Social Media Essay Urdu Advantages And Disadvantages of Social Media In Pakistan Speech

  Lal Gulab      
Urdu Essay Social Media Ke Faide Aur Nuqsanat: Social Media aik aisa ala hai jo logon ko izhar raye, tabadla khayal, tasweer aur videos shares karne ki ijazat deta hai jis ki maqbuliyat mein teezi se izafa ho raha hai. Social Media ki badolat puri dunya aik global village yani aik gaon mein tabdeel ho gayi hai. Social websites mein se zayada tar log facebook, twitter, youtube waghera istemal karte hain. Humain social media ke faide ke sath sath nuqsan ko bhi mad nazar rakhna chahiye.

Social Media Ke Fayde Aur Nuksaan: Social media se ache maqasad bhi sar anjam diye ja sakte hain. Users aik dusre se rabta rakhte aur apne khayalat ka izhar karte hain. Tasweer ka dusra rukh samne aata hai kayi martaba news channels bhi woh maloomat nahin dikhate jo social media ke zariye hum tak pohanch jati hai maslan Burma aur Kashmir waghera ke halaat aur waqiat. Quran aur Hadees ki sahring aur aqeeday ki darustgi ka kaam bhi kiya ja sakta hai albata tehqeeq kar ke share karna chahiye. Taleem, tafreeh aur muashray ko mutehrik banane ke sath mushkil mein madad ke imkan ka bhi sabab hai. Humain social media ko ache maqsad ke liye istemal karna chahiye. Samaji media ke nuqsanaat se bhi khabardar rehna chahiye social media ke istemal ki wajah se talib ilm ka bohat sa waqt zaya hota hai jis ke baes aam tor par number kam atay hain. Tehqeeq se pehle hi khabar puri dunya mein pohanch jati hai. Jali accounts yani fake accounts ke zariye logon ko gumrah kiya jata hai. Behayai ka khulay aam izhar, bay mani, na shaista aur behoda zuban ka istemal kiya jata hai. Social media ke zayada istemal ki wajah se log apne waldien, behan bhaiyon aur rishtedaron ko waqt nahin de patay.

Is ke bohat advantages aur disadvantages hain is liye aap aisay logon se khabardar rahain jo social media par fasad, bad amni, larai jhagray, be hayai aur ghalat khabrain pheelatay hain. Koi bhi baat baghair tehqeeq ke share na karain. Aap hamesha samajhi websites par achi aur haq o sadaqat par mabni khabrain share karain jo aap ke liye sadqa jariya bhi hain. Hukumat ko chahiye ke social media par jali accounts rakhne walon ko kari saza de.
logoblog

Thanks for reading Social Media Essay Urdu Advantages And Disadvantages of Social Media In Pakistan Speech

No comments:

Post a Comment