Diarrhea Treatment Urdu Diarrhea Ka ilaj Diarrhea Information In Urdu Symptoms Causes Home Remedies

  Lal Gulab      
Diarrhea Treatment In Urdu Diarrhea Ka ilaj -Diarrhea ya ishal taqreeban har umar ke logon ko ho jata hai lekin virus ki wajah se hone wale ishal ya dast zayada tar chotay bachon childrens ko zayada hote hain. Agar yehi ishal aik hafta ya 2 haftay se zayada arsa tak rahain tou isay Chronic Diarrhoea kehte hain,

Symptoms of Diarrhea In Urdu - Diarrhea Ki Ilamat: Is mein mareez ko baar baar aur patlay pakhane atay hain baaz auqat pait mein shadeed dard bhi hota hai. Zayada pakhanon ki wajah se jism mein pani aur namkiyat ki kami ho jati hai aur aankhain andar dhans jati hain. skin rukhi (rough skin) si ho jati hai kamzoori bohat zayada ho jati hai sara jism laghar aur zard rang ka ho jata hai khas tor par chotay bache murjhaye hue nazar atay hain. Pait ki antriyon ki sozhish aur waram ajatay hain aur baaz auqat khoon bhi aa jata hai.

Causes of
Diarrhea - Wajuhat - Reasons: Diarrhea ki kayi wajuhat aur asbab hain baz patients ko diarrhea barsat ke mausam mein ya virus ki wajah se lag jate hain. Sub se khatarnak virus Rotavirus hai jo choti umar ke bachon mein diarrhea ki wajah banta hai. Is virus ki infection se achanaq pani ki tarah patlay ishal aana shuru ho jate hain. Bacteria ya Toxin ki wajah se bhi baaz auqat dast lag jatay hain. Maslam milk, yougurt, rice waghera mein makhsoos bacteria shamil ho jate hain jo dast lagne ki aham wajah bante hain. Echoli bacteria ki infection se bhi dast lag jate hain. Ye ghair mayari aur baghair dhoye fruits aur vegetables se infection ho jati hain aur taqreeban 4 - 5 hours baad zabardast ishaal lag jatay hain.

Diarrhea ke jaraseem kuwon, nehron aur joharon ke pani ke zariye insan tak pohanchtay hain aur baad mein shadeed ishaal ka baes bante hain. Is mein pehle mareez ko matli aati hai aur ishal badbudar hote hain is ke ilawa degar bhi kayi wajuhat hain jin mein kayi khatarnak parasite shamil hain.

Tashkhees: Diarrhea ki tashkhees mareez ke pakhane ka test karne se hoti hai jabkeh virus ki pehchan Elisa test se ki jati hai. Bachon mein pani ki kami ka andaza un ki zahiri shakal o surat se hi lagaya ja sakta hai. Ilwa azeen bacteria ki mojoodgi ko janne ke liye 3 mukhtalif culture test kiye jate hain.

Diarrhea Ka Ilaj - Diarrhea Ka Gharelu Ilaj - Diarrhea Treatment In Urdu:
Mukamal laboratory test aur tashkhees ke baad virus ki qisam ke mutabiq kisi mahir doctor  se ilaj karwaya jaye takeh mazeed paycheedgiyan paida na hon. Aam tor par is marz mein Antibiotic di jati hain. Shadeed dard ho tou Buscopan waghera bhi istemal ki ja sakti hai. Mareez ko ghaza naram dain aur pani boil kar dain garam aur khati cheezain istemal na ki jayien.

Murghan aur roghni ghaza tark kar dain aur thanda pani bhi mumkin had tak na piyien. Bachon ko ORS pilayien jabkeh bari umar ke mareez zayada se zayada ubla hua pani istemal karain zayada pani namkiyat ki kami ho tou bazariya glucose diye jayien. Bachon aur burhon mein shadeed ishaal khatre se khali nahin hote kyoun ke ishaal se achanak kamzoori ho jati hai aur mazeed paycheedgiyan paida ho sakti hain is liye ishaal ka fori ilaj kiya jaye.
logoblog

Thanks for reading Diarrhea Treatment Urdu Diarrhea Ka ilaj Diarrhea Information In Urdu Symptoms Causes Home Remedies

No comments:

Post a Comment