Noor Ud Din Zangi History In Urdu Nur Ad Din Zangi Biography & Information

  Lal Gulab      
Noor Ud Din Zangi History In Urdu-  Nur Ad Din Zangi, zangi saltanat ke bani Amad ud Din ka beta tha jis ne tareekh mein bara naam paida kiya jo gfebruary 1118 mein paida hua aur 28 saal tak hukumat ki.

Fatah Aur Karnamay: Is ne eesaiyon se bait-ul-muqaddas wapas laine ke liye aik mazboogt hukumat qaim karne ki koshish ki aur is maqsad ko hasil karne ke liye gird-o-nawah ki choti choti Musalman hukumaton ko khatam kar ke un ko apni mumlikat mein shamil kar liya. Shuru mein us ka daruk hakumat halb yani Aleppo tha. 549 mein is se damishq par qabza kar ke isay darul hukumat qarar diya. Is ne saleebi riyasat par hamla kar ke kayi qilon par qabza kar liya aur baad mein riyasat edisa par Musalmanon  ka qabza khatam karne ke liye eesaiyon ki koshish ko bhi nakam bana diya.

Inteqal: Misar par qabza karne ke baad Nur Ud Din ne bait-ul-muqaddas par hamla karne ki tayariyan shuru kar dien. Bait-ul-muqaddas ki masjid mein rakhne ke liye us ne ala darjay ka mambar tayar karwaya. Us ki khawahish thi ke fatah bait-ul-muqaddas ke baad woh is mambar ko apne hathon se rakhay ga lekin Khuda ko ye manzoor nahin tha aur woh is jahan se chala gya.

Kardar: Woh bahadari mein apne baap ki tarah tha aik martaba jang mein usay dushmanon ki saf mein baar baar ghustay dekh kar us ke aik masahib ne kaha:
"Ay hamare badshah! apne aap ko imtehan mein na daliye agar aap marey gye tou dushman is mulk ko fatah kar lain gey aur Musalmanon ki halat tabah ho jaye gi"
Us ne ye baat suni tou us par bohat naraz hua aur kaha:
"Qutab-ud-din! zuban ko roko, mujh se pehle is deen aur mulk ka muhafiz Allah ke siwa kon tha?"
Falahi Kaam: Noor-ud-Din sirf aik fateh nahin tha balkeh aik acha hukamran aur badshah tha, Us ne saltanat mein madrasson aur hospitals ka jal bicha diya. Us ke insan ke qisay door door tak mashoor thay. Woh bari zati zindagi guzarta tha, bait-ul-maal ka paisa kabhi zati kharch mein nahin lata tha. Mal-e-ghaneenat se us ne chand dukanain khareed lien thien jin ke karaye se woh apna kharch pura karta tha. Us ne apne liye bare bare mehal tameer nahin kiye. Damishq mein shandar shafakhana qaim kiya jis ki dunya mein masal nahin thi us mein mareezon ko dawa bhi muft di jati thi aur khanay ka rehne ka kharch bhi hukumat ki taraf se ada kiya jata tha.
logoblog

Thanks for reading Noor Ud Din Zangi History In Urdu Nur Ad Din Zangi Biography & Information

No comments:

Post a Comment