Khulasa Mama Azmat Notes Urdu Mama Azmat 1st Year Summary

  Lal Gulab      

1st Year Urdu Chapter Mama Azmat Notes


Kya Isi Liye Taqdeer Ne Chunwaye Thay Tinkay
Ban Jaye Nasheman Tou Koi Aag Laga De

(Alif): Musanif Ka Naam: Sabaq "Mama Azmat" ke musanif ka naam Deputy Nazir Ahmad hai.
(Bay): Musanif Ka Mukhtadir Taruf: Ye sabaq urdu ke mashoor novel nigar deputy nazir ahmad ke novel "Mirat Ul Uroos" ka zeeli hisa hai. Deputy Nazir Ahmad Sehlvi apne mazameen se muashray ki istilah ka kaam laite hain.
Baqool Doctor Ahsan Farooqi: "Unhon ne aham muashrati masail ko dilchasp farzi qisson ke zariye is tarah paish kiya hai jese karwi dawai ko halq se utarne ke liye is par shakar lapait di jati hai."

Jeem:

Khulasa Mama Azmat In Urdu Mama Azmat Summary

Ye kahani aik shareef gharanay se mutaliq hai jis ke sarbarah Molvi Muhammad Faazal hain. Woh ghar se door kahin mulazmat karte hain jo ke kharch ke liye raqam bhijwatay rehte hain. Ye raqam samaan khurd-o-nosh ke liye ghar ki purani mulazma Mama Azmat ke hathon mein chali jati hai. Is andhe aitbar ka na'jaez faida uthatay hue ye khadma jis kashti mein sawar hai usi mein sorakh kar deti hai. Woh us ghar ko aas paas ke dukandaron ka maqrooz kar deti hai. Woh is tarah keh Molvi Sahab ke naam par aas paas ke gharanon ka soda udhar laiti hai aur adaigi ki raqam khud rakh laiti hai. Us ghar mein us ki beti ka ghar bhi shamil hai.

Molvi Muhammad Faazal ke betay ki shadi ho jati hai aur ghar mein aik naye fard yani Muhammad Kamil ki biwi Asghari ka izafa ho jata hai. Ye larki nihayat sanjeeda, aam feham aur taleem ke zewar se arasta hoti hai. Us ki saleeqa shuari ki badoolat ghar wale usay "Tameezdar Bahu" ke khatab se nawazte hain. Ghar ke mamlaat mein dilchaspi ke baes bohat jald hi asghari ko mama azmat ki namak haramiyon ka pata chal jata hai. Ab woh munasib moqa ke intezar mein rehti hai keh kub usay moqa milay aur is maslay ka hal kiya jaye. Bohat jald hi ye moqa bhi us ke hath aa jata hai jub Molvi Muhammad Faazal mah-e-ramzam mein chuttiyan guzarne ghar tashreef latay hain. Un chutiyon mein woh khuch raqam apne sath latay hain takeh qarzon ka bojh halka ho sakay. Pehle tou Mama Azmat ki marfat se qarza utaarne ka irada rakhte thay lekin asghari se baat cheet ke doran woh is ki ye tajweez tasleem kar laite hain keh qarz daron ko ghar par bula kar un ke wajzaat ada kiye jayein. Dusre roz hi tamam dukandaron ko ghar bula liya jata hai.

Sub se pehle halwai samne aata hai aur apna 30 rupay ka hisab paish karta hai. Ghar walon se behas o takrar ke baad ye qarz sirf 6 se 7 rupay sabit hota hai. Chaar seer balu shahi Milad ki mad mein likhi payi jati hai jabkeh is qisam ki koi taqreeb ghar mein arsa daraz se munaqad nahin hoi thi. Isi tarah sabzi farosh, qasai aur buniye ke hisab mein bhi khurd burd ka pata chalta hai. Bazaaz aur Hazari Mill ka hisab agley roz par rakh diya jata hai.

Raat ko khane se farigh ho kar Mama Azmat jub ghar se bahir nikalti hai tou Muhammad Faazal us ke pechay apna aik mukhbar mutaeen kar detay hain. Mama pehle apni beti ke ghar jati hai aur wahan se chudiyan aur degar zevrat lekar Bazaaz aur Hazari Mill se ruju karti hai. Woh un se iltija karti hai keh ye raqam rakh lo lekin kal Molvi Sahab ke samne khuch mat bolna. Is karwai ki khabar woh mukhbar asghari ko de deta hai. Dusre roz ye donon qarzdar jub Molvi Sahab ki khidmat mein paish hote hain tou Mama Azmat ki di hoi lalach ye kehte hue us ke munh par maar detay hain keh ye maliyat tou hamare wajbat se kahin kam hai. Woh mulazma ki fareb kariyon ke baray mein bhi Molvi sahab ko agah kar detay hain. Apna pool khulta dekh kar Mama Azmat ghabra jati hai aur apna jurm maan laiti hai. Ye aitraf molvi sahab ko itna pohanchata hai keh woh taish mein aa kar foran hi us namak haram ki chuti kar detay hain.

Ehd hazir ke muashray mein Mama Azmat ka kardar zinda jawed hai aur har aisay gharanay ki kahani hai jahan malkan nokron par andha aitbar karte hue ghar ka tamam nazam un ke hawalay kar detay hain. Ye mazmoon taleem se paida hone wali saleeqa shuari ko bhi ujagar karta hai.
logoblog

Thanks for reading Khulasa Mama Azmat Notes Urdu Mama Azmat 1st Year Summary

No comments:

Post a Comment