Mother's Day Speech In Urdu Mothers Day Quotes In Urdu Mothers Day Hindi

  Lal Gulab      
Mothers Day Speech In Urdu - Angrez chahay kese bhi hon magar aik baat tou mannay wali hai ke unhon ne maa jese mutbar rishtay ke liye aik special day tou muqarar kiya. Wese tou maan se pyar, wafa, chahat aur har tarah ki pur khaloss rahat ke liye koi bhi din muqarar nahin hota hai woh tou har lamha chahay jane ke qabil hai. Maine ne bhi aaj mother's day ke hawalay se hi is topic ko chuna hai lekin main is mozu ki shuruwat mothers day par shayari se karna chahaon ga aik sher ki surat mein.

Mere Sar Par Meri Maa Ki Aiza Shafqat Hai Warna
Zamanay Ki Karri Dhoop Mein Ab Tak Jal Chuka Hota

Maa us hasti ka naam hai jo zindagi ke tamam dukhon aur musibaton ko apne anchal mein chupa laiti hai. Apni zindagi apne bachon ki khushiyon, shadmaniyon mein sarf karti chali ayi hai aur jub gtak ye dunya qaim o daim hai yehi rasam jari rahe gi. Youn tou dunya mein sub ashraf-al-makhlooqata chahe woh koi bhi zuban bolta ho, chahe kisi bhi mazhab se us ka taluq ho maa har aik ke liye qabil qadar hai. Magar khas tor par hamari mashriqi maa hoti hi wafa ki putli hai jo jeeti hi apne bachon ke liye hai. Wese tou dunya ne maa ke liye khas din ka ta'eyan kar diya hai magar jo har saal ke dusri sunday ko manaya jata hai, chunkay hum Nabi SAWW ke ummati hain aur Islam hi hamara mukamal mazhab ghai is liye yahan ye zikar zaroor karon ga ke Islami taleem ki roshni mein Allah ki taraf se maa dunya-e-azeem ka sub se khubsurat tohfa hai. Maa tou aik aisa phool hai jo rehgti dunya tak sari kainaat ko mehkati rahe gi. Is liye tou kehte hain ke maa ka wajood hi hamare liye baes-e-aram aur rahat, chain o sakoon, mehr-o-mohabbat, sabr o raza aur khaloos  aur wafa ki roshan daleel hai.

Mothers Day Quotes In Urdu: Maa (mother) apni aulad ke liye aisi chaon hai jis ka saya kabhi khatam nahin honay wala. Maa ke hawalay se aik writer ne likha ke aulad ke liye waldain ka paiggham hai, jis din tum humain burha dekho sabar karna aur humain samajhne ki koshish karne, jub hum koi baat bhool jayien tou hum par tanz na karna aur apna bachpan yaad karna jub hum burhay ho kar chal na payain tab hamara sahara banna aur apna pehla qadam yaad karna, jub hum bimar ho jayain gtou woh din yaad kar ke hum par paise kharch karna jub hum tumhari khawahish puri karne ke liye apni khawahishain qurban kartay thay.


Maa ki mamta aur us ki naram dili ko baro'ay kar lana afzal amal mein se hai aur woh anay wale muashray ki islah ka sang-e-bunyad hai. Mard apni sakht mazaji aur fikar muaash ke baes us ki qadar nahin rakhta, pas maa apne aap ko aisa banaye ke aulad wahan rahat aur sakoon mehsoos kare shayed isi bunyad par jannat maa ke qadmon talay ka maqoola mustamil hua.

Podon ka sabza... phool ki rangat aur khushbu... darya ki rawani... kashti ka qarar, phal ki mithas... suraj ki roshni asman ki bulandi zameen ki wusat.... parinday ki awaz sub mil kar insan ka pekar banay tou maa ki takleeq amal mein ati hai.

Neend Apni Bhula Ke Sulaya Hum Ko
Ansoo Apne Gira Ke Hansaya Hum Ko
Dard Kabhi Na Dena Un Hastiyon Ko
Allah Ne Maa Baap Banaya Jin Ko

Wese tou maa wafa ki putli kehlati hai magar klya acha ho ke woh is par puri utray tou is ke liye lazim hai ye jaan lay ke maa ke huqooq kya hain. Maa tou maa hoti hai is lafz maa mein kitni mithas hai aaj main kehta hon ke mujhe meri maa se bohat mohabbat hai aap sub bhi apni maa se shafqat se naram lehjay se baat karain aur jis tarah unhon ki wajah se aaj hum is muqam par hain koshish karain ke unhain itni mohabbat dain ke un ke un ka dil kabhi aap ki wajah se na dukhay Allah hum sub ki maon ko lambi zindagi dain Aameen Suma Aameen.

logoblog

Thanks for reading Mother's Day Speech In Urdu Mothers Day Quotes In Urdu Mothers Day Hindi

No comments:

Post a Comment