Derawar Fort History In Urdu Qila Derawar Information Derawar Fort Pictures

  Lal Gulab      

Derawar Fort History In Urdu

Qila Derawar: Pakistan ke nowadirat, fanon latifa aur baish qeemat sakafati warse main cholistan ki tahzeeb o tamadan, asar qadeema aur khandarat ek eham makam ke hamil hain. Zamana qadeem main cholistan ki aab o hawa ab se bilkul mukhtalif thi. Cholistan main kabhi daryae hakra thathain mara karta tha. Jo ab khushk khadi hu pagdandi ki shakal main mojood hai is ke dono itraf kachi paki ainton ke takriban 40 kilon ke khandarat hain. Kaha jata hai ke darya e hakra hindustan ke darya-e-ghaghar ki ek shakh hai is waja se waidak aryaon ke nazdik ye darya saraswati nadi ki tarah mukadas hai galban ek hazar kabal az masiah main daryae hakra ka pani ganga aur jamna main shamil hokar apne peche khushk zameen chor gaya. Albata daryae ghaghar ajnoob magrib ki taraf behta raha aur baikaneer, jalmeer ki riyasaton ke sath sath sahrae thar ke magrabi hison se behta hua ran of kuch ke samandar main jagra is qadeem darya ke kinaron ke sath sath aj se pachas sal pehle tak char hazar se zayada qadeem imarton ke baki manda hise mojood the jin se maloom hota hai ke char hazar kabal az masiah se islami dor ke agaz tak yahan tahzeeb o tamadan ke artaka ki kaisi kaisi kahani mehfooz hai. Daryae hakra ke khushk raste ke sath sath kilon ki katar is kahani ka akhri hisa maloom hoti hai galban musalmano ne apne dor hakumat main ird gird khoon khuwar hamsaiyon se hifazat ke khayal se difai line qaim ki.

Soba punjab ke janoob mashraki ilake main bhawalpur ka intazami division hai ye bhawalpur, bhawal nagar aur raheem yar khan 3 azlah par mushtamil hai. Jis ka kul rakba 25617 marba kilo meter hai kam o baish nasf rakba sahra par mushtamil hai jise "cholistan" kahte hain lekin ye ilaka cholistan se zayada "rohi" ke name se mashoor hai is ilake ko mathan sharif ke roohani sufi shair khuwaja ghulam farid ne apne kalam ke zariye lafani banadia hai. Is ilake main khana badosh kabile rahte hain jinki tamam tar dolat inki bakriyan, onth, bhairain hoti hain yahan pani nayab hai aur barish kabhi kabhar hi hoti hai. Is barish ke pani ko chote chote garhon main jama karlia jata hai. Jinhain toba kaha jata hai yahan ki ab o hawa main rahna nihayat mushkil hai lekin ye bari hairani ki bat hai ke mushkil maskan hone ke bawajood yahan ke log apne mahool se bohat pyar karte hain is sahra ki tahzeeb bari purani hai aur is Is ki apni ek roman bhari sakafat hai jis main bahaduron ke razmia geet bari hi ahmiyat rakhte hain.

Cholistan main pai jane wali tarikh aur tarz tameer ke asar pakistan ki nayab art aur sakafat main sunhaire bab ki hasiyat rakhte hain zamana qadeem ke cholistan ki ab o hawa aj ke cholistan ki ab o hawa se bari mukhtalif hai. Cholistan main pae jane wali imarton main darawar ka kila sab se zayada mutasir karta hai ke jaise rait ke samandar main ek tabah kun behri jahaz andaz hai 18 sadi bad az masiah ke awail main foji tarz tameer ka banaya gaya ye kila ab bhi bari achi halat main mahfooz hai ye ab bhawalpur ke nawabon ke kabze main hai jinhon ne apne apko is ilake main kaim rakha hua hai. Kila darawar ke mutalik khayal kia jata hai ke iski bunyadain islam se kabal banae jane wale kile ki bunyadain par rakhi gai hain baaz riwayat ke mutabik ise bhati ya bhatiya ne tameer kia tha jis ka naam dhera sid tha Ise dewar awal bhi kaha jata hai is kile ka naam dar haqeqat is ke naam par dewar awal rakha gaya tha lekin bad azan is darawar kaha jane laga. Kila darawar ki awaleen tarikh kia hai iske mutalik hamain malomat nahin hain albata hamain ye zarur maloom hai ke kaise bhawalpur ke nawab muhammad khan awal ne 1733 bad az masiah main dubara tameer karwaya tha. 6 sal bad nadir shah ne nawab ke khitab se nawaza aur sindh ka wasi o areez ilaka inhain ata kia jis main moojoda shikarpur, larkana, saiwsatan aur chahthiyar ke ilake shamil the. Darawar ka ilaka in tamam ke ilawa ata kia gaya tha.

Dusre nawab muhammad bhawal khan ke dor main rawal rae singh ne 1747 bad az masiah main is par dobara karlia. Kam o baish tesre nawab mubarak khan ke dor main ise raza karana tor par is shart par wapis kardia gaya ke is kila ki amdani ka nasf inhain ada kia jaega. Bhawalpur ka ilaka aur kila darawar taimoor shah ne 1788 main Apne kabze main le lia aur ise thore arse ke liye shah muhammad khan ki nigrani main dedia lekin jald hi 4 nawab muhammad bhawal khan doim ne in dono ilakon ko apne kabze main le lia. 18 sadi ke akhri raj main darawar ka ilaka bhawalpur state ke sabik hakmo ke control main tha. Shahi qabrustan aur sang mar mar ki ek bari khubsurat masjid kile ke bahir bare wazia tor par dikhai daiti hai. Ye jaga ek bari umda karobari markaz khayal ki jati thi.

Qila darawar mein 40 bridge, andar ek konwan aur markazi darwaze main pani ka ek bara talab hai. Qila chokor takriban 220 meter rakbe par phaila hua hai aur bil khae hue darya ke kinare mashraki samait main kile ka kalidi phatak hai is ke zayada tar bridge abi tak qaim hain jis ke uper siyah ainton se aklid si design nihayat khubsurat hain jin se ye andaza hota hai ke bridges main waqtan fa waqtan aur kaise tarmim aur maramat ki gai hai. Kila ki ufki deewarain Gird agird khandak main se uthti hui 30-32 meter onchi hain. Janob mashrik kone main pani ka ek qudrati talab jise makami zaban main toba kahte hain kile main basne wali insani aur haiwani zindagiyon ki zarurt pura karta kile ke andar baishtar imarat jo nawab ke foji daston aur shahi rehaish gah ke tor par istamal hoti rahi abi tak mojood hain.

Dewaron ki andruni unchai 20 meter hai janob mashrik bridge main nawab ki zati rahaish gah nihayat khubsurti se munkash ki gai hai aur is par jhanda lahra raha hai goya ke ayam rafta ki yad dehani karwa raha hai. Daira nawab sahab ki taraf se jahan nawab sahab ka rahaishi mahal wakiya hai kila darawar ko jati hai. Rasta nihayat hi jan khaiz hai aur sahra main se guzarte hue rait ke tele gahri khudai ke ghare hain jin main beshumar haran aur kism kism ke parinde tafrih tabah ka behtrin saman paida karte hain kile main dakhil hone ke liye parwana rahdari daira nawab Sahab se hasil kia jasakta hai siyahon ko chahye ke rawangi se kabl paine ke pani ki khasi mikdar apne hamrah rakhain kyunke tobe ka pani khari aur nakabil istamal hai. Kile darawar ko jate hue surkh ainton ke khandarat dikhai daite hain jo sahra ke ratile pas manzar main ajeeb judagana hasiyat ke hamil hain. Bhawal pur ke ilake cholistan ke jis hisa main kila darawar wakia hai is main kai tele, wasi maidan aur thaikriyon ke dhair dikhai daite hain.

Baz morkhon ne darawar ko raja dahir ka tameer karda kila bhi kaha hai aur kaha hai ke is kile ka asal naam "dahir" thajo kasrat istamal se bigar kar "darawar" hogaya. Muhammad bin kasim ne ye kila darawar ki taskhir ke bad multan jate hue rasta main fatah kia tha mumkin hai ye kila darawar hi ho. Makami bashindon main kila darawar ke bare main ek zarb al masal aam hai. Is zarb al masal ka pas manzar ye hai ke rohi cholistan ki sarabi kaifiyat ke tahat kila ki deewarain din main 7,8 bar rang badalti hain.
logoblog

Thanks for reading Derawar Fort History In Urdu Qila Derawar Information Derawar Fort Pictures

No comments:

Post a Comment