Hyderabad Deccan History In Urdu Hyderabad Deccan City Culture Muslim Population

  Lal Gulab      

Hyderabad Deccan History In Urdu

Hyderabad bharat ka chotha bara shehar hai aur riasat telangana ka sadar muqam hai riasat andhra pradesh ka bhi 10 saal tak yani 2024 tak sadar muqam rahe ga. Hyderabad shehar ko bharat ka dusra sadar muqam bhi kehte hain wajah ye hai keh yahan bharti sadar ki dusri sarkari rihaesh gah hai.

Taruf - Introduction of Hyderabad Deccan

Ye shehar hindustan ki janoobi riasaton andhra pradesh aur telangana ka mushtarka darulkhilafa hai. Nazam ke dor-e-hukumat mein darul saltanat raha hai. Hyderabad deccan apne sunehri tareekh aur saqafat ki wajah se mashoor hai. Is city ko motiyon aur Musalman nizaam badshahon ka shehar kaha jata hai yahan Musalmanon ki aksariyat hai. Urdu aur Telugu yahan ki boli jane wali bari zubanain (languages) hain. Mojooda dor mein information technology, IT aur bio technology ka markaz mana jata hai. Hyderabad ke Infotech park ko cyberabad ke naam se jana jata hai.

Ye bartanwi hindustan mein alag riasat thi aur wahan is ka apna sikah raej tha aur apni hukumat thi lekin jub 1947 mein bharti hukumat qaim hoi tou is ne deccan ki hukumat ko 1948 mein aik fauji action ke zariye hindustan mein shamil kar liya. Is shehar ko 2010 mein bharat ki 6th largest city aur populous urban city ka khitab bhi diya gaya tha. Population taqreeban 70 lack hai yahan ki abadi urdu tehzeeb, tamadan riwayat adbi saqafti aur mazhabi hai.

Ibtidai Tareekh Hyderabad Deccan

Is riasat ka geography naqsa har door mein badalta raha 17 september 1948 tak jub hindustani faujon ne nazaam ki hukumat ka khatma kiya us waqt tak bhi aik azeem raqba par pheela hua 86000 muraba meel par pheela hua Englistan aur Scotland ke majmoi raqbay se bhi zayada tha.

Makkah aur Madina ke pani aur bijli ke kharch bhi riasat hyderabad ne apne zumay lay rakhe thay aur is azeem maqsad ke liye Madina Building ke naam se shandar emaratain jo keh aaj bhi baqi hain Makkah aur Madina ke liye waqaf thien jin ke karaye Makkah aur Madina ko bheeje jate thay is ke ilawa hajiyon ko rehne ke liye Harmain se qareeb emaratain bhi banwai gayi thien. Riasat Hyderabad ki khasoosiyat ye thi keh ye hamesha aman ka alambardar aur ilm o adab ki aik aisi riasat thi jis ko dunya ke ulma, danishwar aur morkheen ne aa kar apni khidmat se mazeed char chand lagaye.

Geografia Aur Abadi - Geography And Population

Hyderabad janoobi riasat telangana ka mushtarka darul khilafa mana jata hai is alaqay ki adabi taqreeban 70 lakh ke qareeb hai.

Best Dishes Of Hyderabad Deccan

Yahan beshumar lazeez pakwan paye jatay hain yahan ki apni khas dishes bhi hain jo na sirf is riasat balkeh Pakistani alaqon mein bhi payi jati hain aur pasand ki jati hai jin mein Gyderabadi Biryani, Khicidi waghera is ke ilawa aur bhi mazedar khane hain jin par aglay edition mein roshni dali jaye gi.

Sayahti Muqamat

Shehar hyderabad mein dekhne laiq kayi tameerat hain jin mein mashoor Char Minar sub se aham hai is ke ilawa Makkah Masjid, Salar Jung Museum, Qutab Shahi Maqbaray jese muqamat hain.

Hyderabad Ka Mausam - Hyderabad Deccan Weather

Yahan ka mausam saal bhar mein taqreeban garam hi hota hai idhar barsaat ke dinon mein bhi ye dekha gaya hai ke barish bohat kam maqdar mein parti hai par december ka maheena aisa hai jis mein darja hararat mein thori si girawat ho jati hai.

Tijirat - Business

Kayi bharti shehron ki tarah yahan real estate ke karobar mein bay intihai izafa dekha gaya hai.

Tehzeeb o Saqafat - Hyderabadi Culture

Ye shehar apni ganga jamuna tehzeeb ke liye jana jata hai. Nizam deccan ne Hyderabad ke hindu aur Musalmanon ko apni 2 ankhon se tabeer kiya tha ye shehar urdu tehzeeb ka markaz hai.
logoblog

Thanks for reading Hyderabad Deccan History In Urdu Hyderabad Deccan City Culture Muslim Population

No comments:

Post a Comment