Tennis Information In Urdu Tennis History Hindi Tennis Rules Game

  Lal Gulab      
Game Tennis History Urdu - Tennis Information Hindi: Tennis aik maqbool kheel hai pehlay yeh sirf mardon ka kheel tha magar ab urtain b tennis ke kheel main hisa leti hain tennis ke baray main yakin se nahi kaha jasakta ka yeh kis zuban ka lafz hai magar yeh baat paki hai ke yeh franci lafz teniz se nikla hai jis ke meaning hain yeh lo aur khelo. Tennis ka kheel major bartaniyan nay 1873 main ajaad kiya aur agley hi year is ke baqaida qawaid o zawabit february 1874 main tashkeel diye gaye.

Taab se ab taak har saal june ke akhir aur july ke darmiyaan main tennis ke mukablay london main hotay hain usa main tennis ko 31 auguest 1881 main huwa jahen single aur double dono tarhen ke mukablay shamil thay single main 25 player nay aur dauble main 13 player nay hiza liya single main pehla mukabla usa ke bostan ke richard ny jeeta.

Bar-e-sagheer mein tennis ka kheel 1875 mein raij hua aur usi door mein Australia mein bhi is kheel ke charhay hone lagey aur 1890 tak ye tennis game aik darjan se zayada countries mein famous hota chala gaya. Lawn tennis ke kheel mein wembeldom open, us open aur french open aur australian open ke ilawa devis cup aham tournament mein shumar hote hain davis cup muqablon ka aghaz 1900 mein hua jis mein pehla muqabla USA ne jeeta aur aik record ke mutabiq US aur Australia sar fehrist hain.

8 championship ke mukay paar urtoon ko 1884 main in mukabloon main rakha ghaya aur 1968 main tennis champion ship hoye Tennis main open champion ship start 1879 main huwa aur is ki jeetnay wahli uraat thi
Aik hi waqt main charon grand slam tournament jeetnay wala pehla kharari Fradrick John tha jis ny 1935 main yeh tournament jeeta jabkeh Amreeca ke John Donald ne 1938 mein aik hi waqt mein charon tournament jeetay. Pakistan pehli baar davic cup estern zone ke final mein 1984 mein pohancha.
logoblog

Thanks for reading Tennis Information In Urdu Tennis History Hindi Tennis Rules Game

No comments:

Post a Comment