Chocolate History In Urdu Chocolate Benefits Chocolate Ke Faide Uses Istemal

  Lal Gulab      
Chocolate History In Urdu - Chocolate Information: Beshtar afrad ke liye ho sakta hai ke ye buri khabar ho ke dunya men chocolate hone ke karib hogai hai ji han waqai aisa hone wala hai. Bari companiyu ne khabardar kia hai ke dunya men choclate ki paidawar kum hoti ja rhi hai aur buhat zayada talab ke baiz 2020 tak hosakta hai ke ye methi sogat hamari puhnch se bahir hojane ki waja hai ke koka bijun ki qematon men be tahasha izafa dekhne men ah raha hai. Dar haqeqat choclate banane wala ehm juz coca ke kashatkar ko is fasal ki kasht men zayada dilchaspi nhn rahi aur wo zer kasht karne ko apne liye zayada munafa bakhsh samaj rahe hen jabke dunya men koka ki majmui almi paidawar ka satar fesad hisa farahim karne wale mumalik aiweri cost aur ghana men m0smiyati tabdiliyun aur khusk mausam ne paidawar ko buri tarah mutasir kia hai. Taham abi ye khatra kuch barsu bad ka hai abi to ap mun men choclate ghulne se paida hone wali lazat ka maza le sakte hen Aur hosakta hai ke ap ko malom na ho magar ye methi sogat dar haqeqat ap ki sehat ke liye buhat zayda faida bhi hai. Khas tor par dark choclate ke tibi fawaid to hairan kun hen jo ke khon ke gardashi nizam men mawnat ke sath dimag ko muthark karte dimagi kamzoriyon se khilaf jadojahad ap ko zayda choks aur behtar tarz fikar ki sath sath khansi ki rok tham aur tanao se bhi nijat dilati hai Chocolate ko bator tofa bhi istamal kia jata hai taham is ke chand dilchasp fawaid jan kar hosakta hai ke ap ko hairan reh jaen.


Chocolate Ke Faide In Urdu - Chocolate Benefits In Hindi

Mizaj Khushgawar Banae: Jab ap mayusi ka shikar ho to choclate ka istamal buht faida mand sabit hota hai is ka zaika zehen ko tehrek deta hai aur ap ko ap ko khush bash banata hai.ek tehkek men ye bat samne ai ke choclate ka zaika khushbu ya banawat bhi logo ko khush bash bana deti hai choclate se dimag men acha mehsus hone wale chemical dopamine ki mikdar bharne men madad milti hai.

Good For Teeth: Agarcha dandan saz to choclate ko danton ke liye  mazr karar dete hen.magar ek nai tehkek ke mutabik choclate men shamil koka powder dar haqeqat ap k danto ko sehat mand rakhne wale tooth paste aur flouride ka mausar mutabadil sabit hoti hai.

Chocolate For Skin - Aap Ki Jild Ko Behtareen Rakhe: Coca se bana hua makhan aisi munfarid  chez hai jis ka istamal ap ki jild ki kashish ke liye hairat angez asar rakhta hai. Ji han choclate ka istamal jild ko khush aur hamwar rakhta hai bus naram choclate ko jild par pandra  mint tak laga rehne den ye apki jild ko naram o mulayam kardta hai.isko nahane ke doran bhi azmaya jaskta hai bus do cup choclate milk do chae ke chamach siyal sabun aur ek chae ka chamch shehd pani men mila kar nahalen choclate milk men shamil anti oxidant aur taizabi asar jild ko mulaim aur hamwar kardega jabke dark choclate men paya jane wala flouride suraj ki shuwau s tahfuz Farahim karta hai. In fawaid ke bad insani tarekh men choclate ko istamal ke chand ajeb o gareb tareke bhi jane jo waqai hairat angez hen.

Uses of Chocolate Ka Istemal: Kaha to jata hai ke dolat pairon pe ugti magar ek dafa ka zikar hai ke aisa waqai hota tha. Maya tehzeb ke basiyu ke bare men mana jata hai ke inho ne sb se pehle choclate ko daryaft kia tha aur wo koka beaj bator rakam istamal karte the. Aztek tehzeb men bhi aisa hi hota tha balke wo to qemti koka par bhari tax bhi aid karte the.

Bator Indhan: Choclate se chalne wali gari ji han science dano ne choclate ek pakes ya ae koi ko khila kar ise hydrogen ki paidawar hasil ki jise gari chalane ke liye bator ayndhan istamal kia gaya. Ye mahol dost ayndhan filhal dastyab nhn magar ane wale kal men aisa zarur hosakta hai ke kuch log apni garyon ke liye choclate ka banwara pasand na karen.

Chocolate Clothes - Choclate Se Bane Malbusat: Dunya bhar men choclate fashion show ab am hote jarhe hen jis men choclate ke parastaron ke liye designes is methi sogat ko istamal karke banae gae mukhtalif malbusat ki numaesh karte hen.

Farzi Khoon: Bosko chocolate syrup ke bare men dawa kia jata hai ke ise alfred heckak ki 1960 ki classic bar film physco men bator khoon ke istamal kia gaya tha.

Sab Se Bara Mujasma: Belgium ke ek choclate ke shoqen shaks ne is sogat ki madad se 111 fit lambi train ka choclate model tayar karke guines book of world record men jaga banai thi.

Warning - Intaba: Wese tou chocolate ke mutadad tibi fawaid hain aur ise kai tarekon se istamal kia jaskta hai magar ye  mazr  asrat se pak bhi nhn. Is ki buhat zayda mikdar ka istamal motape ka khatra barha deta hai jab ke kuch shawaid aise bhi samne ae hen ke choclate manshiyat ki tarha logo ko apna adi banadeti hai jabke ismen kuch aise acid shamil hote hen jo nuqsanat baiz sakte hen khas tor par gurdon men pathri ka khatra buhat zayada hota hai.

tags: chocolate benefits in urdu, history of chocolate in hindi, chocolate khane ke fayde aur nuqsan
logoblog

Thanks for reading Chocolate History In Urdu Chocolate Benefits Chocolate Ke Faide Uses Istemal

No comments:

Post a Comment