Zebra Information In Urdu Zebra History In Hindi Zebra Meaning In Urdu

  Lal Gulab      
Zebra Information In Urdu - Wese tou aap ne isay zoo waghera mein dekho ho ga par is ke mutaliq zayada knowledge nahin rakhte hon gey aap aaeye aaj is ke khuch facts par maloomat hasil karain. Zebra ka taluk ghoron ke khandan se hai aur yeh afrika main paya jata hai yeh ghoron se size main chota hota hai zebra ki body aur us par bani beautiful dhariyan is ko munfarid banati hain. In ke kaan baray baray hotay hain aur dum chooti hoti hai sheer is janwar ka bohat zayada shikar kartay hain aur iski beautiful skin ki waja se insan bhi isay bohat zayda shikaar kartay hain inki 3 mukhtalif types hain.

Sab se choti type pahari zebra hai jin ki unchaye 4 foot hoti hai in ka rang chamkeela safeed hota hai jin par kali dhariyan hoti hain jab ke sar par dhariyon ka rang brown hota hai in ki tangain choti hoti hain yeh chootay chootay groups ki surat main phirtay hain aur yeh south africa main paye jatay hain.

Dusri type jisay zameeni zebra kehtay hain baray baray group ki shakal main phirtay hain aur africa main paye jatay hain inka rang yellow hota hai jin par kalay rang ki dariyaan hoti hain sab se bari kisam ka name gerwi zebra hai jis ko is ka name france ke aik sadar ke name paar diya gaya hai is ki unchaye 5 foot hai aur is k jisam par dhariyaan bareek hoti hain yeh africa main paye jatay hain ab in ki nasal takreeban khatam honay wali hai.

What Is Zebra Called In Urdu? Isay urdu language mein zebra ki kaha jata hai ye Pakistan mein bahir ke mumalik se mangwa kar bachon ke liye mulk ke mukhtalif chidiya ghar mein rakha jata hai kyoun ke ye yahan par nahin milta aur wese bhi puri dunya mein is ki nasal kafi teezi se khatam ho rahi hai hukumaton ko is bare mein bhi sochna ho ga ke kaise zebra ki nasal ho khatam hone se roka ja sakay.
logoblog

Thanks for reading Zebra Information In Urdu Zebra History In Hindi Zebra Meaning In Urdu

No comments:

Post a Comment