Anjeer Benefits Urdu Anjeer Ke Faide - Fig Benefits In Urdu
Anjeer History In Urdu:
Anjeer tareekhi ahmiyat wala aik small dry fruit hai jis ke behtareen fayde hain. Agarcheh ye meetha lazeez aur ishtha awar hai taham ajneer ki taseer garam aur tar hai. Insani sehat ko qaim rakhne aur bimariyon ke ilaj ke hawale se anjeer aik nihayat aham mewa mana jata hai. Anjeer ke ibtidai asar 9200 qabal maseeh mein wadi urdan mein milte hain. Is lihaz se anjeer pehla plant hai jisay insan ne kasht kiya. Tarikhi hawalon ke mutabiq anjeer ka asal khita urdan, sham, palestine aur misr raha hai. Anjeer naam ka koi tree bar-e-sagheer mein nahin paya jata tha shayed yehi wajah hai keh sanskrit zuban mein is ka koi naam nahin milta. Youn tou anjeer (fig) mashriq wusta ka plant hai lekin 3000 saal qabal masih is ko italy ke mukhtalif alaqon mein pohancha diya gaya. Khuch hi arsay mein Unan aur Janoobi europe ke mulkon mein anjeer ke baghat is qadar aam ho gaye keh wahan ke adab mein bhi anjeer ka zikar kiya jane laga. Kaha jata hai keh maroof unani philosopher aflatoon ko anjeer se bohat raghbat thi isi liye aflatoon ka naam Philosokos mashoor ho gaya jis ke meaning hain anjeer ka ashiq yehi lafz baad mein Philosopher ki bunyad bana. Aaj kall anjeer ki kasht iran aur afghanistan mein bhi ki jati hai jebkeh Pakistan aur india khushk anjeer Afghanistan se mangwate hain.
Anjeer ko Arabic language mein Teen, Angreezi mein Fig, Russian mein Anjheer, Unani mein Soeko, Urdu Hindi Punjabi aur Bengali mein Anjeer kehte hain.
Anjeer Information In Urdu:
Anjeer aik intihai khush zaiqa fruit hai isay har umar ke log pasand karte hain. Khas tor par Arab countries mein isay bohat khaya jata hai. Anjeer hamare haan bhi zayada tadad mein available hai aur isay aik dori mein haar ki shakal mein paro kar market mein sale kiya jata hai. Ye sub continent mein kahin kahin milta hai taham is alaqay mein Muslims ki amad se pehle is ka suragh nahin milta. Anjeer 2 types ki hoti hai aik jangli dusri kasht ki hoi anjeer ka darakht ausat unchai 20 feet hoti hai yani ye aik chote qad ka darakht hai jis ki lambai 10-3 meter hoti hai. Anjeer ki chal hamwar jabkeh patay bare hote hain. Is ka phal 5-3 cm lamba sabz aur pakne par jamni ho jata hai. Is ka nabatati naam Carica Fixcus hai. Aam phalon mein ye sub se nazuk phal hai aur pakne ke baad khud ba khud gir jata hai balkeh isay dusre din tak mehfooz karna bhi mumkin nahin hota. Fridge mein rakhne tak phat jata hai is ke istemal ki behtareen surat isay khushk karna hai isay khushk karne ke doran jaraseem se pak karne ke liye gandhak ki dhuni di jati hai aur akhir mein namak ke pani mein dabo dete hain takeh sokhne ke baad ye naram o mulaim rahe. Anjeer ka darakht saal mein 2 baar phal deta hai aur is ke darakhton ko baar awar karne ka kaam aik kera karta hai. Agar kahin naya bagh lagaya jaye tou us keeray ko wahan pohanchana zaroori hota hai warna darakhton par phal nahin ata.
Anjeer Benefits For Skin
Phoray phinsiyon jese marz ke ilaj ke liye bhi anjeer ka baqaida istemal mufeed hai agar anjeer aur doodh ko mix karne ke baad pees kar in par lagaya jaye tou jald theek ho jate hain is zaman mein anjeer ka sharbat bhi faida pohanchata hai. Jin logon ke lips phat jate hon ya zuban par chala nikal ata hon tou un ke liye anjeer umda tonic hai.
Anjeer Khane Ke Faide Fig
Is ko tatoor mewa bhi khaya jata hai aur batoor medicine bhi use kiya jata hai ye phal fresh ho ya dry donon suraton mein pait saaf karta hai anjeer seeds antriyon ko saaf aur mutharik rakhte hain. Is ki munasib maqdar ko khoob chaba chaba kar khane se pait ke badi asrat bhi khatam hote hain aur stomach ke zarar rasan keeray mar jate hain. Behtareen qisam is ki safed anjeer hai jo kidney aur masana se pathri ko tehleel kar ke nikal deti hai. Anjeer har tarah ke pathron ko ghool kar kamzoor aur kam karne ka kaam bhi karti hai. Agar pitay ya gurday mein pathri ho aur aksar dard ka baes bane tou is ke liye anjeer fawaid rakhta hai. Rozana subah nihar munh 5 ya 7 anjeer kalonji ke tail ke sath khayain tou pathri nikal jati hai taham istemal se pehle doctor se puch lain takeh side effect (nuqsan) se mehfooz rahain. Fig ko dama ke ilaj ke liye bhi mufeed qarar diya jata hai bawaseer yani piles ke ilaj mein bhi ye faide mand hai is ke 2 - 3 danay aik glass cold water mein bheego dain aur next morning mein kha lain is ko hamesha sheesha ke bartan mein bhigoyain mitti ka martan istemal na karain. Is ko har roz kisi aik khas waqt par khane ka mamool bana liya jaye tou is se falij jese marz se bhi nijat mil jati hai is ko akhrot ki giri ke sath khane se bhi is marz ka khatra nahin rehta is ka musalsal istemal khoon ka garha pan khatam karta hai ye zaroorat se zayada charbi kam karne mein bhi behtar hai. Nazla zukam agar purana ho chuka ho aur medicines se bhi theek bna ho raha tou tou anjeer kha kar dekhain aap numayan tor par farq mehsoos karain gey galay mein kharash aur khansi mein anjeer ko khoob achi tarah chaba kar chayain takleef dor ho jaye gi. Dry fig fruit ko agar raat bhar pani mein rakha jaye tou taza anjeer ki tarah phool jati hai isay khane se gala baithne ki shikayat nahin hoti.
Anjeer Ka Istemal
- Anjeer ko khorak istemal karne se pehle achi tarah dho lain
- Fig fresh aur naram lain sakht aur sayahi mayel rangat wali na istemal karain.
- Kali aur khush anjeer mein kayi baar safaid keera hota hai jo health ke liye nahin theek.
- Pani ya doodh mein bheegoyi hoi anjeer zood hazam hoti hai jabkeh khush anjeer ki beroni satah sakht hone ki wajah se ye jald hazam nahin hoti.
- Jis pani mein saaf suthri anjeer bheegoi jaye woh pani bhi pee laina chahiye kyoun keh pani mein bheegone se us ke bohat se ghazai ajza pani mein jazb ho jate hain.
Dimagh Aur Asab Ke Liye
Is ke istemal se zehni aur jismani thakan door hoti hai nayi tawanai milti hai dimaghi amraz se bachane ke sath sath mazaj aur tabiyat mein narmi paida karti hai jin logon ko dimagh ki kamzoori ki shikayat ho woh nashte mein pehle 3 - 4 anjeer khayain phir 7 danay badam aik akhrot ka maghaz aur aik choti elaichi ke danay pees kar pani mein mila kar pi lain.
No comments:
Post a Comment