What is Athra Disease In Urdu Marasmus Meaning In Urdu Athra - Isay masaan bhi kehtay hain ye chotay bachon ka mozi marz hai jis mein bacha paida hone ke chand mah ke andar mozi marz hai jis mein bacha paida hone ke chand mah ke andar hi namunia ya degar bimari mein mubtla ho kar jahan se chala jata hai jahil auratain is ko asaib ka asar samajhti hain halankay athra bimari hai aik marz hai.
Athra Ke Asbab: Kabhi ye bimari maa baap ko atishk ka marz hone ke natijay mein hota hai amooman doran-e-hamal mein bimar aur kamzor rehna ghaza ki kharabi achi ghazaon ka na milna, hazam ki kharabi, daston ka ana calcium vitamin d ki kami khas asbab hain.
Marasmus Symptoms In Urdu Athra Ki Alamat: Agar atishk ke sabab se hai tou bachay ke sar ki bones bay dol hoti hain un ki darazain pheeli hoi hoti hain. Ghaza ki kharabi ke sabab jub marz hota hai tou bacha sukha hua dubla patla, chehra bay ronaq aur un par jhuriyan par jati hain ghaza hazam nahin hoti, haray pelay dast atay hain bacha din ba din kamzor ho kar akhir dunya se chala jata hai is liye jin ko nahin pata ke athra kya hai tou unhain isay samjhna chahiye aur is ke baray mein information hasil karni chahiye takay bohat si preshaniyon se bacha ja sakay.
Marasmus Treatment In Urdu Athra Ka ilaj: Aisi auraton jin ke bachay kamzor ghotay hon aur jald mar jatay hon ya hin ko hamal girnay ki shikayat ho apna khoon ka muaena karana chahiye takay atishk waghera ho tou us ka ilaj kiya ja sakay is ke ilawa aisi auraton ko hamal ke pehle din se hi achi ghazain aur medicines khani chahiyain calcium ki diet aur milk ka zayada istemal karna chahiye is se bacha sahi aur salam, tandrust aur khubsurat paida ho ga. Agar bgacha kamzoor ho rozana roghan badam, zaitoon ki malish karni chahiye aur nehlana chahiye ya koi achi company ka multi vatamin drops palatay rehna chahiye par ye istemal karne se pehle apne doctor se bhi puch lain.
Wazifa Athra Ka Rohani ilaj:
No comments:
Post a Comment