur shahzada is pari par ashiq hogaya, shahzade ki behoodgi dekhiye ke nahati hui pari ke kapre chupa dale ta ke wo urr na sake. Makami lok dastanon main ye kahani ga ga kar sunai jati hai.

Malika e bartania aliza baith aur inke shohar jab 1959 main pakistan ke dore par ae to is waqt ke sadar ayoob khan bator khas inko helicopter main jheel saif ul malook le gae. Inke liye bator khas ek cabin banaya gaya tha. Hamara group naran tak apni gariyon main gaya, raste main khaniyan ke makam par isi aziz ke hotel main kuch dair ruke ye hotel cheeni pigoda tarz ki tameer ja baja nazar ai mujhe ye guman hua ke shayad zilzile main cheeni imdad ka nateja hai lekin phir maloom hua ke ye yahan ka maqbool tarz tameer hai is hotel main aur degar makamat par behad khubsurat gulab aur mausam bahar ke phool khile hue the. Intehai khubsurat makam, kinhar patharon se sur marta, takrata hua zoro shor se beh raha hai. Pani ke is zor o shor ko daikh bar bar yahi khayal ahraha tha ke kash pani ki kuwat ko kabu main kardia jata aur is par behtaren daim tameer kardiye jate ya kardiye jain to bijli ki kamyabi ka masla koi masla hi na rahe. Khud in ilakon main kai kai roz bijli gaib hoti hai. Shogran main bijli 24 ghante band thi jabke kahniyan main 3 roz se bijli gaib aur sara daro madar generator par tha. Kahin kahin raste main chote turbine nazar ae. Jin mumalik main is tarah ka pani o dariya mayasar hain inhon ne in se bharpoor faida uthaya hai. America ne 1935 main colarado dariya par har hoover daim banaya to riyasat nawada aur arezota ki bijli aur pani ki zaruriyat ko azhad pura kia gaya. Isi ke natije main las vigas shahir abad hua wo shahir jo roshniyon ki chaka chond ka shahir hai aur jahan kabhi rat nahin chati. Raste main kaghan aur jaraid ke kabze mile kaghan main pichli martaba trout machli ki afzaish ke makam par gae is tarah ki ek haichiri sawat main madain main wakiah hai. Trout machli barfani pani ki machli hai aur baihte bue barfani pani main zinda rehti hai. Jaraid ki shawl, kambal, oon bane aur lakri ke masnooat ke chote karkhane hain.

Naran tak ke raste main jabaja bare bare glyshairs milte rahe, baraf ke in todon ko kat kar guzar gah banai gai hai inke andar se rasta hua pani dariya main shamil horaha tha. Yahan ke raste may ke wasat main khole gae hain aur yahan ki chahil paihal september ki akhir tak khatam hojaigi. Thande ilakon ke basiyon ko garmi ka kis kadar shidat se intazar hai koi in se puche? Naran ka kabza ab ek shahir ka roop dhar chuka hai kafi bara bazar beshumar hotel aur had darja chahil paihal yahi se jeeps kirae par lekar ham saif ul malook ki janib rawana hue. Saif ul malook tak ka rasta kushada to kardia gaya hai lekin behad kharab sarak kehna to ziyadti hojaigi. Jheel saif ul malook satah samandar se 10550 fit ki bulandi par wakiya hai yahan par raste main glyshairs mile jo kafi taizi se pighal rahe hain soja se jabaja pani ki kaifiyat kadre sailabi thi. Dus hazar fit se bulandi par darakht khatam hojate hain aur mehaz ghas ya chote pode ugg sakte hain. Chonke main apni pichli yahan ki amad ko yad kar rahi thi jab is jheel ko daikh kar mujhe ye sab kuch mawrae duniya laga tha aur bilkul sehar zada hogai thi is waqt logon ki amad o raft bhi kum thi ab masha Allah hazaron log the. Ab jheel ke kareb kafi bara bazar aur hotel resturant bane hue hain, mujhe to ye tijarti pan bilkul nahi bhaya. Jheel ko daikha to aise laga ke pariyan rooth chuki hai aur shahzada kahin khuwab gaflat main madhosh hai. Iske bawajood barfani chotiyon aur glyshairs ki dhalwan par phisalne ke liye tube ki seats kirae par mil rahi thin jis par sab khoob lutuf andoz hue.
logoblog

Thanks for reading Kaghan Valley Travel Guide In Urdu Kaghan Ki Sair Beautiful Place Tourism

No comments:

Post a Comment