Gujrat History In Urdu - Gujrat City suba punjab ka aik shehar aur zila gujrat ka sadar muqam kehlata hai jo suba punjab ke shumal mein hai aur is zila ke mashriq mein gurdaspur khalistan shumal mashriq mein jammu aur bhimber hai. Gujarat Shehar famous shahra GT Road par hai. Is zila ke janoob se darya-e-jhehlum guzarta hai aur is ki 3 tehseelain hain khariyan aur saraye alamgeer.
Mehal-e-Waqu: Gujarat darya-e-chinab ke kinare abad hai is ke qareeb jo shehar hain un mein lala musa, kotla, shamil hain. Ye shehar senkhron deehagton mein ghira hua hai jahan se log kaam ke liye dusray shehron ko jatay hain gzila gujarat ke zayada log kheeti bari karte hain.
Geography of Gujrat In Urdu: Ye qadeem shehar darya-e-jhehlum aur chinab ke darmiyan hai isi wajah se yahan ki zameen bohagt zarkhez hai zayada tar gandum, ganay aur chawal ki kasht ke liye behtar hai. Gujrat ke shumal mashriq mein jammu kashmir aur shumal maghrib mein darya-e-jhehlum hai jo gujrat ko zila jhehlum se alehda karta hai.
Shehar Gujrat Ki Tareekh In Urdu: Gujarat city aik qadeem shehar aur bartanwi tareekh dan Gen. Cunningham ke mutabiq gujrat city 460 qabal masih mein raja bachan paul ne daryaft kiya. Tareekh batati hai ke sikandar azam ki fauj ko riyasat ke raja poras se darya-e-jhehlum ke kinare zabardast muqablay ka samna karna para. Shehar ke mehkamana nazam ki bunyad 1900 mein bartanwi samraj ne dali. Angreezon aur sikhon ke darmiyan 2 bari laraiyan isi zila mein hoien. Gujragt ki larai jeetnay ke baad angreezon ne 22 february 1849 ko punjab ki jeet ka elan kar diya.
Tareekghi Baqiat: Aisi kayi historical buildings aur baqiat khandaron ki shakal mein gujrat ke aas paas hain Grand Trunk road jisay GT Road bhi kaha jata hai, sheh shah suri ne banwai thi jo gujrat ke paas se guzarti hai, abhi tak pehle jesi ghai yahan ke log Arain, Waraich Mehar hain, qareebi qasbon mein shadiwal, danga, kotla kari shareef, karyanwala aur jalalpur shamil hain.
Wajah Shohrat: Is zila ke 2 fauji jawan nishan-e-haider hasil kar chukay hain jin mein major azeez bhatti, major shabeer shareef jese fauji shgamil hain parvez elahi, kamar zaman kairah ka taluq bhi isi zila se hai.
Sanat: Gujrat bijli ke pankhon furniture bartan sazi aur shoes ki sanat mein aik naam rakhta hai.
Gujrat Export: Ye shehar jo aaj electric fans aur shoes ki sanagt mein aik naam rakha hai mashriq wusta aur America ke kisi bhi shehar mein chale jayain aap ko gujrat ke log mil jayain gey. Punjab ka aik aisa zila jahan ke bohat se log bahir ke mulkon mein kaam karte hain aur watan ko qeemti zar-e-mubadla kama kar bheejtay hain.
No comments:
Post a Comment