Dinosaur History In Urdu Dinosaur Information Hindi Dinosaur Meaning

  Lal Gulab      
Dinosaur History In Urdu Dinosaur Information In Urdu: Dynasore guzashta sadi ka aik aisa ajooba hai jo ab dunya se khatam ho chuka hai dinosaur kya thay? is ke bare mein science ki tehqeeq kya hai? dinosaur meaning in urdu yani dinasaur ka matlab kya hai? zair e nazar mazmoon mein is ka jaeza liya gaya hai.
Maloomat Dinosaur is dunya mein paya jane wala qadeem janwar tha jo ab is qainaat mein mojood nahin ye 65 lack saal pehle is zameen par mojood tha in ki khorak zameen ki har cheez thi lekin baaz gosht khor bhi paye jatay thay jin ki behtareen khorak insan tha. Dinosaur mein se baaz apne qad ki wajah se na qabil bayan hote thay janoobi amreeca ke jurassic paharon mein paye jane wale Dinosaur 80 foot lambe aur 40 foot choray hote thay jin ki agli tang pichli se qadre lambi hoti gthi in ka wazan 80 ton hota tha janoobi amreeca mein hi paye jane wale degar dinosaur ke sar par 3 bare seng waziha nazar atay thay khuch 100 ton ke dinosaur bhi hotay thay jo dusre dynasore se 3 guna bare hote thay un ki agli tangain intihai mukhtasir hoti thien aur dum lambi aur pichli tangon ki lambai ki wajah se un ki shape nihayat dehshat naak ho jati thi.

Experts ke mutabiq dinosaur bohat zayada zaheen nahin hote thay lekin tehqeeq ne is nazriye se ittefaq nahin kiya aur aaj ki tehqeeq ke mutabiq ye bohagt zaheen janwar tha jo apne shikar par soch samajh kar war karta tha dinosaur dunyadi tor par 2 qismon mein taqseem kiya jata hai parindon ki tarah shakal wale ko Ornithischains aur lambi neck ki shape ke dinosaur ko Saurischians ka name diya jata tha.

Dinosaur Ki Tareekh: In ke bare mein khayal hai ke dinasor ka wajood 225 million saal pehle is zameen par paya jata tha 19th century mein dunya ke taqreeban aksar mumalik mein dinosaur ke dhanchay daryaft hue jis ke baad is ajeeb alkhalqat janwar ke bare mein tehqeeq ka aghaz hua dinosaur ke hawalay se amreeca ke jurassic park ka naam qabil zikar hai jahan par 180 lakh saal purane dinosaur ke dhanchon ki daryaft ho chuki hai.

Cheen ke shehar mein 160 lakh saal pehle paye jane wale dinosaur ke skeletons ki daryaft ke bare mein khasi shohrat hai. Pakistan ke baloch alaqay barkhan mein dinosaur ke dhancghon ki daryaft se Pakistan bhi dinosaur ke almi mumalik ki fehrisgt mein shamil ho gya hai yahan senkron dinosaur ke dhanchay 2001 mein mile jo ke yahan par dinosaur ki ye sub se pehli daryaft thi is tarah ye mulk un mumalik ki fehrist mein shamil ghua jahan dinosaur raha kartay thay.

Dinosaur Kese Khatam Hue: Search se maloom hota hai ke shayed itnay bare janwaron ke liye khorak ke paish nazar fitrat ne is ke khatmay ka intezam insani faide ke liye hiya ho baaz experts ke mutabiq dinosaur ke zameen mein fasad ko dekhte hue dusre janwaron ne intiqaman dinosaur ke andon ko khatam kar diya ho lekin tagheer pazeer dunya aur dusre awamil bhi dinosaur ke khatme ka baes ho sakte hain.
logoblog

Thanks for reading Dinosaur History In Urdu Dinosaur Information Hindi Dinosaur Meaning

No comments:

Post a Comment