Basil Benefits Urdu Tulsi Ke Faide In Hindi Tulsi Leaves Plant Seeds Tulsi Ke Patte

  Lal Gulab      

Basil Benefits Urdu Tulsi Ke Faide In Hindi

Tulsi (Basil) ka nabatati naam Ocimum Tenuiflorun hai. Isi khushbudar poday se woh kalay beej hasil hote hain jinhain tukham balanga kehte hain aur jin ko pani mein bheegone se woh phool jate hain aur un ke gird aik safaidmada pheela nazar aata hai. Aam tor par is kalay seed ko sharbat aur falooda waghera mein istemal kiya jata hai. Hindu mazhab ke peerokar tulsi ke poday ko bohat mutbark mantay hain balkeh is ki pooja karte hain. Bharti newspaper Indian Express mein shaya aik mazmoon ke mutabiq tulsi ko jari botiyon ki malkah kaha jata hai. Is ki shifa khoobiyon ki bana par usay mukhtalif unani medicines mein istemal kiya jata hai. Is tulsi plant ke na sirf leaf balkeh is ke flowers bhi mukhtalif bimariyon ke ilaj mein kaam aatay hain. Tulsi vitamin k, zink aur ghazai reshon ke husool ka aham zariya hai. Is mein jaraseem kush, diabates se hifazat jesi khubiyan payi jati hain is liye basil powder bhi bohat fawaid rakhta hai.

Tulsi Ke Faide In Urdu

1: Bukhar - Fever

Bukhar mein tulsi ke patte ka arq istemal karne se jism ka darja hararat neechay ajata hai.

2: Nazla Zukam - Flu

Agar nazla zukam ki shikayat hai tou khali pait tulsi ki chand pattiyan chaba lain is se aram milay ga.

3: Galay Mein Kharash

Galay mein kharash ki surat mein tulsi ki chand pattiyon ko pani mein josh dain aur phir us pani se gharara karain. Dama ke mareezon ko bhi is se bohat fayde ho sakte hain.

4: Sar Ka Dard

Mausam agar shadeed garam ho tou aise moqa par bahir nikalne se aksar logon ko sar mein dard ki shikayat ho jati hai. Aisi surat mein tulsi ke leaves aur sandal ki lakdi ko pees kar us ki laip tayar karain aur usay peshani par lagayein. Is ke thande asrat se aap ko bohat jald aram mehsoos ho ga.

5: Ankhon Ke Masail

Amraz chasham mein tulsi ka arq aham kardar ada karta hai. Sotay waqt is arq ke 2 qatray ankhon mein dalne se ankhon ki dukhan khatam ho jaye gi.

6: Danton Ke Masail - Teeth Problems

Tulsi ke paton ko dhoop mein sukha lain phir unhain kot  kar safoof bana lain aur us mein khalis sarson ka tail shamil kar ke paste jesa bana lain aur usay danton aur masoorhon (gums) par malain. Is se jahan munh ki badbu khatam ho gi wahin masoorhon se khoon rasne ki bimari ka bhi khatma ho ga.

7: Jildi Amraz - Skin Diseases

Rozana tulsi ke patte chabane se khoon saaf hota hai jis se jism par danay keel aur mahasay nikalne ki shikayat baqi nahin rehti. Tulsi ke patte sandal ki lakdi aur arq gulab ko mila kar paste banayein aur usay danon aur phinsiyon par lagayein. Is se zakham ke nishan bhi khatam ho sakte hain aur bars ke dhabe bhi mit sakte hain.

8: Keeray Makoray Ka Katna:

 Hasrat al arz agar kaat lain ya dank maar dain tou jalan aur sozish ko kam karne ke liye chand ghanton ke waqfay se chai ke chamchay ki maqdar tulsi ke patton ka arq peena chahiye. Is arq ko mutasira jagah par lagana bhi mufeed hai. Is maqsad ke liye tulsi yani basil ke plant ki jar (stem) bhi istemal ki ja sakti hai.

9: Gurday Ki Pathri

Rozana aik glass pani mein tulsi ke patton ka arq shehad mein mila kar peenay se gurday ki pathri kharij ho sakti hai.

10: Zehni Dabao Mein Kami

Aaj ke door mein shayed hi koi shakhs zehni dabao se mehfooz ho. Stress se bachne ki aik tarkeeb ye batai gayi hai keh rozana tulsi ki 12 pattiyan khane ki adat apna li jaye. Ye pattiyan zehni dabao door karne wale maday Adaptogen ke tor par kaam karti hain.
logoblog

Thanks for reading Basil Benefits Urdu Tulsi Ke Faide In Hindi Tulsi Leaves Plant Seeds Tulsi Ke Patte

No comments:

Post a Comment