Halaku Khan History In Urdu - Halaku Khan (paidaesh (born) 1217 - wafat (death) 8 february 1265) L Khani hukumat ka bani aur mangool hukamran Changez Khan ka pota tha. Changaiz Khan ke larkay Tawali Khan ke 3 betay thay un mein aik Mangool Khan tha jo korakaram mein rehta tha aur puri mangool saltanat ka khan azam tha, dusra beta qublai khan tha jo cheen mein mangool saltanat ka bgani tha jabkeh tesra larka Halaku Khan tha. Mangu Khan ne zamanay mein shumali Iran mein aik Ismaili garoh Hshasheen ne bara hangama shuru kar diya. Ye alaqa mangolon ke zair-e-hukumat tha is liye wahan ke bashindon ne mangu khan se is zulam ke klhilaf faryad ki. Us ne is shikayat par apne bhai Halaku Khan ko 1256 mein Iran ka hakam bana kar rawana kiya aur Ismailiyon ke khilaf karwai karne ka hukam diya. Halaku ne usi saal un kle markaz par qabza kar ke un ki hukumat ka hamesha ke liye khatma kar diya aur un ke akhri badshah ko khatam kar diya.
Ismailiyon ka zor tornay ke baad Halaku Khan ne Baghdad ka rukh kiya jo us zamanay mein shia sunni fasad ka gharh bana hua tha. 1258 mein baghdad tabah karne ke baad Halaku Khan ne puray Iraq par qabza kar liya aur basra aur kofa ke azeem shehar tabah kar diye. Is ke baad mangool faujiyon ne sham par hamla kiya aur kafi nuqsan pohanchaya.
1260 ko aik jang mein misr ke mumlikon ne un ko shikast de kar puray sham se nikal diya aur is tarah misar mangolon ke hathon tabahi se bach gya.
Mangu Khan ke baad qaraqaram ki hakumat kamzoor ho gyi aur Halagu Khan ne Iran mein apni musgtaqal hukumat qaim kar li ho L Khani hukumat kehlati thi.
Halaku Khan ke baad us ka beta Abaqa Khan takht nasheen hua us ne bhi apne baap ki Islam dushman hikmat amli jari rakhi. Us ne pop aur europe ke hukamranon se qareebi gtaluqat qaim kiye aur eesaiyon ko bait-ul-muqaddas par qabza karne ke liye amada kiya. Us ne europe ki taeed aur apni mumlikat ke bashindon ki madad se sham par hamla kiya lekin 1250 mein mamlook hukamran se shikast khai.
No comments:
Post a Comment