Hazrat Data Ganj Bakhsh Urdu History Hazrat Ali Hajveri Data Ganj Bakhsh Information Introduction

  Lal Gulab      

Hazrat Data Ganj Bakhsh Urdu History

Hazrat Ali Hajveri Data Ganj Bakhsh Introduction - Naam-o-Nasb: Aap ka pura naam shaikh syed abu al hassan Ali hajwairi hai. Kaniyat abu al hassan lekin awam o khawas sab main "ganj bakhsh" ya "data ganj bakhsh" (khazane bakhshne wala) ke laqb se mashoor hain. Aap 400 hijri main ghazni shahir se mutasil ek basti hajwir main paida hue. Aap ke walid bazurgwar ka isam grami syed usman jalabi hajwairi hai. Jalab bhi ghazni se mutasil ek dusri basti ka name hai jahan syed usman rahte the. Ali Hajwairi Hazrat Zaid ke waste se Imam Hussain ki aulad se hain.

Aap Ki Tareeq

Aap ke nazdik sofi sifa se mashtik hai aur sifa ki asal dil ko gair Allah se maktah aur dunya gadar se khali karke ise Allah se jorna hai. Goya iska matlab ikhlas aur sachi muhabbat ke sath khuda ki bandagi ki rah ikhtiyar karna hai. Na ke koi khas o zah katah ikhtiyar karna. Aap farmate hain ke talib ko tamam ehwal shara aur ilm ka pero hona chahiye. Kyoun keh Sultan ilm Sultan hal par galib aur iske afzal hai. Chunacha aap chalis hazar baras musalsal safar main rahe lekin kabhi namaz ba jamat naga nahin ki. Aur har juma ki namaz ke liye kisi kabza main kayam farmaya. Aam rahan sehan aam logon ki tarah rakhte. Sufiyon ki zahri rasom aur wa zah katah se aap shaikh tarikat shaikh abu al fazal muhammad bin khatli rahmat ullah alhai ki tarah hamesha mujtinab rahe. Balke is se aap ko ek gona nafrat thi, aur in chezon ko yakari o numaish aur masiyat ka naam daite the.

Nikah ke bare main aap ne farmaya ke jo shaks makhlok main rahna chahye is ke liye nikah karna shart hai. Aur agar bagair nikah ke is ke zana main mubtala hojane ka andaisha hoto is ke liye nikah farz hai. Lekin jo makhlok se alag thilag rahta ho is ke liye majroor rahna acha hai ta ke iski waja se koi naik pareshan na ho aur wo bhi yaksiwi ke sath Allah ki mulazimat karsake. Aap chonke apni umar ka baishtar hisa Safar aur musafirat hi main rahe. Is liye aap ne shadi nahin ki balke tajrad ki zindagi guzar di. Lekin tajro ke halakat khaiz khatrat ke silsile main farmate hain ke Allah azwa jal ne giyara baras tarwij nikah ki afat se bachaya. Lekin takdir main likha samne aya aur main ne bin daikhe aap puri sifat ka dil o jan se garwida hogaya. Aur ek sal is tarah is main mustarik raha ke karib tha ke maira deen tabah barbad hojata. Lekin Allah talah ne apne kamal lutuf o meherbani se mere dil par asmat o pakezgi ka faizan farmaya aur apni rahmat se mujhe is afat se nijat bakhshi.

Lahore Mein Amad Aur Qayam

Aap apne murshid ke hukum se khuda ke deen ki tablig o ishat ke liye sultan mehmood ghaz navi ke bete nasir ul deen ke zamane 1030 ta 1040 main lahore tashrif lae. Aap se pahle aap ke peer bhai hussain zanjani is khidmat par mamor the. Is liye jab ap ko lahore ane ka hukum hua to ap farmate hain ke main ne shaikh se arz kia ke wahan hussain zanjani mojood hain meri kia zarurat hai lekin shaikh ne farmaya nahin tum jao farmae jate hain ke main rat ke waqt lahore puhncha aur subha ko hussain zanjani ka janaza shahir se bahir bulaya gaya.

Tabligh o ishat deen ke silsile main ap ne barsageer hind ke dusre hison ka bhi safar kia. Chunacha ap kashaf ul mahjoob main hazrat abu haleem habib bin aslam rai ke halat main likhte hain ke shaikh rahmat ullah alhai ki aur bhi bohat si riwayatain hain. Waqt ki tangi ki waja se inhain chorta hon aur mujhe ye sakht waqt paish ahrahi hai ke meri kitabain ghazni main hain aur main mulk hindustan ke ek gaon bhanor main hon jo ke multan ke gird o nawah main wakiya hai aur bilkul gair jinso main giraftar hon.

Roza Mubarak

Aap ka roza nasir ul deen masood ke bete zahir ul deen dola ne tameer karwaya. Aur khanka ka farsh aur dewarhi jalal o deen akbar badshah 1555 ta 1605 ki tamer hain. Khuwaja moeen ul deen ajmiri 1639 aur Baba Farid ne kasb faiz ke liye aap ke mazar par chila kashi ki, aur moeen ul deen ajmiri ne chila ke bad rukhsat hote waqt ye shair kaha, ganj bakhsh faiz aam mazhar noor khuda naksan ra peer kamil, kamla ra rahnuma is se ap ki. Ganj bakhsh ke naam se shohrat hui.

Aap Ki Tasaneef

Aap ne hasb e zail kutub ki tasnif farmai, lekin ab kashaf ul mahjoob ke siwa koi aur kitab nahin milti.
  1. Kashaf ul Mahjoob
  2. Kashaf ul Israr
  3. Minhaj ul Deen ye kitab ashab-e-safah ke manaqab par thi.
Shair o shairi se bhi aap ko dilchaspi thi. Aur aap ka deewan bhi tha. Kashaf al mahjoob main iska zikar karte hue ap ne likha hai ke baaz log dosron ki tasanif ko apne naam se mansoob karke shayah kardaite hain. Chunacha ek shakhs ne mujh se mere shairon ka deewan daikhne ke liye manga aur phir wapis nahin kia. Aur is ke shuru se maira naam maho karke apne naam se paish kardia. Chonka deewan ka yahi ek nuksa tha jo wo le gaya. Is liye main kuch na karsaka aur is ne meri mahnat ko barbad kardia. Isi tarah ek aur shakhs ne meri dosri kitab minhaj ul deen jo main ne tasoof par tasnif Ki thi mujh se mangi aur is par se mera name mita kar awam alnas main ise apne name se shayah kar diya.

Mashoor Qol - Quotes:
Aap farmaya karte: nafs ko iski khuwaish se dor rakhna haqeqat ke darwaze ki chabi hai.
logoblog

Thanks for reading Hazrat Data Ganj Bakhsh Urdu History Hazrat Ali Hajveri Data Ganj Bakhsh Information Introduction

No comments:

Post a Comment