Hamsayon Ki Izzat Aitram: Humsaye ka saab se pehla haq yeh h k in ki izzat ki jaye agar woh baray hain toh inko apna bazurg khayal kiya jaye aur koi baat aisi na ki jaye k jis se yeh zahir ho k tum in ki izzat nahi kartay ho
Husn e Salook: Hamsaye ka dusra haq yeh hai k inkay sath acha salook kiya jaye kisi kisam ki buri cheez na ki jaye agar humsaye se koi ghalti hojaye toh isko maaf kardiya jaye is tarhen karnay se muhabbat paida hoti hai.
Aiza Rasani Se Parhez: Humsaye ko kisi kisam ki takleef na di jaye jo shaks apnay humsaye ko takleef dehta hai woh kisi suraat main momin nahi humsaye ko takleef dehna iman k manafi cheez hai
Maali Kidmat: Nabi SAW ne farmaya hai ke jo shakhs seer ho kar khana khaye aur us ka hamsaya bhuka rahe woh moomin nahin hai. Hamsaye ka haq ye hai ke agar woh tumhari ayanat ka talib ho tou us ka hath batao. Agar woh bimar hai tou us ki timardari karo. Agar woh mohtaj hai tou us ka khayal rakho. Agar woh musibat mein hai tou us ke sath humdardi karo.
Tohfay - Gifts: Humsaya kyoun ke bohat qareeb hota hai is liye us ke mutaliq hadiyay bheejne ki zayada takeed ki gayi hai.
No comments:
Post a Comment