Blood Group Personality In Urdu Information Blood Group A B Positive O Negative

  Lal Gulab      
Blood Group Personality In Urdu: Blood Group ki jankari - ilm najoom aur sitaron ki dunya se apni shakhsiyat ko janchnay aur parakhne ka pemana qadeem adwar se raij hai, lekin ab jadeed tibi science ne ye mumkin kar dikhaya hai keh insan ki jeen aur khoon ke group se aap apni shakhsiyat ka khaka bana sakte aur khaslat o atwar jaan sakte hain. Japan mein hone wali tazah tareen tehqeeq ke mutabiq dunya mein basne wale khawateen o hazrat mein 4 types ke blood group paye jate hain aur har group ke hamil afrad mukhtalif khasoosiyat rakhte hain jo khuch is tarah hain.

Blood Group A - Sard Mehar (Cool)

Dunya bhar mein is group se mutaliqa 34% afrad A Positive aur 6 A Negative blood group rakhte hain. Ye log farmanbardar, imandar, mukhlis, jazbati, hamdard hone ke sath sath thore bohat nervous aur shaermeelay qisam ke hote hain. Logon ki raye ke bare mein hasas hote hain. Hamesha qawaid ki pabandi karte hain un ke nazdeek rishte istwar karna aham hota hai. Kam go aur sharmeeli tabiyat ke ye log, logon ke hujoom se ghabrate hain lekin team work mein numayan kardar ada karte hain. Aise log, shayar, librarean, computer ke mahir, actor aur ache musanif ban sakte hain.


Blood Group B - Mutharik (Active)

Dunya bhar mein B Group ke hamil afrad mein taqreeban 9% log B Positive aur 2% afrad B negative hain. Ye log khush mizaj, musbat soch rakhne wale hasas shakhsiyat ke hamil hote hain, lekin ghair munazam aur la parwa bhi hote hain. Un mein aam logon ki nisbat phurteela pan zayada hota hai. Ye log shor paida karte hain aur matlab parast bhi hote hain. Un mein manzil ko pane ki salahiyat hoti hai. Ye log team ke member ki hesiyat se zayada mosar sabat nahin hote balkeh apni alag infradiyat rakhte hain. Sirf apne liye kaam karte hain aur mazboot personality ke hamil ye afrad man chalay aur apni marzi chalane aur man'mani karne wale hote hain, infradi kamon ko tarjih dete hain. Ye log jasoos, secretary, golf ke khaladi aur cook ban sakte hain.

Group AB - Azad Taba (Free Cat)

Aik andazay ke mutabiq dunya mein un logon ki tadad amooman kam hai jis mein sirf 4% log AB positive aur sirf 1% afrad AB negative hain. Ye log khush ikhlaq, hamdard, zamana shinas hone ke sath sath la parwa, khayali dunya mein rehne wale, takhleeqi zehan ke hamil hote hain. Un mein adawat ka jazba mojood hota hai. Ye log moodi aur girgit ki tarah rang badalne wale hote hain. Dusron par bohat jald tanqeed karte hain khuch logon ke sath ghul mil jate hain aur khuch ke sath mohtat rehte hain. Ye masail ko pehle se hi bhampnay ki salahiyat rakhte hain. Ye log jaldi boriyat ka shikar ho jate hain. Shehar ka mohool unhain zayada pasand hota hai. Pur israr shakhsiyat ke malik ye afrad shadeed zehni tanao ka shikar rehte hain. Ye log ache wakeel, artist, teacher ban sakte hain.

Blood Group O - Atish Mizaj (Hot)

Dunya bhar mein un afrad ki andazan tadad mein 38% log O positive aur 6% log O negative hote hain. Ye log pur aitmad, milansar, saaf go, bay takaluf aur zumaidar shaksiyat ke malik hote hain. Mazboot quwat aradi rakhne wale ye log zidi hote hain. Unhain hukamrana andaz na pasand hota hai. Ye log kisi had tak matlab parast bhi hote hain. Un ki sargarmiyan munazam hoti hain ye log khatrat se kheelna pasand karte hain. Un mein weham ka ansar bhi paya jata hai. Ye samaji aur mehsal pasand hone ke sath sath dikhawe ke bhi rasya hote hain.  Apni androoni kefiyat ka izhar asani se kar dete hain. Un ki shakhsiyat mein khubsurati aur nazakat payi jati hai. Un ki khawahish hoti hai keh hamesha aham ohday par faiz raha jaye aur mayari buland darja ka life style apnaya jaye. Aise afrad ke liye banking, business siasat ka shoba behtareen sabat hota hai.
logoblog

Thanks for reading Blood Group Personality In Urdu Information Blood Group A B Positive O Negative

No comments:

Post a Comment