Flood Essay In Urdu Selab Ki Tabah Kariyan Sailaab Flood In Pakistan Sailaab Par Mazmoon

  Lal Gulab      

Selab Ki Tabah Kariyan Essay In Urdu Flood Disaster / Flood Destruction Essay

Flood In Pakistan In Urdu

Sailaab Ki Tareef - Flood Definition 

Sailaab yani pani ki tughyani is ki 2 bari wajuhat hoti hain. Mausam sarma mein paharon par barf jam jati hai. Jo mausam garma mein pighalna shuru ho jati hai lekin barf ke pighalne se ho pani banta hai usay darya sambhal laite hain. Ye pani kisi nuqsan ka baes nahin hota magar jub paharon par bohat zayada barish hoti hai tou paharon se aik lakht jo pani daryaon mein aa jata hai darya usay nahin sambhal sakte aur ye pani daryaon se bahir nikal kar maidani alaqon mein ajata hai. Isay selab kehte hain. Ye bohat hi tabahi ka baes hota hai kyoun keh pighli hoi barf aur barishon ka pani mil kar taufan barpa kar dete hain.
Sailab aksar mausam barsat mein atay hain kyoun keh barsat ke dinon mein barishon ki wajah se daryaon mein zayada pani aa jata hai. Baaz dafa tou kam nuqsan hota hai magar baaz dafa itna zayada hota hai keh tabahi macha deta hai. Saylab se woh alaqay ya gaon zayada mutasir hote hain jo daryaon ke kinare abad hote hain ya woh dehat jo nasheebi alaqon mein hotay hain khas tor par seelab ki zad mein ajatay hain. Jub selaab aata hai tou jo halat us alaqay ke logon ki hoti hai woh na qabil bardasht hoti hai un ki faslain tabah ho jati hain aur maweeshi mar jatay hain. Un ke makan zameen bos ho jate hain aur pani gharon mein ajata hai un ke gharon ka saman, khorak, maweeshiyon ka chara aur indham waghera sub zaya ho jate hain aur sath mein sath tabahi macha rahi hoti hai. Us waqt aik dusre ki madad bhi koi nahin kar pata kyoun keh sub khud musibat mein mubtala hote hain sub ko apni apni parri hoti hai.

Pichli chuttiyon mein mujhe bhi sailaab ki tabah kariyan dekhne ka ittefaq hua. Jub bhi mujhe sailaab ke waqiat yaad aate hain tou dil kamp jata hai aur zuban par Astaghfar aa jata hai.

August mein chuttiyan ho chuki thien main apne mamu ke haan gaya hua tha ye gaon wazirabad ke qareeb waqia hai hum bare aram se so rahe thay keh achanak awazain aana shuru ho gayien. Utho hoshyar ho jao selab agaya hai logon mein bhagdar mach gayi abhi subah hone mein thora hi waqt baqi tha andhere mein khuch samajh nahin araha tha keh kya uthayain aur kya chorain aur kahan jayain sub se zayada musibat ye thi keh pani ka andaza bhi nahin tha keh sailab ka rukh kis taraf zayada ho ga aur kis qadar ho ga.

Log apna saman aur maweeshi nikal rahe thay keh pani aana shuru ho gaya pani ki raftar is qadar tez thi keh dekhte hi dekhte uncha hota chala ja raha tha. Is gaon ke nazdeek railway line hai aur ye railway line hai bhi bohat unchi. Log us ki taraf chal diye khuch log maweeshiyon ke uper hi saman rakh kar chal diye. Khuch log saron par saman uthaye hue thay khuch ghar aisay thay jo pukhta aur mazboot thay. Unhon ne apna saman chaton par charhana shuru kar diya. Log mehfooz jagah par janay ki koshish kar rahe thay galiyon mein 4 se 5 foot pani beh raha tha. Pani ki raftar bohat tez thi jis ke samne koi chez nahin thehar sakti thi. Aise mein sub khuch beh jane ka khatra hota hai.

Abhi 2 - 4 ghantay bhi nahin guzray thay keh hum ne dekha log wazirabad aur gujrat ki taraf se arahe thay un mein sarkari aur ghair sarkari samaji aur siasi tanzeemon ke karkun shamil thay. Un mein mukheer hazraat bhi thay log chawal ki degain paka kar la rahe thay khuch rotiyan aur daal la rahe thay.

Is tarah Allah ne un logon ko hamare liye farishta bana kar bheeja diya tha. Sailaab door door tak pheela hua tha nazar araha tha keh log pani mein ghire hue hain. Razakar aur fauji partiyan pani mein giray logon ko mehfooz muqamat par pohancha rahi thien. 4 din baad sailab ka pani utra tou hum apne ghar wapas aye magar bohat se makan gir gaye thay sirf pukhta makan sahi salamat reh gaye thay. Is ke baad logon ne gaon ko az sar nau abad karna shuru kiya is tameer mein hukumat bhi sailab zadgan ki madad karti hai aur samajhi tanzeemain bhi sath batati hain magar haqeeqat ye hai keh ye madad kafi nahin hoti aur aisa kabhi nahin hota keh logon ka sailab se hone wala nuqsan pura ho jaye.
logoblog

Thanks for reading Flood Essay In Urdu Selab Ki Tabah Kariyan Sailaab Flood In Pakistan Sailaab Par Mazmoon

No comments:

Post a Comment