Jahangir Tomb Urdu History Jahangir Ka Maqbara Jahangir Tomb Information Wallpapers

  Lal Gulab      

Jahangir Tomb Urdu History Jahangir Ka Maqbara

Jahangir Tomb Information In Urdu: Jahangir ki walida mashoor rajput maharani Maryam thi is ki paidaesh hindustan ke mashoor maroof bazurg Sheikh Saleem Chisti ki khanqah mein hoi. Ye khanqah Agra ke qareeb Fatah Pur Sekri mein waqia thi. Us bazurg hasti ke naam par shahzade ka naambhi Saleem hi rakha gay. Riwayat mein ye bhi aata hai keh shahzada saleem usi bazurg ki duaon ka natija tha. Naiz Akbar badshah ko hamesha shekhu baba ke naam se pukarta tha kyoun ke woh ahtraman bazurg ka naam apni zuban par nahin lana chahta tha. Agarcheh shehzade ki taleem o tarbiyat aik khas mahool mein ki gayi thi lekin Saleem us waqt ke halaat se mutasir hue baghair na reh saka aur mehlati sazish us par bhi asar andaz ho kar rahien yahan tak keh baap betay ke taluqat mein had darja kasheedgi paida ho gayi aur yehi kasheedgi 1599 mein baghawat ka sabab bani. Saleem ne baghawat kar ke Bahar par qabza kar liya aur apne baap ki itaat se munharif ho kar apni badshahat ka ilan kar diya.
Maqbara Jahangir Tomb Wallpapers
1601 mein jahangir aik bare lashkar ke sath Agra ki taraf barha lekin Akbar ki difai karwaiyon ki wajah se woh wapas chala gaya. 1605 mein Akbar ka inteqal hua tha jis ke baad us ki wasiyat ke mutabiq Jahangir mughlia khandan ka chotha shehanshah bana. Abhi jahangir ko takht par baithay thora hi arsa hua tha keh usay apne bare betay ki baghawat ka samna karna para. Us ka khayal tha ke is baghawat mein rajput us ka sath dain gey. Chunanchay woh fauj jama karne ke irade se Agra se bhag kar Lahore chala aya.
Is ke thoray arsay baad jahangir bhi us ke taqab mein lahore pohanch gaya.

Darya-e-ravi ke kinare baap betay mein aik khoonrez ladai hoi jis mein us ke betay ko shikast fash hoi aur woh maidan jang se bhag nikla. Lekin shahdra ke qareeb pakra gaya. Agarcheh baap betay mein masalhat ho gayo lekin shehanshah jahangir ne apne betay ki is gustakhi ko maaf nahin kiya aur us ka beta 1622 mein intqal kar gaya tha. Is ke baad se jahangir ki aik bari preshani door ho gayi.
1622 mein jahangir ke dusre betay shahzada khurram ne apne baap ke khilaf baghawat kar di us baghawat mein shehzada khuram aur nor jehan ki bahmi ranjish ka bara dakhal tha. Noor Jehan ye chahti thi keh delhi ke takht par baithe lekin asif khan khufia tor par apne damad ki madad karta tha. Darbar mein Noor Jehan ka zor tha. Is liye mughal shehzadon ke aam dastoor ke mutabiq khurram ne bhi takht par qabza karne ke liye deccan mein apne baap ke khilaf baghawat ki. Is par Noor jehan ne mahabat khan ko jo aik afghan sardar tha shahzada khurram ki sarkobi ke liye bheja. Mahabat khan ne shikast de kar khuram ka naak mein dam kar diya. Woh jaan bachane ke liye kabhi dekan se bengal ki taraf bhagta tha tou kabhi bengal se deccan ki taraf akhir tang aa kar us ne 1626 mein mahabat khan ke samne hathyar daal diye aur baap se maafi mang li is tarah khurram ki baghawat ka khatma hua.

Is fatah se mahabat khan ka iqtdat bohat barh gaya. Noor Jehan usay apne sath milana chahti thi takeh sheharyar jahangir ki wafat ke baad asani se takht par baith sake. Lekin mahabat khan ne inkar kar diya. Is liye noor jahan ne us par khayanat ka ilzam laga kar darbar mein talab kiya. Jahangir us waqt kabul ja raha tha aur darya-e-jhelum ke us taraf deray dalay para tha. Noor Jahan aur shahi fauj darbar ke paar pohanch chuki thi keh mahabat khan 5000 sapahiyon ko lay kar jahangir ke khemay ke samne pohanch gaya aur jahangir ko akelay pa kar harasat mein le liya noor jahan ne us ko churanay ki koshsih ki lekin kamyab na hoi. Akhir woh khud bhi jahangir ke paas chali ayi aur mahabat khan ne usay bhi nazar band kar diya. Yahan se ye qafla kabul pohancha Asif Khan pehle tou farar ho gaya magar phir Noor Jahan ke ishare par kabul mein mahabat khan se ja mila aur shahi fauj mein phoot dilwa di. Wahan noor jahan ne khufia tor par bohat si fauj jama kar li aur badshah ko mahabat khan ki qaid se nikal kar lay gayi. Mahabat khan bhag kar deccan mein shehzada khurram se ja mila jo takht par qabza karne ke mansoobay bana raha tha. Noor jahan ne is ke baad khan jahan lodhi ko shahi lashkar ka sapah silar muqarar kiya aur hukam diya keh baghiyon ko kuchal diya jaye. Lekin mahabat khan ke khilaf koi faisla kun iqdam uthane se pehle hi jahangir intqar kar gaya. Us ne 22 saal hukumat karne ke baad wafat payi us ki dead body lahore layi gayi us ki miyat ko jis maqbara mein  dafan kiya gaya us ka intekhab noor jahan ne kiya tha aur apne kharch se aik shandar maqbara bhi usi ne tameer karaya.
logoblog

Thanks for reading Jahangir Tomb Urdu History Jahangir Ka Maqbara Jahangir Tomb Information Wallpapers

No comments:

Post a Comment