What Is Computer Definition In Urdu - Computer Lateeni zuban ka lafz hai jisay Computare se makhuz kiya gya hai aur is ka matlab kisi diye gye deta ko calculate karna hogta hai. Computer ki madad se ham bari asani ke sath aur bohat thoray se lamhat mein har woh kaam kar saktay hain jis ke liye humain bohat masawi waqt darkar hogta hai.
Computer Ka Matlab Kya Hai: Computer jadeed door ka aik mufeed tareen aur hima geer ahmiyat ka hamil ala hai. Is ki wajah se sirf taraqi yafta mulkon ke logon ki is ke ilawa taraqi pazeer mulkon ke baishtar afrad ki maloomati zarooryat mein bohat bara tagheer aaya hai. Computer ne international tijarat, rozgar ki hueyat, sanati paidawar, ghareelu zindagi, tafreeh ke zaraye, fizai tehqeeq aur tajasas, sehat se mutaliq ahtyat, taleem, mawaslati nazam aur science ki tehqeeq par gehre naqoosh muratab kiye hain.
Technology ki taraqi ke hamesha acghe aur buray donon qisam ke asrat muratab hote hain. Computer bhi is se mustasna nahin hai. Ham ne bhi is ko ache aur buray donon hi qisam ke maqsad ke liye istemal kiya hai. Computer ki taqat parhne ke sath sath is ka bura istemal bhi barh sakta hai. Asal mein computer se faida hasil karne ka inhsar is ke istemal karne wale par hota hai.
tags: computer meaning in urdu
No comments:
Post a Comment