Islam Ki Barkatein Essay In Urdu Islam Ki Barkat Speech Islam Ki Azmat

  Lal Gulab      
Islam Ki Barkatein Essay In Urdu Islam Ki Azmat: Ye baat hum Pakistaniyon ke liye fakhar hai keh hum Nabi SAWW ki ummat se taluq rakhte hain. Allah Ta'ala ne Aap SAWW ko insanon ki hidayat ke liye mab'oos farmaya Nabi SAWW ki zindagi ka har pehlu aur taleemat hamare liye aik behtareen namuna aur mashal rah hai is liye hum mein se jo apne aap ko shayda-e-Rasool SAWW ka dawa karte hain woh agey barhain aur dhar mein Isam Muhammad SAWW se ujala kar dain yehi hamara deeni fareeza hai. Aur is badamni aur bay rah rawi ke zamane mein yehi waqt ki sub se bari zaroorat bhi hai. Kyoun keh hum qareeb qareeb deen ko bhula bethay hain is liye Islam ki barkatein din ba din hum se door hoti ja rahi hain. Rizq ke darwaze band tou nahin ho gaye lekin rizq mein tangi zabardast mehangai, naujawanon ki mazhab se bezari, fahashi nach ganay ka door dora humain nazar araha hai ye sub kya hai hum ne apne payare Rasool SAWW ki taleemat ko bhula diya hai. Ism Muhammad SAWW hamari zuban se jari na raha hum Quran ki taleem se ghafil ho gaye aur nach ganay wali fahashi mein qaum ban gaye.

Hum mein qaum loot, qaum shoaib, qaum aad, qaum namrood gharz in tamam qaumon mein Khuda ki na farman qaumon ki khasoosiyat paida ho gayi jis ki wajah se ye qaumain Allah ne azab nazil farma kar tehas nehas kar dien. Ab agar hum phir bhi zinda hain tou Nabi SAWW ki barkaton ka taqeel hai keh hum chunkeh Aap SAWW ki ummat se taluq rakhte hain agarcheh gunah gaar hain. Fasaq hain faajar hain phir bhi Allah ne hum par azab nazil nahin farmaya kyoun keh Allah ne apne Mehboob ki khushnudi ki khatir humain bari zabardast mohlat de rakhi hai.

Humain Allah ko razi karne mein ab dair nahin karni chahiye kyoun keh na farmani kar ke hum bach nahin sakte ye nahin bhoolna chahiye keh hum Us Zaat Aqdus se apna rishta hortay hain jo zulam bardasht kar ke bhi zalmon ke haq mein bhalai ki khawahish rakhti thi woh Pak Muqaddus Zaat hamare Pyare Nabi SAWW ki aaj bhi hum se yehi tawaqa rakhi hai keh hum Un ka naam lay kar Un ke paigham ko dunya mein aam karain takeh aik taraf log musibat se bach jayein, sache Musalman ban jayein un ke ikhlaq aur zindagi Islami pairaye mein tameer ho aur ro dunya ke laiq taqleed insan ban jayein aur jub hum Allah Ta'ala aur Us ke Rasool SAWW ki khushnudi hasil karne mein kamyab ho jayain ge aur Allah Ta'ala hamare liye rehmaton ke darwaze khool de ga aur humain bay hisab rizq ata farmaye ga dunya ke sath sath hamari aqbiyat bhi sudhar jaye gi aur qaum par Islam ki barkaton se hamari zindagi ki kaya palat jaye gi mehangai ka rona rone aman o aman ke fuqdan ki shikayat karne se koi faida nahin ab zaroorat hai keh Islam ki taleemat ko dobara zinda kiya jaye. Allah Ta'ala ke darbar mein sache dil se gunahon ki maafi ki darkhwast karain takeh humain apne aba-o-ajdad ki tarah Islam ki barkaton se faiz yaab hone ka moqa naseeb ho.
logoblog

Thanks for reading Islam Ki Barkatein Essay In Urdu Islam Ki Barkat Speech Islam Ki Azmat

No comments:

Post a Comment