Switzerland History In Urdu Switzerland Information Switzerland History Hindi Tareekh

  Lal Gulab      
Switzerland History In Urdu - Switzerland europe ka mulk hai jo geography ke aitbar se khubsurat wadiyon aur pahariyon mein waqia hai. Switzerland 21265 muraba klilo meter ya 15940 muraba meel raqbay par muheet hai. Zyada tar alaqa ALPS ke khush manzar paharon mein ghira hua hai. Mulk ki majmoi abadi  2015 ko aik andazay ke mutabiq taqreeban 8 million hai. Abadi ka baishtar hisa baray shehron mein sakoonagt pazeer hai. Internagtional shohrat hamil 2 shehron yani zurich aur geneva ko mulk ke iqtsadi marakaz ki haisiyat hasil hai. Mulk ka qaumi din har saal 1st august ko manaya jata hai jo ke riwayati toor par riyasat ke qayam ka din samjha jagta hai yani swiss confederation ka qayam 1st august 1291 ko amal mein aya isi wajah se ye din mulk ka qaumi din samjha jata hai. Switzerland salary ya fee kas amdani ke lihaz se dunya ke khushal mumalik mein shumar kiya jata hai.
Mueshat: Majmoi mulki paidawar ke lihaz se Switzerland dunya ke ameer tareen mumalik mein shumar kiya jata hai. Zurikh aur Jeneva jese international shohrat ke hamil shehron ko mulki mueshat mein nihayat aham muqam hasil hai. Switzerland 20th century ka sub se bara baramad kuninda aur 18th cengtury ka sub se bara daramad kuninda mulk raha hai.

Languages of Switzerland: Yahan German language, French Language, aur Italian Language raij hain taham Romanian bolne wale bhi kam nahin. In mukhgtalif saqafat ki akaiyon ke bawajod Swiss nation ke ittehad ki bari wajah aik tareekhi pas-e-manzar hai.

 
Masajid Par Pabandi: Bern city ke qareeb aik masjid jis mein minar jo 6 meter buland hona thay, tameer karne ki ijazat ye keh kar nahin di gyi ke minar siasi Islam ki elamat hon gey aur is liye muashray mein is ki ijazat nahin di ja saktgi.

tags: history of switzerland in hindi, switzerland information in urdu
logoblog

Thanks for reading Switzerland History In Urdu Switzerland Information Switzerland History Hindi Tareekh

No comments:

Post a Comment