Hazrat Baba Farid Ganj Shakar History In Urdu
Shaikh al alim hazrat Baba farid ul deen masood ganj shakar barsageer main chishtia silsile ke azeem sufi buzrig hain. Ap ka mazar pak patan pakistan main hai.
Khandani Pas-e-Manzar: Azeem sufi buzrig aur shair baba farid ul deen ganj shakar ka asal naam masood aur lakab farid ul deen tha. Apki wiladat 1173 ba mutabik 589 main hui aur wisal 1265 ba mutabik 666 main hua. Apka khandani naam farid ul deen masood hai aur walda ka naam karsam khatoon aur walid muhtaram kazi jalal ul deen hain. Baba farid 5 sal ki umar main yateem hogae the. Ap bagair kisi shak o shuba ke punjabi adab ke pahle aur punjabi shairi ki bunyad mane jate hain. Ap ka shumar barsageer ke mashoor buzurgon main hota hai jinhon ne islam ki shama jalai aur sirf ek Allah ki duniya ko paihchan karwai. Baba Farid 584/1173 main multan ke ek kasbe khoto dal main paida hue the. Kaha jata hai ke in ke Aba kabul ki farukh shah ki aulad main se the. Kahte hain ke baba farid ke walid shaikh shoaib sultan mahmood ghaznavi ke bhanje the jo shabab ul deen gori ke zamane main multan ke kasba khoto wal main akar abad hue. Baaz riwayat ke mutabik in ke dada hijrat karke lahore ae aur iske bad kuch waqt kasoor main guzar kar khoto wal chale gae kuch riwayat ke mutabik ap ka silsila khalifa dom hazrat umar bin khitab ke sath jamilta hai aur aziz ul deen aur najib ul deen apke do bhai the.
Ganj Shakar Ki Wajah Tasmia
Aap ki walda majda karsam khatoon ne pehli bar baba farid ko nimaz parhne ki talkeen ki to kuch is tarah se samjhaya. Ke jab chote bache Allah Talah ki namaz ada karte hain to Allah Talah inhain shukhar ka inam daite hain aur jab bare hojate hain to dosre bare aur mazeed inamat diye jate hain. Baba farid jab namaz parhte to karsam khatoon chupke se inke musale ke neche shakar ki puriyan rakh detein.
Aur Baba Farid wo shakar ki puriyan inam main pakar bohat khush hote ye silsila kafi arsa tak chalta raha. Yahan tak ke ek martaba aisa hua ke karsam khatoon shakar ki puriyan rakhna bhool gai to agle din aztarab se pucha ke ae farid ul deen masood kya apko kal shakar ki puriyan mil gai thin? To baba farid ne haan main jawab dia! To karsam khatoon ne Allah azwa jal ka shukar ada kia ke inki laj rah gai. Aur is bat par khush bhi hui ke Allah azwa jal ki taraf se inam dia gaya tab inhon ne baba farid se kaha ke ae farid ul deen masood ap to wakai ganj shakar hain. Pakpatan is zamane main tijarti shahira par ek eham makam tha. Daryae satlaj ko yahin se par kia jata tha. Ye bat hadsati nahin hai ke punjabi ke dusre classical danishwaron ne tijarti makamat par zindagi guzari jahan inko duniya ke bare main italat milti rahti thin bohat si tarikhi dastawizat se pata chalta hai ke bohat se alim dor daraz se Grammer aur zaban dani ke masail hal karane keliye baba farid ke pas pakpatan ate the.
Shayari
In ki shairi main farsi, arbi, sanskirat ke alfaz milte hain wo punjabi shairi ke pehle shair hain.
Qawali
Hazrat Farid ke han qawali gane aur sunne ka rawaj tha lekin apke shagird hazrat nizam ul deen aulia delhi ke haan is cheez ki mamanat thi aur ise acha na samjha jata tha.
Shadi
Hamid bin wamzal jamali ka kahna hai ke baba farid ne pakpatan main hi shadi ki halanka baaz tarikhi hawalon ke mutabik wo delhi main badshah nasir ul deen mahmood ke darbar main gae jahan badshah ne apni beti hazabara ki shadi in se kardi. Lekin bad main hone wale wakiyat se pata chalta hai ke inhon ne awami rang main rahte hue apne tabke main hi shadi ki thi.
Aam Logon Se Muhabbat
Is mushkilat ke bawajood baba farid ne zindagi ko zatiyat se balatar hokar awam ke dukhon ke hawale se daikha. Main jania dukh mujhi Ko dukh sabhae jag ache charh ke daikhiya ghar ghar aihwag( main samjha tha ke dukh sirf mujhe hi hai lekin dukh to sare jahan ko hai.) uper char kar daikha to pata chala ke ghar ghar yahi aag salag rahi hai. Baba farid ki awam ke sath zati aur nazriyati dono hi aitabar se muhabbat aur pyar tha. Wo kahte hain farid ikhaliq khalaq main, khalaq wise rab manha mand akas no akhiye, jaan tas ban koi naniha (farid akhda makhlooq main aur makhlooq khuda main jagzain hai. Kis ko bura kahin jab tumhare bagair koi nahin hai.) . Farida khak na nindiye khako haidna koe jiyon diyan piran thale, moyan apar hue (farida khak ki na kadri na karo kyunke zindagi main paon is par khare hote hain aur marne par ye uper se dhanpti hai.)
Ibtidai Taleem
Baba Farid multan main minhaj ul deen ki masjid main zair taleem the jahan inki mulakat janab bakhtiyar kaki oshi se hui aur wo in ke iradat main chale gae. Apne murshid ke Hukum par bain al akwami aur samaji taleem ke liye kandhar aur dusre shahron main taleem hasil karne ke bad delhi pohnch gae.
Chistia Sarbarah
Murshid ki wafat par inko chishtia sangat ka sarbarah banaya gaya. Wo moeen ul deen chisti aur kutub ul deen bakhtiar kaki ke bad iske 3 sarbarah the. Aur hazrat mehboob ilahi khuwaja nizam ul deen aulia ke murshid the. Azeem sufi buzurg the jinho ne jageer hone ke bawajood ajodhan (pakpatan) jo k is waqt kafristan tha qabrustan main ugne wali jari se daile hasil karke pani main ubal kar khate lekin kabhi kisi se mustarshe lekar na khai. Inhon ne degar almae karam sufia karam, mashaikh aur darwaishon ki tarah muhabbat bhai chare, aman o aman aur bahemi mail jol ka dars dia jis se mutasir hokar logon ne islam kabool kia. Inke khalfa main hazrat molana badar ul deen ishak, khuwaja nizam ul deen auliai, hazrat Ali ahmed kilair sabri shamil hain.
Delhi Se Pakpatan
Kaha jata hai ke inko delhi ki shan o shokat hargiz pasand na thi jiski waja se wo pehle hansi aur phir ajodhan ya pakpatan main daira nasheen hogae. Lekin kuch riwayat ke mutabik delhi aur iske gird o nawah ki chishtia ashrafia multan ke ek kasbati nojawan ko sarbarah manne ko tayar na thi aur inke khilaf sazishain ho rahi thi jiski waja se wo pakpatan tashrif le ae. Shahyad dono batain hi durust hon ke inke khilaf sazishain bhi horahi hon aur inko apne dais ki awami zindagi bhi pasand ho. Wo kahte hain.
Wafat - Death
5 muhram al haram 1265 san eswi mutabik 666 h 92 sal ki umar main wafat pai. In ka mazar shahenshah muhammad bin taglak ne tameer karwaya jo ap ke mured the. Inhon ne khud hi kaha tha. Kandhi uprar khara kachrak nabhe dhair kache bhande rakhiye kachar tain nair (dewar par uga darakht kab tak hosla mand rahega kache bartan main kab tak pani sambhala jasakta hai.) hazur baba Sahab ne sakht bechaini aur taklif main guzara. Magar tamam namazain jamat ke sath ada kin aur tamam wazaif bhi pure kiye phir isha ki namaz jamat se parh kar aap par behoshi tari hogai. Kuch dair ke bad hosh aya to ap ne maulana badar o deen ishak se pucha ke main ne isha ki namaz parhli hai. Maulana badar o deen ishak ne jawab dia hazur isha ki namaz witar ke sath ada kar chuke hain. Iske bad ap phir behosh hogae jab hosh aya to farmaya main dusri martaba namaz ada karunga khuda jane phir ye moka mile ya na mile. Maulana badar o deen kahte hain ke is rat apne 3 martaba isha ki namaz ada ki. Phir apne wazu ke liye pani mangwaya. Wazu kia do gana ada farmaya phir sajde main chale gae aur sajde main hi ahista awaz se ya hayu ya kayoom parhte ap wasil haq habib hogae.
Aqwal-e-Zareen Baba Farid
- Insanon main razil taren wo hai jo khane pene aur pahnne main mashgol rahe.
- Jo sachai jhot ke mashabia ho ise ikhtiar mat karo.
- Nafs ko apne martaba ke liye khuwar na karo.
- Agar tum buzurgon ka martaba chahte ho to badshahon ki aulad se dor raho.
- Jab koi momin bemar hoto ise maloom hona chahye ke ye bemari iske liye rahmat hai. Jo gunahon se isko pak karti hai.
- Darwaish fake se marjate hain magar lizat nafs ke liye karz nahin lete.
- Jis dil main Allah ka zikar jari rahta hai wo dil zinda hai aur shaitani khuwahisat is par galba nahin pa saktin.
- Do shai baichne ki koshish na karo jise log kharidne ki khuwaish na karain.
- Achai karne ke liye hamesha kisi bahane ki talash main raho.
- Dusron se achai karte hue socho k tum apni zat se achai kar rahe ho.
No comments:
Post a Comment