Panda Information In Urdu Panda History Panda Meaning In Urdu

  Lal Gulab      
Panda Information In Urdu - Panda Naram o Mulaem Khubsurat Tareen Janwar: Panda Meaning And History: Hindi zuban aur urdu zuban mein inhain bhalo aur panda donon names se jana jata hai 30 lack saal pehle jub dunya mein barf hi barf hua karti thi panda us waqt bhi zameen par mojood tha is baat ka saboogt pande ka woh jabra hai jo cheen ke suba Puding Baiyar Jiao ke aik ghar se mila hai. Is jabre ko aik cheeni kisan ne daryaft kiya aur ab ye cheen ke janoob maghribi subay Guizhou ke ajaib ghar mein mehfooz hai. Aik andazay ke mutabiq 1000 panda cheen ke is province mein mojood hain, Jahan par bans ke darakht kasrat se paida hotay hain, par panda ki nasal mein teezi ke sath kami ho rahi hai is ki wajah insan ki barhti hoi abadi hai Cheen ke 3 subon mein baray panda ki nasal payi jagti hai jin ki khorak ganay nama bans hain. Aisay banson ke jungle panda ke liye jannat se kam nahin in jangalon mein har waqt dhund (fog) chai rehti hai ye jungle aisay paharon par waqia hogte hain jahan barishain bohat zayada hoti hain.
Panda Picture
Facts of Panda Maloomat: Ye jungle itne zayada ghane hote hain ke in mein se guzarna mushkil hota hai. Panda ki pasandi ghaza bans (Banboo) ke plangts hain jin ko hasil karne ke liye isay bohat zayada mehnat karni parti hai. Is plangt ki paidawar qudragti tor par din ba din kam hoti ja rahi hai. Yaad rahe ke in podon se phool 40 saal se 120 saal ki umar mein nikalte aur khatam ho jate hain in ko dobara paida hone ke liye kam az kam 5 se 10 saal ka arsa darkar hota hai. Ye phool panda ki asal diet hain in plants ki Cheen mein 300 se zayada types payi jati hain magar in mein se sirf 10 se 15 ko hi panda apni khorak mein istemal karta hai in mein chand plants jo chatri nama, dairah nama, teer ki tarah hote hain jo panda pasand se khata hai.

Panda is ke ilawa dusre plants bhi kha laita hai jin mein grass, patay, tehniyan, plangts ki chal, jaran aur khumbiyan waghera shamil hain. Is ke sagth is ki ghaza mein banson mein rehne wale chogtay chuhay bhi shamil hain jo is ke qabu mein asani se ajatay hain. Aik panda din bhar mein 40 pound weighgt ke barabar diegt kha laita hai. Dusre janwaron ki tarah woh bhi pani peeta hai pani panda ki rehaishgah ke qareeb hona bohat zaroori hai agar pani door daraz ke alaqon mein ho tou is ki talash mein ye apni puri tawanai kharch kar deta hai. Panda ki khal thori si oily hoti hai jo is ko barfani mausam ki shidat se bachati hai ye dekhne mein bay dolol jism ka malik nazar ata hai lekin ye bohat phurteela hota hai jo ghanay janglon mein asani se phir sakta hai.

Ye apni khubsurat khal aur rang-o-roop ki wajah se dusre janwaron se alag hi nazar atay hain is ki bari bari khubsurat ankhon ke charon taraf ghani palkain hoti hain in ke kalay kaan is ke sar par numayan dikhai dete hain in ki tangain siyah rang ki hoti hain jo agey barhta hua is ke kandhon tak chala jata hai jabkeh baqi skin safaid hoti hai. Ye aik tanhai pasand janwar hai panda ki age ke bare mein andaza nahin llagaya ja sakta sirf itna maloom hai ke ye taqreeban pachis saal (25 years) tak zinda rehta hai.
logoblog

Thanks for reading Panda Information In Urdu Panda History Panda Meaning In Urdu

No comments:

Post a Comment