Hindi Game Basketball History Urdu - Tips Basketball Rules Urdu Basketball Ki Tareekh: Basketball ko dunya mein mein woh ahmiyat nahin mil saki jo dusre kheelon ko hasil hoi par dunya mein ab bhi aise bohat se mulk hain jahan isay shoq se kheela jata hai. Ye hamare haan abhi tak taraqi ki manazil tay karne mein nakam raha hai. Is ke bawajood muqami satah par log isay bare shoq se kheelte hain. Agar basketball federation naujawanon ko is kheel ki taraf raghab kare tou ye kheel maqbuliat ki seedihan charh sakta hai.
Basket Baal Ka Kheel 50 foot lambe aur 46 foot choray cort par khela jata hai. Is ka androoni farsh amooman lakdi ka hota hai. is ki satah intihai sakht aur hamwar honi chahiye. Donon teams 5 - 5 players ke sath kheelti hain jin mein 2 forward aur 1 center aur peechay 2 difai khaladi hote hain.
Kheel ke aghaz mein referee darmiyani daire mein ball uchalta hai jis ke zameen par atay hi khaladi isay hasil karne ki koshish karte hain jis khaladi ko ball mil jaye woh isay dusre sath ko deta hai ya khul basket mein dalne ki koshish karta hai par ball ko bina tapa lay kar janay par foul ho jata hai aur na hi paon se bhi isay nahin kheela ja sakta.
Har khaladi apne mukhalif ke nisf hisa mein kisi bhi jagah se ball basket mein phenk sakta hai. Basket ka nishla hisa farsh se sarhay 9 foot uncha hota hai. Agar ball basket se ho kar nikal jaye tou goal mana jata hai. Field se goal karne ke 2 points, basket ke qareeb bani hoi free throw line se goal karne ka 1 point aur 25 foot faslay se goal karne ke 3 points hote hain. Har team ke khaladi ki koshish hoti hai ke ball ko tapah detay hue agey barhey. Goal karne ke baad kheel ka aghaz goal khane wali team ke free throw se hota hai jo chorai ki side line se li jati hai jo team zayada goal kare woh winner kehlati hai.
No comments:
Post a Comment