Speech Himmat Kare Insaan Tou Kya Nahin Ho Sakta Essay In Urdu
Himmat, tahamal aur burdbari ka matlab kisi kaam ko anjam dena aur us kaam ko paya takmeel tak pohanchane mein jo dushwariyan aur mushkilat ayien unhain bardasht kar ke sabat qadam rehna hai. Himmat har mushkil kaam ko asaan bana deti hai himmat ke istemal se gurez karne wala insan susti, kahli aur nikamay pan ko dawat deta hai. Allah ne insan ko jitni bhi salahitain ata kien hain us ka sahi istemal insan ko insaniat ke azeem darje par pohancha deta hai.Dunya ki taraqi ijadat tehqeeq aur science ke karnamay, enjine, rail gariyan, mawaslati nazam, telephone aur atomi tawanai insan ki chand tak pohanch aur hua aag aur pani par hukamrani sub himmat ke karishme hain. Agar insan himmat kare tou mitti se sona paida kar sakta hai. Tareekiyon ka safar tark kar ke shohrat aur daulat hasil kar sakta hai. Himmat aur sahi tarika par mehnat ke baghair koi insan kamyabi hasil nahin kar sakta.
Himmat, mehnat istaqlal aur burdbari ke zariye hi bare bare sayasatdan doctor aur kalamkar is muqam-e-khas tak pohanche jahan aaj hum unhain khara dua pate hain. Tamam afrad jo kamyabi ke is zeenay tak pohanche woh mushkliyon ka muqabla sabat qadmi se kartay hain aur apne nisbul ain ki taraf gamzan rehte hain aur yehi wajah hai keh woh apne manzil maqsood tak pohanch gaye. Insan ke liye koi kaam mushkil o na mumkin hain hota siwaye un kamon ke jo Allah Ta'ala ke hain maslan takhleeq-e-kainaat sirf Allah hi kar sakta hai koi dusra is ka ahl nahin ho sakta. Aaj ka insan chand tak gaya, zameen-o-asman kohsaron gharz har shay ko taskheer kar chuka hai aur ye sub khuch sirf himmat mehnat lagan istaqlal aur azam ki badolat hai.
Himmat ke agey na samandar rukawat ban sakta hai aur na pahar himmat mein laghzish paida kar sakte hain aur na hi dasht o sehra aaj tak insan ka rasta rok sake hain. Tariq Bin Ziyad ne apni himmat o shujat ka ilmi muzahira kiya jang-e-badar mein mujahideen Islam ne is ka ilmi saboot diya, undlas ki sar zameen Musalmanon ki himmat o azmat ki gawah hai aur Afghanistan se Russia ka inkhila azam-o-himmat ki munh bolti tasweer hai.
Abhi kal hi ki baat hai keh hamare azeem rehnuma Qaid-e-Azam ne is watan ke liye woh kiya jo na mumkin tha. Bar-e-sagheer ke tamam Musalmanon ne himmat aur azam se kaam liya aur sabat qadam rahe shujat o bahadari se aik mazboot chitaan ki tarah dushmanon ke samne datay rahe aur bil akhir Khuda ne kamyabi de hamkinar kiya. Isi tarah dunya ki deegar bari bari hastiyon ki sawaneh hayat ka mutalia humain un ki kamyabi mein panhan raaz tak pohancha de ga jo keh himmat o istaqlal mein posheeda hai. Yehi wajah hai keh himmat kare insan to mushkilat khatam ho kar kamyabi ki manzil ban jati hai.
No comments:
Post a Comment