Rawadari ka matlab hai ke raye mein ikhtalaf ke haq ko tasleem kiya jaye. Aik shakhs aap ke nazriye ya aqiday se ittefaq nahin karta. Us admi par zabardasti apna aqida aur nazariya musalat na kiya jaye aur apni baat manwane ke liye jabar ka rasta ikhtiyar na kiya jaye. Quran Kareem mein is bat ka waziya alfaz mein zikar hai.
Tarjuma:
" Deen mein kisi kisam ka jabar nahin hai"Islam kisi dusre ke mazhab mannay wale ko zabardasti Islam mein dakhil karne ki ijazat nahin deta aur har shakhs ko apne akide ke mutabiq zindagi guzarne ki mukamal azadi deta hai. Ghair Muslim ko tabligh karte waqt rawadari ko nahin chorna chahye aur is bat ka khas khayal rakhna chahye ke us ko zabardasti deen ki taraf na laya jae balke us ko narmi aur ache andaz se qael kiya jaye.
Guftagu ke doran ikhalq ka daman na chora jaye aur niyat ko khalis rakha jaye, dusre ko necha dekhana ya us ki bat ko ghalat sabit karna hamara maqsad na ho aur har kisam ke tasub se bacha jae aur dusre ka ehtram kiya jaye. Us ki baat tawajah se suni jaye is tarha apas mein muhabbat aur rawadari ka mahol paida hoga aur guftagu ka nateja bhi niklega.
Nabi Pak SAWW ke pas madina mein aik wafad aya us wafad mein mein esaiyon ke mazhabi rehnuma aur ulma bhi thay. Aap SAWW ne unhain nihayat ahtram se bithaya un ki izat ki aur masjid nabvi mein unhein ibadat karne ki bhi ijazat di.
Islami hukumat mein ghair Muslim shehriyon ko Musalmanon ke barabar haqooq hasil hein. Un ki izat nafs, jan o maal aur ibadat gahon ki hifazat Islam mein hukumat ki zumedari hai. Islam hamein ghair Muslimon ke sath lain dain, tijarat ya aam zindgi ke taluqat rakhne ya un se acha salook karne se nahin rokta balke un ka ehtaram aur izat ka hukam deta hai.
Rawadari ke baghair aik pur aman aur taraqi yafta muashra qaim nahin ho sakta. Rawadari se hum aik dusre ke jazbat ka ehtaram kar sakte hein. Isi tarha hamare andar aik dusre ko achay tariqa se samjhne aur kisi aik baat mein mutafiq hone mein madad mil sakti hai. Hamein chahiye ke hum bahasiyat Musalman rawadari ko qaim karen aur puri koshish karen ke har satah par is par amal karain.
Note: Ye mazmoon bardasht essay ke liye bhi istemal kiya ja sakta hai.
No comments:
Post a Comment