Bahadur Shah Zafar Urdu History Bahadur Shah Zafar Information Short Note Introduction

  Lal Gulab      

Bahadur Shah Zafar Urdu History


Bahadur Shah Zafar Introduction In Urdu: Hindustan main musalmano ki hakumat 1206 main qaim hui aur kam o baish 6 sadiyon tak barkarar rahi, akhri muslim hukumran mughal khanwada tha jis ka dor 1526 se 1857 tak raha. 1857 ka saal mughlia iktadar ke liye akhri hichki sabit hua is akhri mughal badshah muhammad shah Zafar sani ko takht delhi se mazol kardia gaya aur barsager par sat samandar par se ai hui angraiz qoum mukamal tor par hukumran ban gai.

Abu al mazfar siraj ul deen muhammad shah ghazi, khandan mughlia ke akhri badshah aur akbar shah sani ke dusre bete the. Inki rajpoot maa ka naam lal bai tha, inhon ne 24 octber 1775 ko delhi main ankh kholi, bahadur shah zafar 1837 main takht nasheen hue lekin inke dor tak takriban pura hindustan british east india company ke zair taslat ahchuka tha.

East india company ka kayam 1600 main malka alzabaith awal ke zamane main amal main aya, 1608 main angraiz kaptan hakinz, mughal shahenshah noor ul deen jahangir ke darbar main hasir hua aur badshah se sorat ki bandargah main tijarti markaz qaim karne ki ijazat hasil karli. Iske bad 1615 main sir thamos roo, shah bartania ke safeer ban kar darbar jahangeri main aye. Phir shahjahan ke zamane 1640 main angraizon ne madras main saint jarj ka kila tameer kia aur bangal main tijarti jahazon ki bila mehsol amad o raft ki ijazat leli. Aurangaiz alamgeer ke zamane tak east india company barabar taraki karti rahi. Yahi wo zamana tha jab mughlon ki markazi saltanat ki kamzori ki waja se barsageer main badamni bari sar at se phailne lagi thi. Aurangzaib alamgeer ke paishro hukumrano ne had se barhi hui rawadari par mabni jis policy ko apnaya, iske sabab bangal main angraizon ko bari kuwat hasil hogai jis ka nateja ye nikla ke wo wasi o arez khata e zameen jis par musalman sadiyon se hakumat karte ahrahe the angraizon ke kabze main chala gaya. Inhon ne apni takat ko is kadar barhalia tha ke ab aurangzaib alamgeer jaise takatwar badshah ko bhi ankhain dikhane lage the.

1757 ki jang policy aur 1764 ki jang baksar se iski takmeel hogai, ye goya is waqt ke siyasi mado jazar ka drop scene tha. 28 september 1837 ko bahadur shah zafar sani 62 sal ki umar main takht nasheen hue. Wo nihayat mazhab, shaista aur naik dil insan the in ke darbar ki taihzeeb pure hindustan ke liye namona samjhi jati thi, be tasbi ke sabab wo har qoum o mazhab ke logon main har dil aziz the. Behtreen khitat aur musawir hone ke sath bahadur shah bohat ache shair bhi the aur zafar in ka takhlus tha. Muhammad Ibrahim zok inke ustad aur mirza galib inke darbariyon main se the.

Zafar ki pur soz ghazlain mudaton makbool aam rahin aur ab tak hain. Inka sufiyana kalam dil ki gehraiyon main utar jata tha. Inhon ne na sirf urdu balke farsi, burj bhashah aur panjabi main bhi shairana kalam paish kiye. Wo sara din likhne parhne ya tilawat Quran pak main guzarte the. Inki tasaneef main sharah gulistan aur urdu ke char deewan makbool hain. 1857 main east india company ka governor gernal lard charles katig tha, jis ne bebas o majboor mughal badshah ko ye italah di thi ke ab shahenshah hind ka khitab fakat inki zaat tak hai. Inka janasheen is khitab se mehroom rahega aur delhi ke kile main ainda angraizon ki foj rahegi taham badshah ko mukarara wazifa dia jata rahega, inhi halat ke nateje main bil akhir 1857 main jang azadi ka agaz hua jise angraizon ne gadar (Mutiny) Ka naam dia.

11 may 1857 ko mairath ki hindustani foj ne angraizon ki gulami se nijat hasil karne ke liye ilm azadi buland kia. Wahan angraiz ko shikast dene ke baad wo delhi aye, Bahadur Shah Zafar ke naam par 21 topon ki salami di aur mairath ka tamam ehwal inhain sunaya.
logoblog

Thanks for reading Bahadur Shah Zafar Urdu History Bahadur Shah Zafar Information Short Note Introduction

No comments:

Post a Comment