Volleyball History Urdu Inmormation - Volleyball dunya ke famous sports mein se aik hai 19th century ke akhri dahai mein American State ke aik shehar mein jismani excercises ke nagran ne 1895 mein zayada umar ke logon ke liye isay ijad kiya tha jo basketball jesa kheel khelnay mein zayada mushaqat mehsoos karte thay.
Shuru mein ye kheel baray technical andaz mein kheela jata tha kyoun ke har team ke 9 players ko 3 - 3 ki qataron mein aik dusre ke peechay khara kiya jata tha aur har khaladi volleyball hathon ki madad se dusre player ki taraf pass karta tha ke ball kisi bhi surat mein zameen par girney na paye.
Phir is team ka akhri khaladi ball ko jaal ke dusri taraf phenk kar dusri team ke hawalay kar deta tha jis team se bhi ball zameen par gir jati us ka aik point kam ho jata tha. Shuru mein volleyball ke liye jo rules banaye gaye un ke mutabiq har tea mein 9 players shamil hote thay jabkeh volleyball court size ki lambai yani dimenson 50 foot lambai aur 25 foot chorai rakhi gayi. Is court ke bilkul darmiyan mein zameen se 6 foot 6 inch unchai par aik zaal bandha jata tha ball ki golai 25 inch aur weight 9 once tha.
Waqt guzarne ke sath sath volleyball ke kheel ke rules aur laws mein tabdeeli aati chali gayi lekin volleyball ka wazan aaj bhi wohi jo shuru mein tha aur ye kheel dekhtay hi dekhtay international sports muqablon mein shamil ho gaya.
1949 se volleyball ke international muqablay baqaidgi se ho rahe hain 1964 ke olympic kheelon mein volleyball ko pehli baar shamil kiya gaya tha aur is ke agley saal volleyball worldcup Russia ki team ne jeeta ye kheel mardon ke sath khawateen bhi kheelti hain.

No comments:
Post a Comment