Hard Work Urdu Essay Jehd e Musalsal Speech
Hard Work Is The Key To Success Essay In Hindi Importance of Hard Work Mazmoon
Phir Wohi Jehd-e-Musalsal Phir Wohi Fikar Maash
Manzil Jana Se Koi Kamyab Aay Tou Kya
Manzil Jana Se Koi Kamyab Aay Tou Kya
Jahad-e-Musalsal: (Hard Work) Bohat log aise hi jo kam ko dekh kar mutasir hote hain aur phir in ke dil main ye jazba paida hota hai ke wo bhi is kam ko karain phir asbab aur zarae par gor karke inhain bhi ikhatha karlaite hain aur is kam ka aghaz hojata hai. Chand din tak wo kam bohat khush o khurosh se kia jata hai aur ahista ahista is main kami waqiah hojati hai, pehle sa shok nahin rahta aur phir ek din ata hai jab ye tamam asbab o wasail apne matluba nataij paida karne ki bajae sard mehri ka shikar hojate hain in par gird jamne lagti hai aur jo kam bohat khush o khurosh se shuru kia gaya tha is ka anjam bejis khasare ke aur kuch nahin nikalta ye tameeri kam matluba nataij tak nahin puhnchte! Akhir kyun? Is liye ke kisi bhi kam ko is ke matluba nataij tak puhnchane ke liye sirf yahi zaruri nahin ke insan main shok aur himat ho, ek bohat zaruri chez tasalsul ke sath kam karna bhi zaruri hai jo log kisi kam ko tasalsul ke sath karte rahte hain woh apni kashti ko ek din zarur sahil tak puhcha kar rahte hain bohat se bache apni taleem ke liye zaruri saman muhaiya karte hain, chand din tak shok se parhte hain lekin chand din bad hi in ka shok kisi aur maidan ko talab karta hai apni taleem se ukta kar kisi aur wadi main utar jate hain aur anjam kar imtehan main nakami ka dag lag jata hai. Is ke bar aks kitne hi talib ilam aise hote hain jinhein agar cha taleem ka shok kuch zayada nahin iota lekin chonke inki mehnat main tasalsul hota hai aur woh tamam sal parhte rahte hain is liye kamyabi bhi in ke qadam choomti hai.
Kamyabi ka raaz himat aur shok ke ilawa is mehnat main posheda hai jis mehnat main tasalsul paya jae. Hafiz khateeb bagdadi likhte hain.: " ek admi ko ilam hasil karne ka shoq tha, lekin woh is maidan mein kamyab nahin ho raha tha, chunacha is ne faisla karlia ke ab ilam hasil nahin karega, is ka guzar ek pahar ke paas se hua jis choti se pani ek chatan par musalsal gir raha tha aur is tasalsul ne chatan main shagaf paida kardia tha wo bola: pani ne apni lutafat ke bawajood musalsal beh kar chatan ki kasafat main ye shagaf paida kardia so Allah ki kasam! Main bhi zarur ilm hasil karon ga phir woh ilm ki dhun main lag gaya aur ilam ko hasil karlia." is ki talab main sirf ek chez ki kami thi aur woh tha mehnat ka tasalsul. Is ki nigha e baina ne chatan ke shagaf ko daikh kar is raz ko jan lia ke talib ilam sirf wohi kamyab hota hai jo apni mehnat main tasalsul paida karle, ye kami door hui aur wo bhi alim ban gaya. Kamyabi ke liye mehnat tasalsul ke sath dilchaspi ka muzahira karne aur susti se door rahne ki zarurat hai.
Kamyabi ke raaz ko ek danah alfaz main samjhate hain: main kal ye karunga ta ke main ye hasil kar sakon ek weham se zayada kuch nahin. Ye kam na karne ke bahane hain. Sab kuch aaj hai. Mansoba kalil mudat ka ho ya taweel mudat ka is ki ibtadah aj karni hai. Kisi bhi kam ki kamyabi mehaz amal ka nateja hai. Kamyabi posheda hai is baat main ke tum apne wasail ka andaza lagao is hadaf ke hasool ke liye jisko tum pana chahte ho aur is ke bad azam o himat ke sath jehd e musalsal izat, dolat, shohrat, badshahat, emarat aur siyadat ki tamana har insan karta hai. Ameer ho ya gareeb, bara ho ya chota, musalman ho ya kafir har koi in ke hasool ke liye jadojihad aur mushkatain uthata hai. In fani ashia ki khatir insan din ki parwah karta hai na raat ki, na garmi ki tapti loain insan ke azam ko mutazalzal karti hain na sardi ki yakh hawain himat past karti hain, na mausam ki sakhtiyan aare aati hain na zamane ki be rukhiyan manzil e maksood main rukawat dalti hain.
Halat jaise bhi hon insan in ke hasool ke liye hama waqt sar garam rahta hai. Har insan ki khuwaish hoti hai ke wo duniya ke liye role model, ideal bane, muwashire main is ka makam ho, log iski izat karain, lekin bohat kum log hote hain jo kamyabi ki manzilon ko chote hain, bulandiyon par parwaz karte hain aur kasar e sultani ke gumbad par takhat nasheen hote hain. Kyun ke aam tor par insan sehal pasandi, tan asani aur aish koshi ke khogar hote hain aur kamyab ek aisi azeem naimat hai jis ke hasool ke liye mehnat aur jadojahad zaruri hai. Muwashire aur tarekh ki warak girdani se maloom hota hai ke duniya main jitne azeem hero aur leader bane inki kamyabi ka raaz mehnat, jadojahad, lagan, khud aitamadi, sabit kadmi, tayayain manzil, musbat soch, sabar o istakamat aur waqt ki qadar o qeemat ka mazmar hai. Takreban jitne log ideal bante hain inki zindagiyon main ye no chezain qadar e mushtarik ke tor par nazar ati hain. In main se har ek apni jaga ek baab aur kitab hai. Lekin khususan waqt ki qadar o qeemat ko bohat ehmiyat hasil hai, kyun ke waqt in tamam chezon ka mehwar hai. Waqt Allah ki ek aisi azeem o shan naimat hai jo ameer, gareeb, alim, jahil sab ko yaksan hasil hai. Waqt ki misal is baraf se di gai hai jo kar karati dhoop main rakhi ho jis se faida utha lia to thek hai warna woh behar hal peghal jaigi.
Is waqt Muslim muwashira jin afaton ka shikarhai in main se ek zayae waqt bhi hai. Europi muwashira apni tamam tar khamiyon ke bawajood waqt ka qadar dan hai aur zindagi ko ek nizam ke tehat ke guzarne ka paband hai, jiski badolat aj duniya main science o technology main imam ki hasiyat rakhta hai. Jo qomain waqt ki qadar karna janti hain wo sehar ko gulshan main tabdeel kar sakti hain, fizaon par kabza karsakti hain, anasir ko miskhar karsakti hain, zamana ki zamam qiyadat sambhal sakti hain aur sitaron par kamdain dal sakti hain, lekin jo qomain zayae waqt karti hain to waqt bhi inhain zaya kardaita hai. Ek arbi shair ne apne dard ka izhar youn kia: jis ka mafhoom ye hai " ke waqt aisi nafees tareen shai hai jis ki hifazat ka tumhain muklif banaya gaya hai, jab ke main daikh raha hoon ke tumhare pas yahi cheez asani se zaya ho rahi hai. " waqt do dhari talwar hamare shab o zar ko musalsal kate ja rahi hai, hamain mout ki taraf dhakaile ja rahi hai lekin hum hain ke khuwab gaflat se bedar hi nahin hote. Kamyabi ke liye sirf waqt ki qadar o qeemat hi zaruri nahin balke mehnat aur jadojihad bhi zaruri hai kyoun keh jitni qoumain ya afrad tarekh ke sunhaire haroof ki zeenat bane aur duniya main azeem karname sar anjam de gae. Wo sirf aur sirf mehnat, jadojahad ki badolat hi hua. Isi tarah sabit qadmi aur khud aitamadi bhi kamyabi ke liye eham hai kyun ke khud aitamadi ek aisi khoobi hai jis ke zariye insan apne aap main chupi salahiyaton ko ujagar karsakta hai, sabit qadmi to tamam kamon ki maa hai kyun ke nabi akhir zaman ki hadees mubarak hai " ke Allah ke haan mehboob tareen aur pasandeda amal wo hai jo daimi ho agar cha kam ho".
Musbat soch zehni aur roohani istadad main izafa karti hai aur sabar o istakamat ke bagair to zindagi guzarna hi mushkil hai kyun ke halat ek jaise nahin rahte na hamesha khushi rahti hai na ghami. Behar hal kamyabi ek aisi naimat hai jiski tamana har kisi ke maan main hoti hai lekin is tamana ko haqeqat main badalne ke liye gine chune log hi mehnat karte aur kamyabiyon se sarfaraz hote hain. Agar hum bhi science o technology, taleem o talam ke maidano main kamyabi hasil karna chahte hain, taraki yafta akwam ki sifon main shamil hokar duniya main inkalab lana chahte hain, muwashire ke liye role model banna chahte hain aur aslaf ki tooti hui meras wapis lana chahte hain to hamein zarur in asoolon ko apnana hoga. Kamyabi ka raaz inhi asoolon main mazmar hai. Allama Muhammad Iqbal ne sari zindagi jehd musalsal ka paigam dia aur nojawan nasal is paigam ko samajhte hue mushkil halat se ghabrane ke bajae mehnat karain to kamyabi qadam choomegi.
Musbat soch zehni aur roohani istadad main izafa karti hai aur sabar o istakamat ke bagair to zindagi guzarna hi mushkil hai kyun ke halat ek jaise nahin rahte na hamesha khushi rahti hai na ghami. Behar hal kamyabi ek aisi naimat hai jiski tamana har kisi ke maan main hoti hai lekin is tamana ko haqeqat main badalne ke liye gine chune log hi mehnat karte aur kamyabiyon se sarfaraz hote hain. Agar hum bhi science o technology, taleem o talam ke maidano main kamyabi hasil karna chahte hain, taraki yafta akwam ki sifon main shamil hokar duniya main inkalab lana chahte hain, muwashire ke liye role model banna chahte hain aur aslaf ki tooti hui meras wapis lana chahte hain to hamein zarur in asoolon ko apnana hoga. Kamyabi ka raaz inhi asoolon main mazmar hai. Allama Muhammad Iqbal ne sari zindagi jehd musalsal ka paigam dia aur nojawan nasal is paigam ko samajhte hue mushkil halat se ghabrane ke bajae mehnat karain to kamyabi qadam choomegi.
No comments:
Post a Comment