Ghazwa e Tabook History In Urdu Jang Tabook Battle Ghazwa Tabuk Information

  Lal Gulab      

Ghazwa-e-Tabook Urdu History Ghazwa Tabuk Battle

Wajah Tasmia

Tabook Madina aur Sham ke darmiyan aik muqam ka naam hai jo Madina se 14 manzil door hai. Baaz morkheen ka qol ha keh Tabuk aik qila ka naam hai aur baaz ka qol ha keh Tabouk aik chashma ka naam hai mumkin hai ye sub batain mojood hon.

Jaish-e-Hasrat

Ye ghazwa sakht qehat ke dinon mein hua taweel safar, hawa garam, sawari kam, khane peene ki takleef, lashkar ki tadad bohat zayada, is liye is ghazwa mein Musalmanon ko bari tangi aur tang dasti ka samna karna para. Yehi wajah hai keh is ghazwa ko jaish al usrah (tangdasti ka lashkar) bhi kehte hain.

Ghazwa Fazha

Munafqon ko is ghazwa mein bari sharmindgi aur sharam sari uthani parri thi is wajah se is ka naam ghazwa fazha (ruswa karne wala ghazwa) bhi hai.

Rawangi

Is par tamam morkheen ka ittefaq hai keh is ghazwa ke liye Nabi SAWW rajab 9 hijri mutabiq 630 jumairat ke din rawana hue. Rasool Pak SAWW 30000 jaan nisaron ghulamon ke sath Madina se rawana hue.

Ghazwa-e-Tabook Ka Sabab

Arab ka ghasani khandan jo qaisar room ke zair-e-asar mulk sham par hukumat karta tha woh esai tha is liye qaisar room ne us ko apna ala kar bana kar Madina par fauj kashi ka azam kar liya. Mulk sham ke jo sodagar roghan zaitoon baichne Madina aaya karte thay unhon ne khabar di keh qaiser rome ki hukumat ne mulk Sham mein bohat bari fauj jama kar di aur us fauj mein romiyan ke ilawa ghasan ke tamam Arab bhi shamil hain. In khabron ka tamam Arab mein har taraf charcha tha aur romiyon ki Islam dushmani koi dhaki chupi chez nahin thi is liye in khabron ko ghalat samajh kar nazar andaz kar dene ki bhi koi wajah nahin thi is liye Nabi Pak SAWW ne bhi fauj ki tayari ka hukam de diya.

Tabuk Ko Rawangi

Hazoor Pak SAWW 30000 ka lashkar lay kar tabook ke liye rawana hue aur Madina ka nazam o nasq chalane ke liye Ali Al Murtaza ko apna khalifa muqarar farmaya.

Romi Lashkar Dar Gya

Hazoor SAWW ne tabook mein mein pohanch kar lashkar ko parao ka hukam diya magar door door tak romi lashkaron ka koi pata nahin chala. Waqia ye hua keh jub roomiyon ke jasooson ne qaisar ko khabar di keh Rasool Allah SAWW 30000 ka lashkar lay kar tabuk mein arahe hain tou roomiyon ke dilon par is qadar haibat cha gyi kej woh jang se himmat haar gye ayr apne gharon se bahir na nikal sake. Nabi SAWW ne 20 din tabuk mein qayam farmaya aur kufar ke dilon par Islam ka rob bitha kar Madina wapas tashreef laye aur tabook mein koi jang nahin hoi.
logoblog

Thanks for reading Ghazwa e Tabook History In Urdu Jang Tabook Battle Ghazwa Tabuk Information

No comments:

Post a Comment