Jabir ibn Hayyan Urdu History Jabir ibn Hayyan Information Contribution Jabir Bin Hayan

  Lal Gulab      
Jabir ibn Hayyan Urdu History

Jabir bin hayan wo pehle science dan the jinhen duniya ne chemiadan ka name dia. Ap abbasi dor ke namwar shakhsiyat the. Magrib mein apko jebar kaha jata hai. Ye darasal lateni zaban mein jabir ki bigri hui shakal hai, is liye agar angrezi ki kitabon mein ap likha hua dekhen to samajh jaen ke is se murad science dan jabir bin hayan hai. Jabir bin hayan 737mein iran ke suba rizawi khirasan ke tarekhi shehar toos mein paida hue. Jabir bin hayan abhi kum umar the ke un ke walid ahmed hayan wafat pagae. Maa aur beta duniya mein akele reh gae. Khirasan mein un ke khandan ka koi fard nahin tha, lehaza un ki walida unhen tarbiyat aur hifazat ke khayal se apne watan yaman wapis le aen. Yahan ap ke nanhiyal ka kabila azd tha, jaha ap se muhabat karne wale aur dekh bhal karne wale buhat log the.

Jabir bin hayan ne Quran Pak ki taleem ek laiq ustad harbi ul hameri se hasil ki. Unhi se apne riyazi aur falsafe ke alom hasil kiye. Ap ne Hazrat Imam Jaffar sadiq as se mazhabi talem hasil ki. Ye unhi ka faiz tha ke ap zindagi bhar sakhti se mazhab ki pabandi karte rahe.

Jabir bin hayyan ne ilam hasil karne ke liye zindagi mein buhat se safar kiye. Ap yaman se kharasan, kharasan se wapis yaman phir yaman se madina munawara gae. Madina munawara hi mein apne Hazrat Imam Jaffar sadiq as se ilam hasil kia. Imam ki wafat ke bad ap iraq ke shehar kufa chale gae. Kufa mein ap sunaron ki gali nami kuche mein rehne lage. Yahan apne beshumar scienci tajarbat kiye aur mutadad kitaben likhi. Khalifa haron ul rasheed ko ap ke ilam o fazal aur kam ka pata chala to inhon ne apko bagdad bulalia. Ap ek lambe arse tak bagdad mein rahe. Lekin hasb bagdad ke siyasi halat kharab hue to ap wapis kufa agae. Baki umar ap kufa men hi rahe. Akhiri umar mein sirf ek dafa khalifa mamon ul rasheed ki dawat par iske darbar mein khilat yani shahi inam lene ke liye gae. Jabir bin hayan apne zamane ke un chand logo mein se the jo yunani zaban buhat ache tareke se jante the yunani zaban is liye eham thi ke is zamane mein science ki zayada tar kitaben yunani zaban mein likhi hui thi. Apne yunani zaban se barae rast ilam hasil kia aur ise arbi mein tarjuma bhi kia .

Jabir bin hayan tajarbati chemia ke bani hein. Is s pehle chemia mein tajarba karne ki koi riwayat na thi. Ap wo pehle chemiadan the. Jinhon ne bakaida ek tajarba gah banai thi. Apka kehna tha. Chemia mein sab se zaruri tajarba hai. Jo shakhs apne ilam ki bunyad tajarbe par nahin rakhta wo sakhat galti karta hai.

Sadiyon pehle jabir bin hayan apne tajarbat ke zariye se atom ki andruni sakht janne ke buhat kareb puhnch gae the. Ap ne ye raz palia tha ke tamam dhaten ek hi chez se bani hui hoti hen. Tamam dhaton mein bunyadi farak sirf tawazun ka hota hai. Agar ise tabdel kardia jae to ek dhat ko dusri dhat mein tabdel kia jasakta hai. Aj taqat war khurd beno ki madad se insan janchuka hai ke tamam dhaten atoms se bani hen aur in mein sirf zarat, Electron, proton, neutron ki tarteb aur tadad ka farak hota hai. Jaded science ko atom ki is bunyadi sakht ka ilam 18 aur 19 sadi mein hua jab ke jabir ne aj se bara so sal pehle apne tajarbat se is bat ka andaza laga lia tha.

Duniya mein sab se pehle jabir bin hayan ne chamra rangne, khazab tayar karne, lohe ko varnish karne, dhaton ko saf karne, mom jama banane, lohe ko zang se bachane aur folad banane ke tareke batae. Karah aneeq jabir ki kabil qadar ejad hai jis se kashed karne, araq khenchne, sat ya johar nikalne ka kam lia jata tha. Ap ka tayar karda shore ka tezab aj duniya bhar ki takriban har factory mein istamal horaha hai. Is ke bager koi chemical factory kam nahin karsakti. Is tareke ke zariye se apne citric acid, tatric acid, hydrochloric acid jaise taizab bhi tayar kiye jo faslon ki behtri mizail technology, loe se folad: steel: banane aur khadon ki tayari mein istamal kiye jate hen. Is se ap andaza kar sakte hen ke ane wali naslon par jabir ibn hayan ka kitna bara ehsan hai.

Jabir bin hayan ne ten hazar ke kareb mazamen aur kitaben likhi. Ap ne sirf science hi par nahin balke shairi aur tarekh par bhi kitaben likhi. Sadiyon pehle apki zayada tar kitaben latin zaban mein tarjuma hochuki thi. Is ke bad angrezi aur franci mein bhi apki buhat si kitabon ke tarjume hue. Ap ki eham taren kitabon mein, Isar ul chemia, Asool ul chemia, Al Rehmat, Al maktasab, Al khamair, Lasgera, kitab ul khawas shamil hein. Apne yunani zaban se tarajum kiye jin mein Aklidas ki hindsa aur badlimoos ki mujasti eham hen.
logoblog

Thanks for reading Jabir ibn Hayyan Urdu History Jabir ibn Hayyan Information Contribution Jabir Bin Hayan

No comments:

Post a Comment