Parrot Information In Urdu: Parrot yani tota aik parindey ka naam hai is ki bohat si types hain ye aam tor par sabz rang ka hota hai aur is ki surkh chonch hoti hai ye darakhton mein ghar bana kar us mein rehta hai ye joray mein rehne wala parinda hai ande deta hai ye zayada tar ghanay darakhton wale ya janglon mein paya jata hai is ki khorak darakhgton ke phal aur beej hote hain. Khuch bolne wale totay bhi hote hain jo insanon ki zuban mein bole jane wale mukhtalif jumle yaad kar ke unhain bol sakte hain.
Ye naqal utarne mein mahir hotay hain Khuda ne inhain ye izafi salahiyat di hai ke ye insanon ki tarah bhi bol sakte hain ye baat yaad rakhain ke har tota bolta nahin, in ki makhsoos types hain jinhain sikhaya jaye tou woh bhi insanon ki tarah awazain nikal saktay hain. Aaj ham aap ko parrot ke bare mein maloomat aur facts ki dilchasp batain batain gey hamara aaj ka ye parrot essay bachon (kids) aur muashre ke har us fard ke liye hai jo is makhlooq ko pasand karta hai umeed hai aap ko hamare ye totay ke mutaliq mazmoon pasand aye ga.
Parindon ke garoh mein toton ki tadad bohagt zayada hai ye tarah tarah ke khubsurat aur dilkash colors mein paye jate hain, naqal ugtarne mein totay bohat maharat rakhte hain insanon ke ilawa baz dusri awazain bhi umdgi se nikalte hain aur haan ye seeti bhi baja laite hain aur khuch toton ki awazain itni achi hoti hain ke youn lagta hai ke jese sureeli awaz mein gana ga rahe hon, tootay dunya bhar mein taqreeban har jagah paye jagte hain, janglat mein, maidani alaqon mein aur paharon par bhi totay paye paye jate hainl, dunya bhar mein totay hote hain jin mein se zayada tar totay khushk alaqon mein rehna pasand karte hain ye zayada tar hot areas mein paye jatay hain lekin asia aur europe ke baaz intihai thanday alaqon mein bhi in ki mojoodgi ke saboot mile hain, parrots mein ye quality hoti hai ke ye garam alaqon ke sath sath thandi jagah par bhi zinda reh sakte hain lekin sard muqamat par in ki bohat zayada hifazat ki jati hai.
Parindon ke garohon mein toton ko pehchanna (identify) bohat asan hota hai, sub se pehle tou in ki ghair mamooli, mazboot aur tez chonch hogti hai, in ki khopri ki banawat dusre parindon se bohat mukhtalif hoti hai, in ki awaz dusre parindon se bohat alag hoti hai, jismani sakht aur banawat ke lihaz se totay ki chonch shuru mein churai mein pheeli hoi aur akhir mein andar ki taraf thori se muri hoi hoti hai, ye apni chonch ki madad se bohat sakht chilkay wale giri dar meway bhi aram se tor sakte hain, Parrots ki types taqreeban gtamam apni chonch ko teesre paon ke tor par bari maharat se istemal karte hain ye chalang laga kar aik jagah se dusre jagah aram se chale jagtay hain aur chalang laga kar dusri jagah apni garift mazboot karne ke liye paon ke ilawa chonch ka bhi kafi acha istemal karte hain totay ke jism ke bare mein tou aap khuch na khuch jangte hon gey ke in ke sar bare, gardan mogti aur choti aur zuban bhi moti hoti hai, chonch ki nok aur zuban ki madad se ye apni khorak yani ghaza waghera pakar laite hain aur is tarah phoolon ka ras peene mein bhi inhain madad milti hai.
Parrots ke 2 paon bhi hogte hain jinhain ye apne ghathon ke tor par bhi istemal karte hain, toton ke panjon ki garift mazboot hoti hai, naak ki jagah in ki chonch ke paas 2 chote chote surakh hote hain jin se woh sans laite hain, ye bunyadi tor par sabziyan khatay hain, phal aur giri wale mewa, grass, seed aur phool aur dusre plants nihayat shoq se khate hain aksar parrots ko hari mirch bohat zayada pasand hoti hai kayi qismon ke totay keeray makooray aur in ke andon aur larwa gtak kha jatay hain, ye mukhtalif size mein paye jate hain, chotay se chota tota taqreeban 3 inch ka hota hai jabkeh bare se bare totay jinhain kalgghi dar aur american parrots kaha jata hai 3 foot ya 1 meter taweel hote hain, totay ke hair aur wings khasay sakht hote hain in ke paron ka zayada hisa sabz rang ka hota hai lekin khuch ke par bare colorful hote hain aur in ke jism par par khubsurat naqsh-o-nagar bhi hote hain khuch black, white aur surmai bhi hote hain lekin in tooton ki dum red colour ki bhi ho sakti hai.
New Zealand ke totton ke ilawa tamam ke par chotay hote hain taqreeban 8-9 months mein in ke purane par jhar katay hain aur un ki jagah naye par nikal atay hain is mulk ke parrots apne wings ki wajah se nihayat umdah aur dair tak parwaz kar sakte hain. Ye apni khorak ki talash mein dor tak nikal jate hain.
Parrots and eggs aam tor par darakhton ke khokhlay tanon ya chatanon mein mojood darazon mein dete hain janoobi america ke totay apne ande khali places par nahin balkeh ghonsla bana kar us mein dete hain. In ke 8 zeeli khandan hain in mein 300 se zaid iqsam ke parrots hotay hain Newzealand ke totay hote bohat pyare hain par khatarnak bhi hote hain.
Names And Types of Parrots In Urdu:
Lori Totay: Ye Australian parrots bhi kehlate hain in ki chonch ka rang surkh ya naranji ho sakta hai is khandan ke toton ki taqreeban 60 iqsam payi jati hain, ye totay bohat beautiful shokh rangon mein hote hain in ke paron mein neelay aur sabz rang ke designs bane hote hain in ki chonch dusre toton ke muqable mein zara patli hoti hai ye phoolon ka rus bohat shoq se peetay hain.
Hona Tota: Ye parrots ke khandan se taluq rakhta hai is khandan mein 6 iqsam ke tote shamil hain ye apne name ki tarah bohat chota hota hai in mein baaz insani angoothon se thoray hi baray hote hain.
Kalghi Dar Totay: Ye bara special parrot hota hai is ka sar bhi bara hota hai is ka rang safaid bhi hota hai aur kala bhi, lataknay wale totay ka naam in ki dilchasp adaton ki wajah se rakha gya hai is khandan ke totay jub sote hain tou darakhton ki shakhon se apna sar nechay ki taraf latka laite hain.
Asli Totay: Ye totey ke athwain khandan se taluq rakhte hain ye in ka sub se bara khandan hai in mein 200 se zayada tarah ke parrots mojood hote hain in qismon mein zayada tar kaway ke barabar hote hain, green parrots in mein aam hain jo apni sabz rang ke paron ke sath humain aksar urtay hue nazar atay hain in mein khuch red aur neelay rang ke bhi hote hain.
Allah ki ye khubsurat makhlooq jo hamari dunya ko mazeed haseen banati hai humain chahiye ke is ki hifazat ke sath is se mohabbat bhi karain.
Parindon ke garoh mein toton ki tadad bohagt zayada hai ye tarah tarah ke khubsurat aur dilkash colors mein paye jate hain, naqal ugtarne mein totay bohat maharat rakhte hain insanon ke ilawa baz dusri awazain bhi umdgi se nikalte hain aur haan ye seeti bhi baja laite hain aur khuch toton ki awazain itni achi hoti hain ke youn lagta hai ke jese sureeli awaz mein gana ga rahe hon, tootay dunya bhar mein taqreeban har jagah paye jagte hain, janglat mein, maidani alaqon mein aur paharon par bhi totay paye paye jate hainl, dunya bhar mein totay hote hain jin mein se zayada tar totay khushk alaqon mein rehna pasand karte hain ye zayada tar hot areas mein paye jatay hain lekin asia aur europe ke baaz intihai thanday alaqon mein bhi in ki mojoodgi ke saboot mile hain, parrots mein ye quality hoti hai ke ye garam alaqon ke sath sath thandi jagah par bhi zinda reh sakte hain lekin sard muqamat par in ki bohat zayada hifazat ki jati hai.
Parindon ke garohon mein toton ko pehchanna (identify) bohat asan hota hai, sub se pehle tou in ki ghair mamooli, mazboot aur tez chonch hogti hai, in ki khopri ki banawat dusre parindon se bohat mukhtalif hoti hai, in ki awaz dusre parindon se bohat alag hoti hai, jismani sakht aur banawat ke lihaz se totay ki chonch shuru mein churai mein pheeli hoi aur akhir mein andar ki taraf thori se muri hoi hoti hai, ye apni chonch ki madad se bohat sakht chilkay wale giri dar meway bhi aram se tor sakte hain, Parrots ki types taqreeban gtamam apni chonch ko teesre paon ke tor par bari maharat se istemal karte hain ye chalang laga kar aik jagah se dusre jagah aram se chale jagtay hain aur chalang laga kar dusri jagah apni garift mazboot karne ke liye paon ke ilawa chonch ka bhi kafi acha istemal karte hain totay ke jism ke bare mein tou aap khuch na khuch jangte hon gey ke in ke sar bare, gardan mogti aur choti aur zuban bhi moti hoti hai, chonch ki nok aur zuban ki madad se ye apni khorak yani ghaza waghera pakar laite hain aur is tarah phoolon ka ras peene mein bhi inhain madad milti hai.
New Zealand ke totton ke ilawa tamam ke par chotay hote hain taqreeban 8-9 months mein in ke purane par jhar katay hain aur un ki jagah naye par nikal atay hain is mulk ke parrots apne wings ki wajah se nihayat umdah aur dair tak parwaz kar sakte hain. Ye apni khorak ki talash mein dor tak nikal jate hain.
Parrots and eggs aam tor par darakhton ke khokhlay tanon ya chatanon mein mojood darazon mein dete hain janoobi america ke totay apne ande khali places par nahin balkeh ghonsla bana kar us mein dete hain. In ke 8 zeeli khandan hain in mein 300 se zaid iqsam ke parrots hotay hain Newzealand ke totay hote bohat pyare hain par khatarnak bhi hote hain.
Names And Types of Parrots In Urdu:
Lori Totay: Ye Australian parrots bhi kehlate hain in ki chonch ka rang surkh ya naranji ho sakta hai is khandan ke toton ki taqreeban 60 iqsam payi jati hain, ye totay bohat beautiful shokh rangon mein hote hain in ke paron mein neelay aur sabz rang ke designs bane hote hain in ki chonch dusre toton ke muqable mein zara patli hoti hai ye phoolon ka rus bohat shoq se peetay hain.
Hona Tota: Ye parrots ke khandan se taluq rakhta hai is khandan mein 6 iqsam ke tote shamil hain ye apne name ki tarah bohat chota hota hai in mein baaz insani angoothon se thoray hi baray hote hain.
Kalghi Dar Totay: Ye bara special parrot hota hai is ka sar bhi bara hota hai is ka rang safaid bhi hota hai aur kala bhi, lataknay wale totay ka naam in ki dilchasp adaton ki wajah se rakha gya hai is khandan ke totay jub sote hain tou darakhton ki shakhon se apna sar nechay ki taraf latka laite hain.
Asli Totay: Ye totey ke athwain khandan se taluq rakhte hain ye in ka sub se bara khandan hai in mein 200 se zayada tarah ke parrots mojood hote hain in qismon mein zayada tar kaway ke barabar hote hain, green parrots in mein aam hain jo apni sabz rang ke paron ke sath humain aksar urtay hue nazar atay hain in mein khuch red aur neelay rang ke bhi hote hain.
Allah ki ye khubsurat makhlooq jo hamari dunya ko mazeed haseen banati hai humain chahiye ke is ki hifazat ke sath is se mohabbat bhi karain.
No comments:
Post a Comment