Eyes Colour Personality Urdu Brown Eyes Black Blue Eyes Green Color Ki Ankhon Ki Shakhsiyat

  Lal Gulab      

Eyes Colour Personality In Urdu

Aankhon Ki Rangat Bhi Shakhsiyat Mein Chupay Gehre Raz Bayan Karti Hai

Eyes ko ruh ki khidki bhi kaha jata hai lekin ab scientists bhi is mamlay mein sanjeeda dilchaspi laite hue batate hain keh ankhon ki rangat bhi aap ki shakhsiyat mein chupay gehre raz bayan karti hai.
Sweden ki university mein 428 afrad ke kiye hue survey mein ye baat samne ayi hai keh ankhon ki rangat aur personality ke darmiyan gehra relation ho sakta hai jub keh aik aur scientist ke  mutabiq ankhon mein dimaghi afal ke bare mein bohat aham maloomat hoti hain kyoun keh dimagh ka ye wahid hisa hai jo bahir ki dunya dekh sakta hai. In ke mutabiq ankhon ka colour aur personality ke darmiyan ye gehra taluq hota hai.

Black Eyes Personality In Urdu Kali Aankhein

Aisay log qudrati rehnuma hote hain jub keh zayada gehre rangat ki eyes wale log baat ko samajh kar raza mandi ikhtyar karte hain. Aise afrad ko chahiye keh woh apne andar ki quwat istemal karain takeh dunya ko apni ahmiyat bata sakain. Khasoosan Pakistan mein abadi ki aksariyat ki ankhain isi rang ki hain.

Blue Eyes Personality Neeli Aankhain

Dunya ki 16% abadi neeli ankhon ki hamil hai jo jismani mazbooti ko zahir karti hai. Neeli ankhon wali khawateen degar khawateen ke muqable mein zachgi ki takleef qadre himmat se bardasht karti hain. Un mein zehni tanao aur depression ko jhelne ki zabardast salahiyat hoti hai. Paisha warana zindagi mein aisi khawateen mutehrik, zehan aur ala ausaf ki malik hoti hain.

Grey Eyes Personality Surmai Ankhon Wale Log Kaise Hote Hain

Surmai ya grey eyes agarcheh bohat nayab hain aur ye neeli ankhon ka aik shade hi hai. Aisi ankhon wale man aur womens bohat had tak matwazan personality rakhte hain lekin kabhi kabhi unhain apne mamlat bartne mein bohat mushkil hoti hai. Aise logon ka ye rawaiya difai ho sakta hai aur woh apne matehton se sakht mehnat karwate hain.

Sabz Mael Brown Ankhain

Aise aankhain bhi nayab hain jin mein ankhon ki beroni janib ki rangat sabz hoti hai aur putli ki janib ki rangat light brown hoti hain. Aise log azad, aur confident hote hain aur in ki personality ke bare mein paish goi karna bohat mushkil hota hai aur shakhsiyat khuch paicheeda hoti hai. Aise logon ke sath kaam karna bhi aik challenge hota hai.

Green Eyes Personality In Hindi Sabz Aankhen

Sabz aankhon wale pur israr aur kashish rakhte hain aise logon ki paish goi nahin ki ja sakti lekin unhain fori tor par ghusa nahin aata. Aise log dabao aur challenge mein bohat achi karkardgi dikhate hain aur takhleeqi salahiyaton ke hamil hote hain.
logoblog

Thanks for reading Eyes Colour Personality Urdu Brown Eyes Black Blue Eyes Green Color Ki Ankhon Ki Shakhsiyat

No comments:

Post a Comment