Computer History In Urdu Computer Information Computer Ki Tareekh

  Lal Gulab      
Computer History In Urdu - Computer Ki Tareekh:

Computer Information In Urdu: Sadiyon pehle computers ki shuruwat gin'nay wale alaagt maslan ABACUS se hoi lekin aaj hum taron par goliyan gin'nay ke bajaye electronic pulse istemal kartay hain. Guzray hue salon mein technology ki taraqi ke baes scientists, doctors usatza aur talba ke liye aik aisay bohat teez aur taqatwar alay ke tor par ubhra hai jis se is ke istemal karne wale apne rozmara ke kamon ki takhleeq aur paidawarana salahiyat ko barha saktay hain. Electronic technology ki tez tar taraqi ne in kamon ko bhi mumkin bana diya jin ka chand saal pehle karna iqtsadi tor par mumkin nahin tha.

Mini Computer: Ye kam qeemat wale computer hain aur chogtay lekin behad taqatwar computer tijarat taleem aur government ke adaron mein istemal kiye jatay hain. Digital equipment corporation ne in ko 1960 ke ashray ke nasf mein mutarif kiya. Dusri companies jese data degenal corporation, Hp yani Hewlett Packard, Dell bhi mini computer banati hain inhain hum laptop bhi keh saktay hain.

Computer Ka Istemal:
Jese jese computers ki khasusiyat mein izafa hua isi hisab se is ka istemal bhi barhta gya. Ye batoor type writers, calculator, hisabi system, recording aur mawaslati alat ke tor par istemal kiye ja rahe hain. Is ke ilawa ye batoor tutors, games aur behs-o-mubahisa ke liye bhi isgtemal gho rahe hain. Karobari kamon ke silsilay mein ye orders denay, hisab kitab rakhne, fehrist aur pay roll bananay aur aise hi bohat se dusre kamon ke liye istemal hotay hain.

Computer Ki Mazeed Tarikh: Kisi bhi device ke baray mein ye nahin kaha ja sakta ke ye computer ki pehli shakal thi. Is ki sub se bari wajah ye hai ke computer ki tarif tareekh ke sath sath khuch tabdeel hoti hai hai aur isi wajagh se ye namumkin hai ke kisi aik computer ko pehla computer kaha ja sakay.
logoblog

Thanks for reading Computer History In Urdu Computer Information Computer Ki Tareekh

No comments:

Post a Comment