Sard Mausam Mein Dry Skin Treatment Urdu In Winter Season
Mausam sarma mein moisturizer ka istemal bohat barh jata hai is liye moisturizer ka intikhab karte hue khayal rahe keh ye artificial rang aur khushbo (fragrance) wala na ho aur us mein dair pa chiknai ki khoobi mojood ho yani moisturizer ke istemal ke baad 6 se 8 hours tak jild par chiknai mojood rahe.Medicated soap ka istemal kam se kam karain normal jild wali khawateen ko chahiye keh din mein kam az kam 2 martaba aur raat ko sone se pehle aik martaba chehre aur hathon ki moisturizing karain.
Aik tamatar ko kadu kash karain aur phir us mein aik khane ka spoon balai istemal kar ke achi tarah phaint kar face, neck aur hands par lagayien dus minute ke baad clearn water se face wash karain.
Aik keela yani banana achi tarah masal lain phir aik spoon khane ka chamach shehad milayien aur chehre aur gardan par nechay se oper malish karte hue lagayien, 15 minute ke baad dho lain haftay mein 1 baar zaroor ye procedure karain.
4 spoon nashpati ka goda aik egg ki zardi adha spoon shehad lar kar paste banayain aur chehre par lagayain aur dekhain ke jub ye dry ho jaye tou chehre par se utar lain dho kar.
Aik egg main keh itna phentain ke jhaag ban jaye is ke baad 1 tea spoon honey aur itna hi glacerine aur itna hi roghan badam daal kar achi tarah mix karain is tarah ye mask ban jaye ga aur isay 15-20 minute tak laga rehne dain month mein 4 se 5 times ye paste lagane se chehre se dryness khatam ho jaye gi aur wrinkles bhi kam hon ge.
Aik egg ki zardi mein zaitoon ka tail mix karne ke baad jahan khushki mehsoos ho wahan lagayain 15 minute tak.
Aik balti water mein aik spoon salt daal kar nahane se dry skin aur kharish se nijat mil jati hai.
Make Moisturizer Cream At Home - Moisturizer Cream Banane Ka Tarika Vidhi
Aik qatra adrak ka ras adha cup aur coco butter aap 2 spoon lain sath mein sesame oil
No comments:
Post a Comment