Drug Addiction Essay In Urdu Drug Abuse Speech In Hindi Drug Addiction Definition

  Lal Gulab      

Drug Addiction Essay In Urdu Drug Abuse Speech In Hindi

Dor e hazir ka sab se bara aur azem tarem almia manshiyat jinhon ne zindagi ko mafloj kardia hai. Nashon ke rasiya apni jan ke dushman aur apne rab ke aise na shukar guzar bande hote hein jo is ki ata karda zindagi ki qadar karne ki bajae ise barbad karne par tule rahte hein aur Manshiyat firosh mulk o milat ke wo dushman hai jo nojawan naslon ko tabah karke mulk o milat ki bunyaden khokhili kar rahe hen. Inhon ne sirf chand sikon ki khatir aise shagofo ko shakon se tor kar gandagi ke dhair par rakh kardia jinhen kashat hayat mein kasid bahar banta tha. Bilashuba hamare muwashre mein manshiyat ne agyar ki sazishon se rah pai hai. Lekin is silsile mein mulk dushman anasir ka bhi amal dakhal hai. In beruni aur andruni dushmano ka muda sirf ye hai ke musalmano ko jismani aur zehni tor par is qadar khokhla kardia jae ke wo duniya mein apna mutahrik kirdar ada krne ke kabil na rahen. Ye taqaten ehal chain ke sath bhi ye hath kunda azma chuki hein aur inhen salha sal afyon ka adi bana kar taraki ki dor mein pasmanda banane ki mazmom koshish kr chuki hai.

Kitni aziyat nak bat hai ke cigarette, sharab, afyon, heroin aur nasha awar adwiyat ki mukhalifat to sab karte hein magar in lanaton ka sadbab karne mein mukhlis koi bhi nahin. Had ye hai ke ciggrate qanonan jaiz hai aur ja baja dahar le se firokhat ki jarahi hai, lekin ikhlaq o qanon ka mazaq is tarah ura jaraha hai ke ciggrate ki dibiya par is ke muzar asrat ka ailan bhi sath hi chapa jata hai. Ye munafiqat zarae iblag, hukumat aur ikhlaq sadhar idaron ke mun par tamache se kum nahin. Nateja ye hai ke qoum fikri, ruhani aur jismani aitabar se muflis hoti jarahi hai. Nasha awar chezon ke rasiya amuman wo nojawan hote hen jinhen abi zindagi ke tajurbat nahin hote. Jo itna bhi nahin jante ke zindagi aur mot ke darmiyan kitna kum fasla hai.

Wo mot se qabal apne ap ko zinda dargor karlete hein. Ek taza survey ke mutabik pakistan mein heroin ke adi logo ki tadad satra lakh tak puhnch chuki hai. Jis mein se ek lakh se zayada log bhi dhiyati log bhi shamil hein. Aam tor par 18 se 30 sal tak ke nojawan nashe ke adi hein magar 10 se 14 sal tak ke bache bhi is adat ke shikar pae gae hein. Heroin ka nasha tezi se phail raha hai. Kyun ke iski thori si mikdar se zayada nasha hasil hota hai aur ise chupa kar ek jaga se dusri jaga lejaya jasakta hai.

Nasha awar chezen bilkhasos heroin insan ke wajod ko ghan ki tarha chat leti hein. Heroin ke adi ka chehra zard hojata hai. Sunne ki salahiyat kum hojati h nak har waqt behti rehti hai, ankhen surkh papute bhari aur palken garm rehti hen. Ankh jhapakne ka amal sust hojata hai. Bhuk kum hojati hai. Wazan ghatne lagta hai aur made mein ulcer ya zakham paida hojate hen. Khon kharab hona shuru hojata hai. Jis ke nateje mein tamam azaae jismani mutasir hote hein. Jo insan ke liye mot ka baiz ban jate hein.

Manshiyat ki rok tham kisi ek fard, idare ya hukumat ki zimedari nahin balke is masle ko mulki o qomi satah par mushtarka andaz se hal kia jana chahye. Sab se pehle zarae ablag....... Radio, Television, Akhbarat aur rasail ko is lanat ke khilaf sadaq dil se marka ara hona chahye. Talemi idaron mein asatiza aur arbab ikhtiar kari nazar se nokhaiz nasal ka jaiza len aur inko manshiyat se bazor roken. Is silsile mein takarib, videos, films, cinema aur lecturon ka ehtamam karna chahye almae ikram apne khutbon mein is qomi masle ko ehmiyat den aur iski zehar nakiyon se agha karen walden jahan aulad ki paidaish ke zimedar hen waha inki tarbiyat ko bhi apna farz jane aur in ke shab war wazki sargarmen par kari nazar rakhen aur sab se bari bat ye hai ke hukumat ko qanonan is lanat ke insadad ki koshish karni chahye. Wo companies aur afrad jo manshiyat ko firog derahe hen ya is ke firog mein mawan hen iska sakhti se notice lena chahye.

Mulk o milat aur insaniyat ke in mujrimo aur inke madadgaron ko be naqab karna har muhib watan ka fariza hai. Isliye inki pardaposhi in insano par zulam hai jin ke honton se hasi chen li gai hai. Jin ke chehron se zindagi ke asar noch liye gae hen aur jinki zindagi ki ronakon se mehrom kardia gaya hai. Ilawa azen insadad manshiyat ke idaron aur ilaj gahon mein nasha ke adi afrad ke sath reham dili, hamdardi, aur muhubat ka saluk kia jae inhen yaken dilayajae ke wo apni quwat iradi aur ilaj se is azab se chutkara pasakte hen aur phir ise ek phail aur mufed insan bansakte hen aur apna kirdar ada kar sakte hen. In sab ikdamat ke sath sath muwashire mein isi deni aur ruhani fiza ki tashkel zaruri hai is se Allah ka khof aur islam aur mazhabi ikdar se wabastagi paida hoti hai.
logoblog

Thanks for reading Drug Addiction Essay In Urdu Drug Abuse Speech In Hindi Drug Addiction Definition

No comments:

Post a Comment